GHAZAL
KUCHH ASAR KIYA NA UN PAR MIRI AAH O ILTIJA NAY
MIRI KAIFIYYAT JO DAIKHI TO LAGAY WOH MUSKURAANAY
KISI GHAIR KI JAFA KA NA GILA HI HAM SAY HO GA
HAMAIN DUKH DIYE KISI NAY TO DIYE HAIN AASHNA NAY
KOI AIK BAAT HO TO CHALO BHOOL JAYAIN HAM BHI
KIYA QATL HAM KO LAIKIN TIRI AIK EK ADAA NAY
HAMAIN ISHQ HI HAY KARNA TO HAY KHAUF KIA KISI KA
YEH JAHAAN BANA RAHA HAY TO BANAYE SAU FASAANAY
TIRAY HAQ MAIN AB TO BEHTAR, HAY HAMAARI KHAMSHI HI
NA ZAMAANA SUN SAKAY GA LAGAY HAM AGAR SUNAANAY
KABHI AITABAAR KIJAY NA KISI PEH IS JAHAAN MAIN
KE SHAREEK E RAAZ THA JO LAGA PARDAY SAB UTHAANAY
MAIN RAHA HOON RIND MASHRAB MAGAR AIK EK QADAM PAR
MIRI REHNUMAAII KI HAY MAIRI FIKR E PAARSA NAY
Waqar Zaidi.
Ghazal
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Waqar Zaidi
- -
- Posts: 57
- Joined: Tue Feb 22, 2005 8:21 pm
- Location: Karachi
- Contact:
Re: Ghazal
Waqar Zaidi wrote:GHAZAL
KUCHH ASAR KIYA NA UN PAR MIRI AAH O ILTIJA NAY
MIRI KAIFIYYAT JO DAIKHI TO LAGAY WOH MUSKURAANAY
KISI GHAIR KI JAFA KA NA GILA HI HAM SAY HO GA
HAMAIN DUKH DIYE KISI NAY TO DIYE HAIN AASHNA NAY
KOI AIK BAAT HO TO CHALO BHOOL JAYAIN HAM BHI
KIYA QATL HAM KO LAIKIN TIRI AIK EK ADAA NAY
HAMAIN ISHQ HI HAY KARNA TO HAY KHAUF KIA KISI KA
YEH JAHAAN BANA RAHA HAY TO BANAYE SAU FASAANAY
TIRAY HAQ MAIN AB TO BEHTAR, HAY HAMAARI KHAMSHI HI
NA ZAMAANA SUN SAKAY GA LAGAY HAM AGAR SUNAANAY
KABHI AITABAAR KIJAY NA KISI PEH IS JAHAAN MAIN
KE SHAREEK E RAAZ THA JO LAGA PARDAY SAB UTHAANAY
MAIN RAHA HOON RIND MASHRAB MAGAR AIK EK QADAM PAR
MIRI REHNUMAAII KI HAY MAIRI FIKR E PAARSA NAY
Waqar Zaidi.
waqar zaidi sahib!
apka kalaam pasand yaa.
pehle ki nisbat ye mazeed sanwra hua hay.talaffuz bhi durust hay.
bas zara esa hay keh aap itne haseen khayalaat ko mazeed khoobsooratii se bhi pesh kar sakte haiN.
zara nazar-e-caanii kar lijiye
daad to apki pakki
pur-khuloos daad qubool kijiye
aap k mazeed kalam ka bhi intizar rahega.
sada khush rahiye