Qita'at

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Qita'at

Post by Raji »

Azeezan-e-bazm
Aadaab-o-tasleemat,

iss bazm meN do qia'at ke saat Hazir-e-khidmat hoooN apni aaraa aur rehnumahii se hasb-e-mamool navaziye gaa.

dil kee ghairahiyoN se mamnoon hooNgii :)

wassalam

Zahida Raees :Raji:


Image
Image
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »



Purkhuloos Tasleemaat,

Aapke paish kardah QiTAat pasand aaye jin ke liye meri daad aur mubaarakbaat Haazir hei.

Mazameen meiN aek nazar mere mandarja-e-zail mazmoon ko dekh leejiye.
QiTAe kii taAreef

Shayad maiN apne andaaz meiN QiTAa ke baare meiN kuch tashreeH karsakaa. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Re: Qita'at

Post by najma »

Raji wrote:Azeezan-e-bazm
Aadaab-o-tasleemat,

iss bazm meN do qia'at ke saat Hazir-e-khidmat hoooN apni aaraa aur rehnumahii se hasb-e-mamool navaziye gaa.

dil kee ghairahiyoN se mamnoon hooNgii :)

wassalam

Zahida Raees :Raji:


Image
Image
waah raji sahib!
bohat khoob
pasand aey aap ke qit,aat
daad qubool kijiye
khair andesh
najma
:-)
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Re: Bahut khoob

Post by Raji »

WEBMASTER wrote:

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapke paish kardah QiTAat pasand aaye jin ke liye meri daad aur mubaarakbaat Haazir hei.

Mazameen meiN aek nazar mere mandarja-e-zail mazmoon ko dekh leejiye.
QiTAe kii taAreef

Shayad maiN apne andaaz meiN QiTAa ke baare meiN kuch tashreeH karsakaa. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

moHtram janab-e-Abdullah Nazir SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemat,

Dil kee ghairaiyooN se mamoon hooN keh aap ne meree puraanii takhleeqaat kee janib tavajue kee. Daad ke liye bhi bohat shurkriya. :)

meiN ne aap ka mazmoon paRh liya hai jis ke mutabiq yeh ashaar qitaat kee ta’reef meN tu naheiN aate lekin abb sawal yeh paida hotaa hai keh kyaa yeh “Rubaii” kee Sinf meN laaye jaa sakte heN?

Aap ke jawab ka intizaar rahe gaa.

Mamnoon-o-talib-e-dua

Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Rubaii

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramah
Raajii Saahibah,


Aap ne likhkhaa hei:

(((meiN ne aap ka mazmoon paRh liya hai jis ke mutabiq yeh ashaar qitaat kee ta’reef meN tu naheiN aate lekin abb sawal yeh paida hotaa hai keh kyaa yeh “Rubaii” kee Sinf meN laaye jaa sakte heN? )))

Mazameen kii laRii meiN hii Shummu ne aek thread banaam-e-rubaii khoulii thii aur rubaii kii shakl ke baare meiN sawaal kiyaa thaa. Uske javaab meiN khaaksaar ne mukhtasar sii tashreeH kii thii. Ummeed keh aap usko achchii TaraH se paRhkar samajh jaayengi ke jin jin 4 misraAoN ko aap ne qiTAat kaa naam diyaa hei (aek had tak qitAat kii inHiraafi shakl) tou kehlaasakte heiN lekin rubaii bilkul nahiN.

Rubaii ke khas auzaan houte heiN. Agar in auzan meiN ashAar kii nashist saHeeH nah hou tou unko rubaaAi kaa naam bilkul nahiN diyaa jaasaktaa. Aap mazmoon paRhiye aur koii sawaal hou tou zaroor keejiye. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Last edited by Abdullah Nazir on Thu May 12, 2005 7:22 pm, edited 1 time in total.
Image
User avatar
rahmed25682
-
-
Posts: 126
Joined: Thu Dec 09, 2004 8:28 am
Location: Karachi
Contact:

Post by rahmed25682 »

Bohat khoob Raji sahiba ...

Khoobsurat khyalat ba-andaaz-e-sukhan paish karnay ka shukria ..

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed
Kab Say HooN , Kia BataaooN Jahan-e-Kharab Main
Shab-Haaye Hijr Ko Bhee RakhooN Gar Hisab Main
=============================
Ghalib
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Raji SaaHebah: aadaab!

maiN ne chand din qabl aap ke yeh :qit^a'at: dekh` liYe th`e aur muntaz^ir th`aa keh in par beHc ho gee to maiN bh`ee mustafeed hooN gaa. ab tak kisee ne bh`ee in :qit^a'at: par takneekee beHc naheeN kee hai. kyaa hee achh`aa ho keh koyee dost in kaa tajziyah kar ke shaa,i'ree ke rumooz se ham sab ko aashnaa kare. maiN bh`ee likh` rahaa hooN lekin ba-vujooh ab tak mukammal naheeN kar paayaa hooN.

qiblah Nazir SaaHeb agar is se qat^a'-e-naz^ar kar ke keh yeh kis Sinf-e-suKhan meN shumaar kiYe jaane chaahiYeN in par raushanee DaaleN to ham sab mamnoon hoN ge. meree un se darKhwaast hai keh woh is jaanib tavajjuh farmaaYeN. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
little abbasi
-
-
Posts: 112
Joined: Tue Apr 19, 2005 4:24 pm
Contact:

Post by little abbasi »

SALA/\/\.

WAH BOHAT KHOOB QITAAT HAY JI.

ATTIQ ABBASI
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

Sarwar Raz wrote:Raji SaaHebah: aadaab!

maiN ne chand din qabl aap ke yeh :qit^a'at: dekh` liYe th`e aur muntaz^ir th`aa keh in par beHc ho gee to maiN bh`ee mustafeed hooN gaa. ab tak kisee ne bh`ee in :qit^a'at: par takneekee beHc naheeN kee hai. kyaa hee achh`aa ho keh koyee dost in kaa tajziyah kar ke shaa,i'ree ke rumooz se ham sab ko aashnaa kare. maiN bh`ee likh` rahaa hooN lekin ba-vujooh ab tak mukammal naheeN kar paayaa hooN.

qiblah Nazir SaaHeb agar is se qat^a'-e-naz^ar kar ke keh yeh kis Sinf-e-suKhan meN shumaar kiYe jaane chaahiYeN in par raushanee DaaleN to ham sab mamnoon hoN ge. meree un se darKhwaast hai keh woh is jaanib tavajjuh farmaaYeN. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

moHtaram janab-e-Sarwar A. Raz "Sarwar" SaaHeb:

Aadaab-o-tasleemat,

bohat takheer se likhne ke liye ma'azrat khwah hooN. aap ka khat bohat dinn pahle daikh liyaa thaa aur muntazir thee keh meree adnaa se koshish par seir HaSil tabsara paRhne ko mile aur ham-naumasq iss bahaane kuch seekh sakeN.

lekin abb tak iss laRee meiN har samt se ek sukoot qaim hai.

aap se iltimaas hai ke agar kuch waqt nikaal kar aap khud hee iss kaam ko aage baRhaeN tu bohat mujh samait bohat sooN ka bhala ho gaa :)

mamnoon-o-talib-e-dua

Ek talib-e-ilm

Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

rahmed25682 wrote:Bohat khoob Raji sahiba ...

Khoobsurat khyalat ba-andaaz-e-sukhan paish karnay ka shukria ..

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed
bohat shukriya Raheel Ahmed SaaHeb, aap ke khat aur daad ke liye :-)

aap bhi khush rahiye :-)

dua go wa talib-e-dua

Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Raji SaaHebah: aadaab

ma'Zirat-Khwaah hooN keh jawaab is qadar taaKheer se de rahaa hooN. vajh wohee puraanee :maSroofiyat: hai. kaam hai keh baRh`taa jaataa hai aur waqt hai keh "zameeN juNbad, nah juNbad Gul Muhammad"!

aap ke :qit^a'at: dekh`e aur in ke baare meN eHbaab ke Khut^oot se bhee mustafeed huwaa. aaj pehlee furSat meN apne Khayaalaat kaa iz^haar kar rahaa hooN. mujh` ko Hairat hai keh kisee ne bh`ee ab tak in asha'ar par tanqeedee naz^ar naheeN Daalee hai aur in par baat baRee Had tak yehee huyee hai keh in ko :qit^a'at: kahaa jaaYe keh naheeN!

mujh` ko in asha'ar meN kayee jagah mushkil naz^ar aayee jo aap ke gosh-guZaar kar rahaa hooN. saath` hee deegar dostoN se bh`ee guZaarish hai keh woh apnee raaYe likh`eN. koyee Z^arooree naheeN hai keh mere Khayaalaat SaHeeH hoN. Ghalat^ee har ek se ho saktee hai. ab aap meree ma'rooZ^aat sun,iYe:
---------------------------------------
(1)
jo saath` saath` apne zamaanah liYe gaYe
fikr-e-zamaaN-makaaN meN deewaanah kiYe gaYe
mat pooch` waqt-e-aaKhir-e-shab un ko kyaa milaa
do gaz kafan lapeTe rawaanah kiYe gaYe

mere Zehn meN yeh sawaalaat haiN:

(a) yahaaN :radeef: aur :qaafiye: kyaa haiN? ba-z^aahir :liYe, kiYe: qaafiye haiN aur :gaYe: radeef. ph`ir qaafiyoN se qabl :deewaanah, rawaanah, zamaanah: kee qaid kyoN hai? yeh gutth`ee aap hee Hal kar saktee haiN.

(b) wazn ke liYe :deewaanah: kee jagah :diwaanah: kehne kee Z^aroorat hai.

(c) SaHeeH tarkeeb :fikr-e-zamaan-o-makaaN: hai nah keh :fikr-e-zamaaN-makaaN:! chooN.k :zamaaN: aur :makaaN: do alag alag cheezeN haiN in ko yooN yakjaa karnaa Ghalat^ ho gaa.

(d) :deewaanah kiYe gaYe: kaa kyaa mat^lab hai? kis ne inheN "deewaanah kiYaa" hai? aap :deewaanah kahe gaYe: likh`teeN to aur baat th`ee.

(e) :zamaanh saath` saath` le jaane: se kyaa muraad hai? yeh muHaavirah mujh` ko Ghair-maanoos lagaa. siyaaq-o-sibaaq se ma'loom hotaa hai keh yahaaN :ahl-e-dunyaa: kaa Zikr hai. lekin alfaaz^ is bayaan ko nibh`aa naheeN rahe haiN.

(f) :do gaz kafan meN lapeTe: to ham sab hee rawaanah kiYe jaaYeN ge! is meN kisee KhaaS tabqeh kaa iKhtiSaaS naheeN hai. ya'nee yeh Haal Sirf unheeN kaa naheeN hone waalaa hai jo :saath saath apne zamaanah liYe gaYe: jaisaa keh aap ke asha'ar se z^aahir hotaa hai.

itne bohat se nikaat bayaan karne se meraa maqSad aap kee dil-shikanee hargiz naheeN hai. ummeed hai keh aap buraa naheeN maaneN gee aur ek baar ph`ir Ghaur kar ke apne asha'ar durust karne kee koshish kareN gee. aur agar maiN Ghlat^ee par hooN to tashreeHaat se baat Saaf kar deN gee. shukriyah!
----------------------------------
(2)
chalooN to raah meN baRh`te qadam ruke nah kabh`ee
rukooN to pich`le qadam par naz^ar jh`uke nah kabh`ee
jo faiSilah bh`ee kiyaa ho, usee pah ho qaa,im
meraa woh sach jo meree saaNs tak bike nah kabh`ee

is :qit^e': meN bh`ee kayee baateN maHall-e-naz^ar haiN:

(1) pehle miSre' kee darj-e-baalaa Soorat SaHeeH naheeN hai. is kee do (2) SaHeeH SoorateN mumkin haiN:

(a) "chalooN to raah meN baRh`te qadam rukeN nah kabh`ee" : goyaa "chalooN" kee ri,a'ayat se :rukeN: honaa chaahiYe.

(b) "chalee to raah meN baRh`te qadam ruke nah kabh`ee" : goyaa "(maiN) chalee" kee munaasibat se :ruke: SaHeeH ho gaa.

ab mushkil yeh hai keh agar (a) liyaa jaaYe to qaafiyah qaa,im naheeN hotaa hai aur agar (b) ko iKhtiyaar kiyaa jaaYe to doosre miSre' meN :rukooN: kee bajaaYe :rukee: kehnaa ho gaa aur ph`ir :jh`uke: kee bajaaYe :jh`ukee: kehnaa ho gaa! ya'nee :goyam mushkil, nah goyam mushkil: waalee baat pesh aaYe gee. ab kyaa ho?

(2) "jo faiSilah bh`ee kiyaa ho, usee pah ho qaa,im"

kaun qaa,im :ho:? kis neh faiSilah kiyaa? aur faiSilah kis baat kaa? in miSre' se yeh waaZ^eH naheeN hotaa hai. aap apne Hawaaleh se yeh to naheeN kehnaa chaahatee haiN:

"jo faiSilah bh`ee karooN, us peh hee rahooN qaa,im"
==============================
jab tak yeh sab uljh`aneN nah door hoN koyee aur baat kehnaa munaasib naheeN hai. aap ek naz^ar aur dekh` leN to harj naheeN hai.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

moHtaram janab-e-Sarwar A. Raz "Sarwar" SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemat,

qitaat par aap kee tavajjue aur tafseeli khat ke liye bohat mamnoon hooN kuch maSroofiyat ke sabab meree janib se khamoshii ho gayii hai jiska matlab yeh hargiz naheiN hai ke mujhe asaatiza-e-karaam ka tabsara yaa tanqeed pasand naheiN aaya hai. aap ke batae gayee nuqaat par ghaur kar rahii hooN inshaAllah chand roz meN aap ko tafseeli jawab likhooNgii.
umeed hai keh meree iss kotahee ko meHsoos naheiN kareNge.


mamnoon -o- talib-e-dua'

Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
Post Reply