Meri Hazal "Tum se shayad koii sawaal na ho"
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Meri Hazal "Tum se shayad koii sawaal na ho"
Nazir Bhai, Aadab.O.Niyaz
Darta hooN nagaware khatir no ho jaye, maiN aapke Tarhi Mushaairey meN Ghazal ki bajaye HAZAL leke hazir ho gaya hooN. Shahinshah-e Tanz.O.Mizaah janab Dilawar Figaar Budauni marhoon na sirf mere hum-watan thay, mere padosi bhi thay aur Islamia College Badaun meN mere English ke ustad bhi thay. To kuch na kuch asar to ayega na!
Ghazal ho gayee to woh bhi le aaooNga, filhaal yeh adna Hazal haazir-e khidmat hai.
H A Z A L
Uska jab tak mujhe wisaal na ho
Ai Khooda mera inteqal na ho
Mujhko dawat pe bus woh log bulayeN
Jinke ghar qorma ho daal na ho
Haal kahte bhi unse darta hooN
Unka ghusse se chehra laal na ho
Mujhko itne Riyal de ya Rub !
Koii mujh jaisa malaamal na ho
Ishq karta hooN dar bhi lagta hai
Yeh kahiN jaan ka wabaal na ho
Kuch farishte bhi haiN fida tum per
"tum se shayad koii sawal na ho"
Shaairee ka maza hai tub "Jawaid"
Tanz meN bhi tiree misaal na ho
---------------------------------------
Jawaid Badauni
Muscat-Oman
Last edited by jawaid badauni on Mon Jan 10, 2005 10:06 am, edited 3 times in total.
ha ha bahut bahut khoob..kya bata hai aapki jawaid sahab..to aap hazal bhi likh lete hain..kya baat hai...I really enjoyed it esp woh DAAWAT wala sher..meri hansi ruk hi nahi rahi thi Daad haazir hai is khaT miThi si kaavish par !!
Shumaila
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
Re: Tum se shayad koii sawaal na ho ...............
salaam Javed saaHib,
waah janaab waah! to aap chhupe rustam nikle...Hazal goii meN bhii Huzoor-e-waalaa ka koii saanii nahiiN. yaqeenan, ek ham-vatan aur paRosi ka asar aanaa to laazmii hai. vohii rang, vohii Dhang aur vohii aab_o_taab janaab aapke to kahne hii kia! masha Allah. Allah kare zor-e-qalam aur ziyaada! aapne Ghazal goyii ke saath saath apnii Hazal goyii kaa bhii lohaa manvaa liyaa hai aur vo bhi chuTkiyoN meN
bhai saaHib har she'r par haNsi aayii aur baar baar aayii...bahot pur_lutf kalaam hai aapkaa. mujhe jo she'r be_had pasand aaye vo zel meN darj kar rahaa huuN.
uskaa jab tak mujhe wisaal na ho
ai Khuda! meraa inteqal na ho
mujhko da'wat pe bus woh log bulaayeN
jinke ghar qorma ho, daal na ho
mujhko itne Riyaal de, yaa Rab!
Koii mujh jaisa maalaamaal na ho
faqat loTta poTta hua,
Hashmat

Bahut bahut shukriya Shammu Sahab/Sahiba (Abhi tak wazeh nahiN ho sakaa hai ke aap HE haiN ya SHE. Ap ke homepage per bhi gaya magar wahaN se bhi malum na ho saka.)Shummu wrote: ha ha bahut bahut khoob..kya bata hai aapki jawaid sahab..to aap hazal bhi likh lete hain..kya baat hai...I really enjoyed it esp woh DAAWAT wala sher..meri hansi ruk hi nahi rahi thi Daad haazir hai is khaT miThi si kaavish par !!
Shumaila
Mukhlis,
Jawaid
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Tum se shayad koii sawaal na ho ...............
Hashmat Usmani wrote:salaam Javed saaHib,
waah janaab waah! to aap chhupe rustam nikle...Hazal goii meN bhii Huzoor-e-waalaa ka koii saanii nahiiN. yaqeenan, ek ham-vatan aur paRosi ka asar aanaa to laazmii hai. vohii rang, vohii Dhang aur vohii aab_o_taab janaab aapke to kahne hii kia! masha Allah. Allah kare zor-e-qalam aur ziyaada! aapne Ghazal goyii ke saath saath apnii Hazal goyii kaa bhii lohaa manvaa liyaa hai aur vo bhi chuTkiyoN meN
bhai saaHib har she'r par haNsi aayii aur baar baar aayii...bahot pur_lutf kalaam hai aapkaa. mujhe jo she'r be_had pasand aaye vo zel meN darj kar rahaa huuN.
uskaa jab tak mujhe wisaal na ho
ai Khuda! meraa inteqal na ho
mujhko da'wat pe bus woh log bulaayeN
jinke ghar qorma ho, daal na ho
mujhko itne Riyaal de, yaa Rab!
Koii mujh jaisa maalaamaal na ho
faqat loTta poTta hua,
Hashmat
BAHUT BAHUT SHUKRIYA HASHMAT SAHAB. AAPKI DADD.OTAHSEEN MEN AAPKA KHULOOS-E DIL BHI SHAMIL HOGAYA HAI. YEH TO BAHUT SADA AUR MUKHTASAR SEE HAZAL HAI. GHAZAL BHI ISEE ZAMEEN MEn KAH RAHA HOOn.
UMMID HAI AAYINDA BHI AAP SE MURASALAT QAA.IM RAHEGI.
KHAIR ANDESH
JAWAID
Ye kya baat hui humne apna nama bhi to likha hai SHUMAILA...aur jahan tak I know ye sirf larkiyon ka naam hota hai larkon ka nahi upar se aap ne mera homepaage dekha..wahan aap ko color combination aur DOLL ko dekh kar nahi pata chala ke main GIRL hoonjawaid badauni wrote:Bahut bahut shukriya Shammu Sahab/Sahiba (Abhi tak wazeh nahiN ho sakaa hai ke aap HE haiN ya SHE. Ap ke homepage per bhi gaya magar wahaN se bhi malum na ho saka.)Shummu wrote: ha ha bahut bahut khoob..kya bata hai aapki jawaid sahab..to aap hazal bhi likh lete hain..kya baat hai...I really enjoyed it esp woh DAAWAT wala sher..meri hansi ruk hi nahi rahi thi Daad haazir hai is khaT miThi si kaavish par !!
Shumaila
Mukhlis,
Jawaid
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Re: Tum se shayad koii sawaal na ho ...............
jawaid badauni wrote:
Mujhko dawat pe bus woh log bulayeN
Jinke ghar qorma ho daal na ho
Mujhko itne Riyal de ya Rub !
Koii mujh jaisa malaamal na ho
Ishq karta hooN dar bhi lagta hai
Yeh kahiN jaan ka wabaal na ho
Kuch farishte bhi haiN fida tum per
"tum se shayad koii sawal na ho"
Shaairee ka maza hai tub "Jawaid"
Tanz meN bhi tiree misaal na ho
---------------------------------------
Jawaid Badauni
Muscat-Oman
Jawaid Badauni saaHeb:
Aadaab,
Kyaa khoobsoorat rang hai iss ghazal mein wah wah wah.. mood fresh ho gayaa. Andaz-e-baayaan khoob hai. Aur inshaAllah aahinda bhi khoobtar ho gaa.
quoted ashaar tu Laa^jawab hain.
Matlah ke peHLe misreh mein kuch farq hai zaraa daikH leejiye.
Baqi ek khoobsoorat kalaam keHne per daad aur diLee mubarakbaad qubool keejiye.
Wassalam
Zahida Raees :Raji:
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Tum se shayad koii sawaal na ho ...............
Raji wrote:jawaid badauni wrote:

Zahida Bahna: Hazal ki pazirayee ke liye bahut bahut shukriya.
Khoosh RaheN.
Jawaid
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Re: Tum se shayad koii sawaal na ho ...............
Mukarrami Jawaid Badauni sahibjawaid badauni wrote:
Nazir Bhai, Aadab.O.Niyaz
Darta hooN nagaware khatir no ho jaye, maiN aapke Tarhi Mushaairey meN Ghazal ki bajaye HAZAL leke hazir ho gaya hooN. Shahinshah-e Tanz.O.Mizaah janab Dilawar Figaar Budauni marhoon na sirf mere hum-watan thay, mere padosi bhi thay aur Islamia College Badaun meN mere English ke ustad bhi thay. To kuch na kuch asar to ayega na!
Ghazal ho gayee to woh bhi le aaooNga, filhaal yeh adna Hazal haazir-e khidmat hai.
H A Z A L
Uska jab tak mujhe wisaal na ho
Ai Khooda mera inteqal na ho
Mujhko dawat pe bus woh log bulayeN
Jinke ghar qorma ho daal na ho
Haal kahte bhi unse darta hooN
Unka ghusse se chehra laal na ho
Mujhko itne Riyal de ya Rub !
Koii mujh jaisa malaamal na ho
Ishq karta hooN dar bhi lagta hai
Yeh kahiN jaan ka wabaal na ho
Kuch farishte bhi haiN fida tum per
"tum se shayad koii sawal na ho"
Shaairee ka maza hai tub "Jawaid"
Tanz meN bhi tiree misaal na ho
---------------------------------------
Jawaid Badauni
Muscat-Oman
tasleemat..
Mohatram Badaun ki do cheezeiN hi to zaiad mashoor haiN aik pairhe aur dosre shora..:) yaqeenan aapka talluq dosri qisam se hai. bahut khushi huvi aapko yaahN is khoobsurat bazm mai dekh kar, mere aik purane sathi aur dost ehsan badayuni bhi bahut achay shayer haiN jo in dinoN Makkah mai muqeem haiN. baharhal Marhom dilawar figaar ke sath aik do mahfiloN par kalam pesh karne ka mauqa mila. ajeeb lagra ha tha jis shayer ko ham ne kabhi apni kamsini mai samyeen mai bathkar suna tha unhi ke sath baithkar kalam bhi parhne ka sharaf hasil huva..baharhal yaad raftagaN aik alaihada silsila e azab hai.
mai aapko is mahfil mai khush aamdeed kahte huve umeed karta hoN ke aapka deegar kalam bhi nazireen , samayeen aur qariyeen ke istefaade ka sabab banega. bahut pasand ai khas taur par girah ka jawab nahi.:)
shukria \
Mahtab Qadr

Azeezi Mahtab Sahab,Mahtab Qadr wrote:Mukarrami Jawaid Badauni sahibjawaid badauni wrote:

Ehsan Ghazanfar mere rishte ke bhai hote haiN.
Hazal ki pazeerayee ke liye mamnoon hooN.
Ghazal bhi kah li hai, nazar-e saa'ni ke marahil meN hai.
Ek baar phir aapka shukriya.
Khulooskar,
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob
Muhtarami
JAWAID BADAAYOONI Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat, :)
Aapki hazal tou bahut dinaoN pahle paRhchukaa thaa lekin kuch tou had se ziyaadah masroofiyat kii vajah se aur kuch TabeeAat kii naasaazi ke vajah se aur ghair mutavaqqaA haadicaat ke sabab apny raaye kaa izhaar karne se qaasir rahaa jiske liye maAzirat khwaah hooN.
Hazal ke ashAar behad pasand aaye. Meri daad aur mubaarakbaad haazir hei.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Bahut khoob
WEBMASTER wrote:
Muhtarami
JAWAID BADAAYOONI Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat, :)
Aapki hazal tou bahut dinaoN pahle paRhchukaa thaa lekin kuch tou had se ziyaadah masroofiyat kii vajah se aur kuch TabeeAat kii naasaazi ke vajah se aur ghair mutavaqqaA haadicaat ke sabab apny raaye kaa izhaar karne se qaasir rahaa jiske liye maAzirat khwaah hooN.
Hazal ke ashAar behad pasand aaye. Meri daad aur mubaarakbaad haazir hei.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Mohtaram Nazir Sahab, Aadab.O.Niyaz,
Yeh khabar bayise tashweesh hai keh e dusmanoN ke sehat kuch nasaaz rahi. Allah sehat-e kaamil.O.aajil ataa farmaye. Yeh Ashaa'r Figar Sahab ko mera khiraj-e aqeedat thay. Mukhtasar.O.Sada see ghazal bhi kah lee hai jo bus irsaal karne hi wala hooN.
Doa.oN meN mujhe shamil rakhiyega.
Jawaid Badauni
Muscat (Oman)