Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN......................
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN......................
G H A Z A L
KyooN gurezaN haiN aap aane se
Rabt baRhta hai aane jaane se
Ek insaaN ka qatl behtar hai
Ek insaaN ka dil dukhane se
AaKhirash woh bhi Khalee haath gaya
Shaah ko kya mila Khazane se
Gham manana hai gul ka moorjhana
"Phool khilte haiN muskurane se"
Kya mila hai jo ab milega tujhe
Ai falak bijliyaN giraane se
Har taraf se GhamoN ne gher liya
Hum jo nikle sharaab Khane se
Ban kar aate haiN aslihah saare
Amn waloN ke kaarKhane se
BaRh gaya ahl-e fun se yarana
"Urdubandhan" meN aane jane se
MaiN hooN ik zaat-e jawidaaN "Jawaid"
Khaak miT paooNga miTane se
------------------------------------------------------
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
Camp: Badaun (U.P.) India
Last edited by jawaid badauni on Sat Apr 16, 2005 8:43 am, edited 1 time in total.
-
- -
- Posts: 40
- Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
- Location: karachi
- Contact:
Re: Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN..................
Wah wah Jawaid bhai kiya khubsurat ghazal likhi hai aap nay aur hamaisha ki tarah is ghazal main bhi husn-e-kalam kay saath saath sochnay aur samajhnya kay liyay bhi buhat kuch hai. Meri jaanib say bharpoor daad qabool kijiyay.jawaid badauni wrote:
G H A Z A L
KyooN gurezaN haiN aap aane se
Rabt baRhta hai aane jaane se
Ek insaaN ka qatl behtar hai
Ek insaan ka dil dukhane se
AaKhirash woh bhi Khalee haath gaya
Shaah ko kya mila Khazane se
Gham manana hai gul ka moorjhana
"Phool khilte haiN muskurane se"
Kya mila hai jo ab milega tujhe
Ai falak bijliyaN giraane se
Har taraf se GhamoN ne gher liya
Hum ji nikle sharaab Khane se
Ban kar aate haiN aslihah saare
Amn waloN ke kaarKhane se
BaRh gaya ahl-e fun se yarana
"Urdubandhan" meN aane jane se
MaiN hooN ik zaat-e jawidaaN "Jawaid"
Khaak miT paooNga miTane se
------------------------------------------------------
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
Camp: Badaun (U.P.) India
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
Re: Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN..................
salaam moHtaram Jawaid saaHib,
kaise mizaaj haiN? ummeed hai ki ba_Khair hoNge.
aapkii taazah ba taazah Ghazal nazar_guzaar huii aur baRa lutf aayaa paRh kar...ek aur umda aur kaamiiyaab Ghazal kahne par merii jaanib se DheroN daad qubool farmaaiye.
KyooN gurezaN haiN aap aane se
Rabt baRhta hai aane jaane se
baja farmaayaa...bahot Khoob.
Ek insaaN ka qatl behtar hai
Ek insaan ka dil dukhane se
OMG...aap ne to baRii 'ajeeb_o_Ghareeb baat kah dii vaise, donoN misr'oN meN "ek insaaN" kii takraar mujhe bhali nahiN lagi. ho sakta hai merii pasand ka qusoor ho. is par agar ho sake to aap nazar-e-saanii kar leN. shukria. bura na maaniiyegaa merii baat kaa.
AaKhirash woh bhi Khalee haath gaya
Shaah ko kya mila Khazane se
waah bhai waah:
sab ThaaTh paRaa rah jaavegaa
jab baandh langoTii chal diyaa banda
Gham manana hai gul ka moorjhana
"Phool khilte haiN muskurane se"
yeh she'r mujhe kuchh mubham sa laga. ho sakta hai merii frhm e naaqis ka qusoor ho.
Kya mila hai jo ab milega tujhe
Ai falak bijliyaN giraane se
zaraa aap pahle misr'e par Ghaur kar lijiiye...mujhe laga jaise misr'a Khaarij-ul bai'hr hai. aap ek da'fa dekh lijiye apnii tashaffi ke liye. shukria.
Har taraf se GhamoN ne gher liya
Hum ji nikle sharaab Khane se
bahot Khoob...mai_Khaane meN hii be_Khudi ke 'aalam meN lagta hai use Gham nahiN magar baahar aate hii dunyaa wa maa-feeha ke Haqaaiq saamne aan kar aHsaas e Gham dila dete haiN [mera apnaa zaatii tajraba nahiN ]
dusre misr'e meN TYPO kii Gahlatii lagtii hai...lafz "jo" honaa chaahiye "ji" kii jagah par.
Ban kar aate haiN aslihah saare
Amn waloN ke kaarKhane se
waah waah waah....amrika waale sun leN...amn ke alam_bardaar.
BaRh gaya ahl-e fun se yarana
"Urdubandhan" meN aane jane se
shukria shukria...yaqeenan aapke aane se hamaaraa bhi yaaraana baRhaa aur kuchh aapse faiz_yaab bhi huye.
MaiN hooN ik zaat-e jawidaaN "Jawaid"
Khaak miT paooNga miTane se
wow! masha Allah...aaj ulTi Ganga aapne bahaa di...lagta hai "kaalaa kauwa" khaa kar aaye haiN... vaise, Theek hii kaha:
honii to ho ke rahe, an_honii na hoye
jaa ko raakhe aaaiiNyaaN, maar sake na koye
bahot Khoob.
Hashmat

janab j.badayuuni sahibjawaid badauni wrote:
G H A Z A L
KyooN gurezaN haiN aap aane se
Rabt baRhta hai aane jaane se
Ek insaaN ka qatl behtar hai
Ek insaan ka dil dukhane se
AaKhirash woh bhi Khalee haath gaya
Shaah ko kya mila Khazane se
Gham manana hai gul ka moorjhana
"Phool khilte haiN muskurane se"
Kya mila hai jo ab milega tujhe
Ai falak bijliyaN giraane se
Har taraf se GhamoN ne gher liya
Hum ji nikle sharaab Khane se
Ban kar aate haiN aslihah saare
Amn waloN ke kaarKhane se
BaRh gaya ahl-e fun se yarana
"Urdubandhan" meN aane jane se
MaiN hooN ik zaat-e jawidaaN "Jawaid"
Khaak miT paooNga miTane se
------------------------------------------------------
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
Camp: Badaun (U.P.) India
bohat umdah kalaam ataa kiya hay aap ne.mubarak aur daad qubool kijiye
-
- -
- Posts: 13
- Joined: Wed Apr 13, 2005 3:50 pm
- Location: Distt.: Gujrat, Pakistan.
- Contact:
Re: Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN..................
Assalam o Alaikum
janaab-e-Jawaid Badauni sahib
aap ki ghazal parri, achchi ghazal hay,
Ek insaaN ka qatl behtar hai
Ek insaaN ka dil dukhane se
qatl====== aur dil dukhana
mairay khayaal meiN , ,,,,,,, dil say jaan qimti hay,,,, dil ka kia hay, yeh to roz toot'ta aur jurrta rehta hay,
bas shair logooN nay dil ko sar pe charra rakha hay,
yooN hi dil say kuch khhafa hooN aaj, iss liyay keh raha hooN, warna meiN bhi shair hooN,
mairi taraf say dili daad qabool kijiay
Wassalam,
Ameen Asim

- Posts: 219
- Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
- Location: Doha Qatar
- Contact:
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Dosto ! Salam qubool kijiye
Main un tamam members ka marhoon-e minnat hooN jinhoN ne meri Ghazal per "reply" bheje aur ashAAr ki pazeeraaii bhi farmayee.
MaiN aajkal salana ruKhsat per apne watan-e azeez meN hooN. YahaN Internet ki raftaar bahut bahut sust hai. Yehee sabab hai ke fardan fardan shukriya adaa karne ki bajye ek mushtarakah paiGham bhej raha hooN. Ummid hia nagaware Khatir na hoga.
Ek baar phir aap sub ka bahut bahut shukriya.
Mukhlis,
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
Camp: Badaun (U.P.) India
Main un tamam members ka marhoon-e minnat hooN jinhoN ne meri Ghazal per "reply" bheje aur ashAAr ki pazeeraaii bhi farmayee.
MaiN aajkal salana ruKhsat per apne watan-e azeez meN hooN. YahaN Internet ki raftaar bahut bahut sust hai. Yehee sabab hai ke fardan fardan shukriya adaa karne ki bajye ek mushtarakah paiGham bhej raha hooN. Ummid hia nagaware Khatir na hoga.
Ek baar phir aap sub ka bahut bahut shukriya.
Mukhlis,
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
Camp: Badaun (U.P.) India
Re: Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN..................
janaab Jawaid saahab,
aadaab,
aap kee ghazal paRhee aur pasaNd aayee, daad qubool kijiye!
agar aap ijaazat deN tau 2 baateN kehnaa chaahooN gee jo aap kee ye paRhte huve mere zehn meN aayeeN.
Ek insaaN ka qatl behtar hai
Ek insaaN ka dil dukhane se
aap kaa ye she'r kuch ajeeb tarz kaa mehsoos huvaa hai. aap ke nazdeek insaan kee ehmiyat kuch' naheeN hai aur uss ke "dil" kee hai, ye baat maiN samajhne se qaaSir rahi.
hameN insaan hone ke naate apne ehsaasaat par tau qaaboo hai, magar insaani jaan chale jaaye tau hum usey vaapis laane meN mukhtaar naheeN haiN. mere nazdeek aap kaa ye she'r khayaal ke havaale se islaah chaahataa hai. agar naheeN tau aap iss kee tashreeh kar dijiye taa ke maiN apne khayaal kee islaah kar sakooN.
Gham manana hai gul ka moorjhana
"Phool khilte haiN muskurane se"
aap kee tazmeen kaa she'r samajh naheeN aa sakaa hai, agar aap is par thoRee roshni Daal sakeN tau mamnoon hooN gee.
umeed kartee hooN ke meree koyee baat naa.gavaar naheeN guzree ho gee.
mukhliS
Naheed

- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob waah waah
MuHtaram
Jawaid Badaayunii Saahib,
============
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki yeh TaraHi ghazal bahut pasand aayii. Saare ashAar bahut khoob heiN mashaallah. Aapki shayeri kii khaasiyat yeh ke akcar aapki ghazlaoN meiN koii nah koii paigham houtaa hei jo unkii manaviyyat ko char chand lagaadetaa hei.
Khaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.[/u]
Re: Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN..................
jawaid badauni wrote: KyooN gurezaN haiN aap aane se
Rabt baRhta hai aane jaane se
Ek insaaN ka qatl behtar hai
Ek insaaN ka dil dukhane se
AaKhirash woh bhi Khalee haath gaya
Shaah ko kya mila Khazane se
Adaab, Jawaid Sahib!
Aap ki taraHee ghazal bohot pasand aayi, daad aur mubarakbaad pesh hay.
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN..................
Anmol wrote:jawaid badauni wrote: KyooN gurezaN haiN aap aane se
Rabt baRhta hai aane jaane se
Ek insaaN ka qatl behtar hai
Ek insaaN ka dil dukhane se
AaKhirash woh bhi Khalee haath gaya
Shaah ko kya mila Khazane se
Adaab, Jawaid Sahib!
Aap ki taraHee ghazal bohot pasand aayi, daad aur mubarakbaad pesh hay.
Bahut bahut shukriya Anmol SahibaH
Mukhlis
Jawaid