Jeddah, meiN muqeem shayer Zafar MeHdi kaa deewaan

Shayer ke majmooA-e-kalaam per tabSirah aur aHbab-e-sukhan kii aaraa

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Jeddah, meiN muqeem shayer Zafar MeHdi kaa deewaan

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarameen Arbaab-e-Mehfil
Aur aHbaab-e-sukhan

Jeddah meiN urdu boulne waalaoN kaa jahaaN bhi ijtimaaA houtaa hei vahaaN Zafar Mehdi aur unki ahliyah ShamAa Zafar Mehdii kii taAreef meiN kalimaat-e-teHseen sunne kou milte heiN.

Zafar Saahib ke teesre majmooAa-e-kalaam kii runumaayii aur aek bahut hii hansmukh aur kuhnah mashq Shayer Naqvii Saahib kii taqreeb-e-widaaAi meiN khaaksaar bhii Haazir thaa. Ahbaab kaa kalaam sunkar bahut hii khushi houi aur hasb-e-istiTaaAt daad dene meiN meri Taraf se koii kamii nahiN houii.

Bahut ziyaadh sardi kii vajah se maiN majboor hougayaa ke chupke se doust abhabab ko chouRkar waapus houjaaooN.

Zafar Mehdi Saahib ne mujhe nah paakar apne majmooAa-e-kalaam "aatish-e-rang" kii aek copy Janab Irfan Barabankwi ke hawaale yeh kehkar kardi ke mujhe baTaur-e-TuHfah pahonchaadi jaaye. Isko kehte heiN khuloos o muhabbat. Unke liye koii zaroori nahiN thaa ke mujhe aek copy bhejte balkeh agar koii aajkal ke khudgharaz Hazraat kii TaraH houtaa wo tou mauqaA ghaneemat jaanker mujhko bhool hii jaataa.

=====
Zafar Mehdi ke majmooAa-e-kalaam "aatish-e-rang" ke baare meiN
YahaaN is baat kaa zikr zaroori hei ke inhouN ne "izhar-e-tashakkur" ke unwaan ke teHt 3 mehboob shakhsiyataoN kaa zikr kiyaa hei:
1- Sajjad Babar jinke ashAar sunne se arsa-e-daraaz se khaaksaar meHroom hei. Raseeli aur nasheeli takhleeqaat ke shaayer jinke baare meiN sunaa jaataa hei ke woh Pakistan lauT gaye heiN.
2- Qayyum Taahir, aek naye lab o lehjeh ke shaayer jinhouN ne Jeddah kii mafilaoN ko garm kiyaa aur taazagi bakhshi. Haal meiN kahaaN heiN nahiN malooM. Shayad woh yahaaN se US gaye houe thay, ab kahaaN heiN nahiN maAloom.
3- Aktar Zeidi, jinko maiN ne bahut kam sunaa hei lekin mujhe ilm hei ke inki shakhsiyat bhii bahut hii maqbool hei.

Jab Zafar Mehdi kaa kalaam koii sune tou wo kahegaa ke yeh bilkul fiTri shaayer heiN aur kalaam kii rawaani is baat kaa cuboot degii ke urdu zubaan kii sheereeni in kii nas nas meiN rachi basi hei. Inke saath inkii ahliyah MuHtaramah kaa bhii zikr is liye zaroori hei ke wo sirf aek achchi Shaayera hii nahiN balke Zafar Saahib kii sachchi rafeeqa-e-hayaat heiN.

Zafar Mehdi kii shayeri

Is jagah sab se pahle maiN woh ashAar naql karungaa jinkaa zikr mujh se pahle MuHtarameen tabsirah nigaaraoN ne kiyaa jinke intikhaab kii ehmiyat is liye bhii hei ke woh khaaksaar se ziyaadah ilm aur tajribah rakhte heiN.

mazhab hei miraa ishq muHabbat mira ieemaan
hei apni ibaadat isi ieeqaan meiN rehnaa.

Saari dunyaa se muHabbat karnaa
Umr bhar apnaa yeh manshoor rahaa

Gar aap chaahte heiN muHabbat mile janaab
Her shaiy se is jahaan meiN ulfat kiyaa kareN

Yeh kehnaa chaahtaa hooN maiN tamaam meHfil se
Agar gilah hei kisi se tou sirf is dil se

Bewafaa kehne kii jur'at kii jaaye
Sirf apnaoN se shikaayat kii jaaye

Zarb-e-kaari jo lagaayi thii lagaayi ham ne
meHfil-e-ghair meiN bhii shamAa jalaayi ham ne

khoobiyaaN uski bayaaN karte rahe der talak
ik naye Taur se kii uski buraayi ham ne

mas'alah koiee nahiN aisaa jo Hal hou nah sake
bas isi baat pah dunyaa ko manaane aaye

daur-e-Haazir ne laakh samjhaayaa
phir bhii maayil rahe ziyaaN kii Taraf

Khud per nigaah Daayiye ghairaoN kii aankh se
Dunyaa kii uske b'ad shikaayat kiyaa kareN

Is jahaaN ko sudhaarne se qabl
Ik zaraa khud ko bhii hidaayat kar

Tabsirah ghair ke kirdaar pah karne waale
Kyaa tiri khud se mulaaqaat nahiN houti hei

Jise bakhshi khudaa ne sarbulandii
Vohi tou sar jhukaakar boultaa hei

Kis meiN Taaqat hei ab jou keh jaaye
Meer ke Tarz kii shadeed ghazal

Daur-e-Hazir kaa hei andaaz-e-sukhan aur Zafar
Lehja-e-Meer Taqii Meer badalnaa hougaa


Meri nazar meiN tou saare ashAar hii dilkash heiN. Is daur meiN ghareeb-ul-waTani meiN urdu zubaan meiN shaayeri bazaat-e-khud jigar-souzii ke mutaraadif hei. Aek Taraf gham-e-rouzgaar, doosri Taraf mausam kii naasaazgarii aur us per zauq-e-sukhan!

Inki aek bahut hii mutabarrik Hamd kaa aek sheAr hei:
is bigaRte houe tanaazur meiN
rehnumaay-e-jahaaN hei zikr tiraa


Is meiN koii shak nahiN ke zikr se Zafar bhaayi kaa maqsad sirf zubaani zikr nahiN balkeh khudaa kii zaat o sifaat per kaamil iAtimaad rakhnaa. Ieemaan rakhnaa ke wohi parvardigaar hei jo kuch woh chaahtaa hei vohii houtaa hei lekin woh kisi per zulm nahiN kartaa. Aur usii kii Hukoomat hei dounoN jahaan per.

Doosri Hamd-e-baari taAalaa meiN kehte heiN:
fikr ke sab sitaare chamakte rahe
her sukhan teraa paighaam raushan rahaa


Subhaan-Allahu wa bi-Hamdehi. Agar maiN kahuN ke ieemaan inki rag rag meiN saraayat kargayaa hei tou bejaa nah hougaa.
naAt-e-Shareef S.A.W.S ke maTleA meiN kehte heiN:

naAt likhii tou baRhgaieeN fikr o bayaaN kii rifAateN
warnah miri bisaaT kiyaa aur kahaaN kii rifAateN

jin kaanaoN ne yeh maTlaA sunaa hougaa aur jin aankhaoN ne paRhaa hougaa, usko apni kam-maayagi kaa ehsaas houaa hougaa aur aek waalihaanah Aqeedat ke saath shafeeA-ul-muznibeen se uske dil meiN muHabbat kaa aek Toofan uThaa hougaa. Allah Zafar Saahib ko jazaye khair Ataa kare.
Apni is meHdood baseerat ke b'ad maiN Zafar bhaayi kii ghazlaoN ke chand khoobsoorat ashAar pesh karne kii jasaarat karungaa:

aasmaaN chup tou hei zameeN khaamoush
jab se hei meraa meh-jabeeN khamoush.

masliHat se zamaanah chup hei magar
aek tanhaa Zafar nahiN khamoush

pardes meiN deewar mili hei magar uskaa
saayah hei wa lekin Ajab andaaz kaa saayah

nah maikade se nah koo'ye butaaN se miltaa hei
dilaoN ko chain tire aastaaN se miltaa hei.

Khaaksaari kaa Hawaalah tou sabhii dete heiN
Phir badal kiuN nahiN dete heiN anaa kaa dastoor.


Isi andaaz se agar maiN Zafar Mehdi ke deewan aatish-e-rang se muntakhab ashAar likhtaaa jaauN aur unke saath khoobiyaaN bhii bayaan kartaa jaaooN tou mujhe un per aek zakheem kitaab likhni paRegi. Isi liye maiN apni baat ko mukhtasar karte houe inko aur unkii ahliyah ShamAa Bhaabi Saahibah ko dili daad aur mubaarakbaad pesh kartaa hooN.


Apaka Mukhlis,
Nazir.

Image
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

JANAB ABDULLAH NAZIR SAHIB!

assalam-o-alaikum

aap ne janab Zafar Mehdi sahib ki shakhsiyyat, akhlaaq aur unki takhaleeq par jo raushniiDaalii, us ke liye aap ke mamnoon haiN.
un ke muntakhib ash,aar bhi bohat pasand aey.

bohat shukriya.

khair andesh

najma
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat
Najmah aur Saara Saahibaat,


Purkhuloos TAsleemaat, :-)

Aap dounoN ka behad shukrguzaar hooN ke aap ne Zafar Mehdi Saahib ke deewan per mere mukhtasar se tabsireh ko pasand farmaayaa.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
Post Reply