Karo mujh pe itne sitam dosto
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
Karo mujh pe itne sitam dosto
Ghazal
1. Karo mujh pe itne sitam dosto!
K saanseN bhi paR jayeN kum dosto!
2. Jo har'soo hoN ranj-o-alam dosto!
KahaN ja ke chup jayeN hum dosto!
3. MaiN raah-e-wafa per chalooNgi sadaa
RukeNge na mere qadam dosto!
4. Abhi tak judayi ka Ghum hay mujhe
Abhi tak ye aankheN heN num dosto!
5. LuTaati rahi apni khushyaN wahaN
JahaaN se milaa sirf Gham dosto !
6. Abhi dard lafzoN meiN Dhaala nahiN
Abhi se na chheeno qalam dosto!
:Anmol:
1. Karo mujh pe itne sitam dosto!
K saanseN bhi paR jayeN kum dosto!
2. Jo har'soo hoN ranj-o-alam dosto!
KahaN ja ke chup jayeN hum dosto!
3. MaiN raah-e-wafa per chalooNgi sadaa
RukeNge na mere qadam dosto!
4. Abhi tak judayi ka Ghum hay mujhe
Abhi tak ye aankheN heN num dosto!
5. LuTaati rahi apni khushyaN wahaN
JahaaN se milaa sirf Gham dosto !
6. Abhi dard lafzoN meiN Dhaala nahiN
Abhi se na chheeno qalam dosto!
:Anmol:
- Attachments
-
- ghazal20.gif (11.26 KiB) Viewed 796 times
-
- -
- Posts: 134
- Joined: Mon Dec 13, 2004 5:52 am
- Location: khanewal
- Contact:
Re: Karo mujh pe itne sitam dosto
Anmol wrote:Ghazal
1. Karo mujh pe itne sitam dosto!
K saanseN bhi paR jayeN kum dosto!
2. Jo har'soo hoN ranj-o-alam dosto!
KahaN ja ke chup jayeN hum dosto!
3. MaiN raah-e-wafa per chalooNgi sadaa
RukeNge na mere qadam dosto!
4. Abhi tak judayi ka Ghum hay mujhe
Abhi tak ye aankheN heN num dosto!
5. LuTaati rahi apni khushyaN wahaN
JahaaN se milaa sirf Gham dosto !
6. Abhi dard lafzoN meiN Dhaala nahiN
Abhi se na chheeno qalam dosto!
:Anmol:
waah waah anmol!
bohat khoooooob.
itna umdah kalam hay, baar baar paRhaa aur har baar ik naya lutf paya.
5. LuTaati rahi apni khushyaN wahaN
JahaaN se milaa sirf Gham dosto !
wah kya baat hay
bohat hi khoob
bhar-pur daad qubool karo
aur
sada khushraho
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob waah waah
A N M O L
Purkhuloos Tasleemaat,
Waah Anmol, kyaa kehne, aaki yeh ghazal beHad pasand aayiee. Saare ke saare ashAar bahut dilkash heiN aur paRhne waale ke dil per gehraa acar chouRne waale heiN. KiyuN nahiN, aek do din kii riyaazat thouri hii hei. Saalhaa saal kii mashq-e-sukhan ne aapko is qaabil banaayaa hei.
Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Last edited by Abdullah Nazir on Thu Jun 09, 2005 1:09 am, edited 1 time in total.
To aap mujhe ab tak kya samajh rahay they?BeeKay wrote:Arayyyyyyyyyy Waaaaah wah wah!!! :rose :rose :rose :rose :rose
Kiya kehnay haiN!!! =D> =D> =D>
Bahut khoob!!!
(tum tou waaqayiiiiiiiiiiiiiiiii Shairah ban gayi ho!!! )
Wese baqol-e-shayir,
Abhi to nikharna hay fann ko bohot
Abhi aur Khoon-e-jigar dosto! ----> (Zia Baloch)
Thanks BK, aap ki jaanib se tareefi sanad paa kar Khushi hui.
Waqar Sahib, adaab!waqar_masood wrote:wah
wah
wah
anmool ji buhut khoob, kia matla , kia hi khoob ashaar aur kia hi khubsoorat maqta hay .. daad hazir hay ..kia hi khubsoorat ghazal kahi aap nay ,
waqar masood
Aap ki besaakhta daad se bohot hosla'afzayi hui. Mere adna se kalaam ko is qadar saraahne ka behad shukria.
Re: Karo mujh pe itne sitam dosto
Dear Najma Ji, adaab!najma wrote:
waah waah anmol!
bohat khoooooob.
itna umdah kalam hay, baar baar paRhaa aur har baar ik naya lutf paya.
5. LuTaati rahi apni khushyaN wahaN
JahaaN se milaa sirf Gham dosto !
wah kya baat hay
bohat hi khoob
bhar-pur daad qubool karo
aur
sada khushraho
Ghazal per aap ki is qadar waah waah dekh kar dil ko yaqeen ho chala hay k ghazal waqai kisi laaiq hogi tabhi aap sab ko pasand aayi hay.
Pazeerayi k liye behad mamnoon huN, shukria.
Re: Bahut khoob waah waah
Mohtaram Nazir Sahib, adaab!WEBMASTER wrote:
A N M O L
Purkhuloos Tasleemaat,
Waah Anmol, kyaa kehne, aaki yeh ghazal beHad pasand aayiee. Saare ke saare ashAar bahut dilkash heiN aur paRhne waale ke dil per gehraa acar chouRne waale heiN. KiyuN nahiN, aek do din kii riyaazat thouri hii hei. Saalhaa saal kii mashq-e-sukhan ne aapko is qaabil banaayaa hei.
Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
:P Aap jese mohtaram ustaad se shabbashi paa kar bohot Khushi mehsoos ho rahi hay. Aaj jis maqaam per huN, us tak aap asatiza ne hi to pohnchaya hay.
Yunhi hosla'afzayi farmate rahiyye, shukria.
Thanks Sara, tumhari daad se behad Khushi hui, tumhari dost ki ghazal bhi dekhi, Khoob hay.sara_j wrote: dear anmol,
salaam.
waah bohat khoob ghazal kahi ho,
6. Abhi dard lafzoN meiN Dhaala nahiN
Abhi se na chheeno qalam dosto!
waah awesome! bohat khoob!
aek dilkush kavish per dhairon daad aur mubarakbaad qubool karo.
tumhari is ghazal se mutassir hokar bohatse
sukhanwar ne bhi taba azmaii ki hai,zara ye link bhi dekhna meri aek achi saheli ni bhi koshish ki hai:
http://forum.urdubandhan.com/phpBB2/vie ... php?t=1242
sara.