Meri Tarahee Ghazal (Guz. # 6)
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Meri Tarahee Ghazal (Guz. # 6)
Ghazal
MaiN zameeN tum ho aasmaaN yaaro
“Tum kahaN aur maiN kahaN yaaro”
Zabt-e Gham ka tha imtihaaN yaro
Kaise hum kholte zubaaN yaaro
Doob jaayeN kahaN kise mAloom
KashtiyaN phir haiN kashtiyaN yaaro
TooT jaate haiN pyaar ke rishte
Jab anaa aaye darmiyaN yaaro
Aaj jinke liye maiN kuch bhi nahiN
Woh abhi tak haiN meri jaaN yaaro
Khaar aayeN keh phool daman meN
Hum ko pyara hai gulsitaaN yaaro
Kitne naawaaqif-e rah-e manzil
Ban gaye meer-e kaarvaaN yaaro
Jab bhi “Jawaid” per paRa hai waqt
Jaane tum kho gaye kahaN yaaro
-----------------------------------------
Last edited by jawaid badauni on Wed Jun 08, 2005 7:27 pm, edited 3 times in total.
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut bahut khoob
MuHtarami
Jawaid Badayuni Saahib
Purkhuloos Tasleemaat,
Guzarish 6 ke misreA per aapki ghazal laajavaab hei. Saare ke saare ashAaar bahut pasand aaye. Aap ne tou kamaal kardiyaa hei.
Aek baat zaroor hei keh aapke ashAar, mujhe apni TaraHi ghazal kehne meiN madadgaar caabit hounge. Waah waah bahut khoob.
Khaaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Bahut bahut khoob
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Jawaid Badayuni Saahib
Purkhuloos Tasleemaat,
Guzarish 6 ke misreA per aapki ghazal laajavaab hei. Saare ke saare ashAaar bahut pasand aaye. Aap ne tou kamaal kardiyaa hei.
Aek baat zaroor hei keh aapke ashAar, mujhe apni TaraHi ghazal kehne meiN madadgaar caabit hounge. Waah waah bahut khoob.
Khaaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Mohtarmee wa maKhdoomi Nazir Sahab, Aadab
Aapki tahseen meN aapka Khuloos-e bekaraN shamil ho gaya hai. MaiN Ghazal ki behud.o.beshumar pazeeraaii per shaminda so ho gaya hooN. MaiN to aap se yeh ummid lagaye rahta hooN keh aap kuch ilmi aur funny ghaltiyon ki nashandihi farmayeNge, jo hamara aap per haq banta hai.
Gushishta dinoN dushmanoN kee tabeeyat kuch Kharab thee. Aaj aap ki post dekh kar yeh bhi itmenaan ho gaya keH ab Masha' Allah aap ke mizaaj baKhair haiN.
Khairtalab,
Jawaid Badauni
Muscat -Oman
Camp: Dubai (UAE)
Re: Meri Tarahee Ghazal (Guz. # 6)
jawaid badauni wrote:
Ghazal
MaiN zameeN tum ho aasmaaN yaaro
“Tum kahaN aur maiN kahaN yaaro”
Zabt-e Gham ka tha imtihaaN yaro
Kaise hum kholte zubaaN yaaro
Doob jaayeN kahaN kise mAloom
KashtiyaN phir haiN kashtiyaN yaaro
TooT jaate haiN pyaar ke rishte
Jab anaa aaye darmiyaN yaaro
Aaj jinke liye maiN kuch bhi nahiN
Woh abhi tak haiN meri jaaN yaaro
Khaar aayeN keh phool daman meN
Hum ko pyara hai gulsitaaN yaaro
Kitne naawaaqif-e rah-e manzil
Ban gaye meer-e kaarvaaN yaaro
Jab bhi “Jawaid” per paRa hai waqt
Jaane tum kho gaye kahaN yaaro
-----------------------------------------
bohat khoob jawaid bhaee
bohat umdahklam hay
dilii daad qubool kijiye
khair andesh
najma
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Taskeen wrote:Jawaid Bhai.....ASAK,
Bahut hi umda ghazal itne mushkil kaafiye par Subhaan allah, Zabardast kaawish hai....Daad-e-tehseen wa mubarakbaad qabool farmaiye.
Talib-e-Dua
To aap yahaN bhi maujood haiN Taskeen sahab. Masha' Allah. Mere tA'Aqqub men rahiye insha Allah faaide meN raheNge.
Bhaai ghazal ki pazeeraai ke liye bahut bahut shukriya.
Khoosh raheN,
Mukhlis, Jawaid
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Meri Tarahee Ghazal (Guz. # 6)
najma wrote:jawaid badauni wrote:
Ghazal
MaiN zameeN tum ho aasmaaN yaaro
“Tum kahaN aur maiN kahaN yaaro”
Zabt-e Gham ka tha imtihaaN yaro
Kaise hum kholte zubaaN yaaro
Doob jaayeN kahaN kise mAloom
KashtiyaN phir haiN kashtiyaN yaaro
TooT jaate haiN pyaar ke rishte
Jab anaa aaye darmiyaN yaaro
Aaj jinke liye maiN kuch bhi nahiN
Woh abhi tak haiN meri jaaN yaaro
Khaar aayeN keh phool daman meN
Hum ko pyara hai gulsitaaN yaaro
Kitne naawaaqif-e rah-e manzil
Ban gaye meer-e kaarvaaN yaaro
Jab bhi “Jawaid” per paRa hai waqt
Jaane tum kho gaye kahaN yaaro
-----------------------------------------
bohat khoob jawaid bhaee
bohat umdahklam hay
dilii daad qubool kijiye
khair andesh
najma
Bahut bahut shukriya Bahin Najma Ansaar Sahibah. Aapki daad.o.tahseen se meri hausla afzaaii hoi hai.
Mukhlis, Jawaid Badauni
Re: Meri Tarahee Ghazal (Guz. # 6)
Waah waah waah. Kya khoob rawaaN dawaaN ghazal irshaad farmayi hay Jawed Sahib aap ne. Girah bhi Khoob hay, aur quoted ashaar bhi bohot pasand aaye, aur maqta ka to jawab nahiN. :Pjawaid badauni wrote: MaiN zameeN tum ho aasmaaN yaaro
“Tum kahaN aur maiN kahaN yaaro”
Zabt-e Gham ka tha imtihaaN yaro
Kaise hum kholte zubaaN yaaro
TooT jaate haiN pyaar ke rishte
Jab anaa aaye darmiyaN yaaro
Khaar aayeN keh phool daman meN
Hum ko pyara hai gulsitaaN yaaro
Jab bhi “Jawaid” per paRa hai waqt
Jaane tum kho gaye kahaN yaaro
-----------------------------------------
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Meri Tarahee Ghazal (Guz. # 6)
Anmol wrote:Waah waah waah. Kya khoob rawaaN dawaaN ghazal irshaad farmayi hay Jawed Sahib aap ne. Girah bhi Khoob hay, aur quoted ashaar bhi bohot pasand aaye, aur maqta ka to jawab nahiN. :Pjawaid badauni wrote: MaiN zameeN tum ho aasmaaN yaaro
“Tum kahaN aur maiN kahaN yaaro”
Zabt-e Gham ka tha imtihaaN yaro
Kaise hum kholte zubaaN yaaro
TooT jaate haiN pyaar ke rishte
Jab anaa aaye darmiyaN yaaro
Khaar aayeN keh phool daman meN
Hum ko pyara hai gulsitaaN yaaro
Jab bhi “Jawaid” per paRa hai waqt
Jaane tum kho gaye kahaN yaaro
-----------------------------------------
Azeeza Anmol SahibaH
Tasleemaat
Ghazal ki pazeeraaii ke liye aap ka mamnoon hooN. Himmat afzaaii ke liye ek baar phir shukriya.
Mukhlis
Jawaid
-
- -
- Posts: 13
- Joined: Wed Apr 13, 2005 3:50 pm
- Location: Distt.: Gujrat, Pakistan.
- Contact:
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
AshAAr ki pazeeraai ke liye marhooNe minnat hooN Mahtaab Qadr Sahab. MaiN ne yeh ghazal sub se pahle bhej dee thee shayad aap ne aaj hi dekhi hai.Mahtab Qadr wrote:ustaad e sukhan jawaid badauni sahib . bahut khoob
achi ghazal irshad farmai hai , khas taur par ye sher,
Zabt-e Gham ka tha imtihaaN yaro
Kaise hum kholte zubaaN yaaro
TooT jaate haiN pyaar ke rishte
Jab anaa aaye darmiyaN yaaro
Khaar aayeN keh phool daman meN
Hum ko pyara hai gulsitaaN yaaro
Aap ki tarahee ghazal ka intezaar hai.
Mukhlis
Jawaid
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Re: Meri Tarahee Ghazal (Guz. # 6)
jawaid badauni wrote:
Ghazal
[colore=darkblue]MaiN zameeN tum ho aasmaaN yaaro
“Tum kahaN aur maiN kahaN yaaro”[/colore][/b]
bohaaaaaaat khoobsurat giraah lagaae hai Wallah Mashallah
Zabt-e Gham ka tha imtihaaN yaro
Kaise hum kholte zubaaN yaaro
waaaaaah zabardast!!!!
Doob jaayeN kahaN kise mAloom
KashtiyaN phir haiN kashtiyaN yaaro
:rose achaa hai
TooT jaate haiN pyaar ke rishte
Jab anaa aaye darmiyaN yaaro
:rose :rose
Aaj jinke liye maiN kuch bhi nahiN
Woh abhi tak haiN meri jaaN yaaro
=D> =D> =D>
Khaar aayeN keh phool daman meN
Hum ko pyara hai gulsitaaN yaaro
areal nice one indeed
Kitne naawaaqif-e rah-e manzil
Ban gaye meer-e kaarvaaN yaaro
kayaa Haqeeqat bayaan fermaaee hai janaab merHabaa!!!
Jab bhi “Jawaid” per paRa hai waqt
Jaane tum kho gaye kahaN yaaro
:rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose
aik murassah gahazal inaayat fermaane per dilee shukeriyah.
wassalam
-----------------------------------------
live and let live