FaasLe iTne hain, ik Qurb ka, imkaaN nahin ...

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

FaasLe iTne hain, ik Qurb ka, imkaaN nahin ...

Post by Raji »

Azeezi Saatiyoon (Khas kar Urdustaaniyoo.n )

Aadaab-o-tasleemat,

Tiger ke invitation per jub yahaan tashreef lahe tu kyaa daikHte hain ke poora ka poora Urdustan yahaan maujood hai. So hum baghair kisee formality ke baqahidaa iss bazm mein shamooliyaat kee ibitdaa karte hain ummeed hai ke hamain hasb-e-mamooL garm-joshi se khush^aamadeed kaha jahe gaa.

Ek bauth hee puraaNi takhleeq ke saat iss baat kee muntazir ke apni aaraa aur rah^numahi se meHroom nahin karen ge:

Wassalam

Zahida Raees :Raji:
Attachments
FasLe Itne hain iK qurB ka imkaaN nahin
FasLe Itne hain iK qurB ka imkaaN nahin
fasilay.gif (8.3 KiB) Viewed 911 times
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: FaasLe iTne hain, ik Qurb ka, imkaaN nahin ...

Post by Mahtab Qadr »

Raji wrote:Azeezi Saatiyoon (Khas kar Urdustaaniyoo.n )

Aadaab-o-tasleemat,

Tiger ke invitation per jub yahaan tashreef lahe tu kyaa daikHte hain ke poora ka poora Urdustan yahaan maujood hai. So hum baghair kisee formality ke baqahidaa iss bazm mein shamooliyaat kee ibitdaa karte hain ummeed hai ke hamain hasb-e-mamooL garm-joshi se khush^aamadeed kaha jahe gaa.

Ek bauth hee puraaNi takhleeq ke saat iss baat kee muntazir ke apni aaraa aur rah^numahi se meHroom nahin karen ge:

Wassalam

Zahida Raees :Raji:
Khushaamdeed Zahida Raees Raji sahiba
aap sahi muqam par tashree le ai haiN. chahe kisi sher babar ki dawat par hi ai hoN.:) haN jis muqam per bhi urdu ki khidmat ho sake hameiN apne aap ko aage rakhna hai , yaaqeenam mai aur tamam sathi aapko poori garm jooshi se welcome kahte haiN. aur aapki is purani ghazal par nai daad pesh karte haiN.:)

khas taur par do sher bahut pasand aye.. NO> 2 aur 3
vo naye rang naye dhang badalta insaaN
jaan kar bhi mujhe uski koi pahchaan nahi

ham to shayer haiN kisi sher mai miljaiNge
vo hai fankaar usay khojna aasan nahi

bahut bahut shukria
MQ
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam Zahida saaHiba,

ummeed hai ki aap ab mukammil taur par roo_ba_sehat ho chukii hoNgii. yaqeenan, aap saHeeH jagah par tashreef le aayii haiN aur ham aapkaa teh-e-dil se Khair maqdam karte haiN. Khush-aamded!

aapkaa kalaam paRhaa aur bahot lutf aayaa paRh kar. ek ek she'r moti kii tarah piroye ahiN aapne. saare ash'aar meN aapne insaaniyat kii dukhti rag par ungli rakkhi hai...be-shak rooH be-daar ho jaati hai paRh kar. kaash hameN Allah behtar insaan banne kii taufeeq 'ataa farmaaye. aameen!

faqat aapkaa shukr_guzaar,

Hashmat
Image
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Re: FaasLe iTne hain, ik Qurb ka, imkaaN nahin ...

Post by Raji »

Mahtab Qadr wrote:
Raji wrote:Azeezi Saatiyoon (Khas kar Urdustaaniyoo.n )

Aadaab-o-tasleemat,

Tiger ke invitation per jub yahaan tashreef lahe tu kyaa daikHte hain ke poora ka poora Urdustan yahaan maujood hai. So hum baghair kisee formality ke baqahidaa iss bazm mein shamooliyaat kee ibitdaa karte hain ummeed hai ke hamain hasb-e-mamooL garm-joshi se khush^aamadeed kaha jahe gaa.

Ek bauth hee puraaNi takhleeq ke saat iss baat kee muntazir ke apni aaraa aur rah^numahi se meHroom nahin karen ge:

Wassalam

Zahida Raees :Raji:
Khushaamdeed Zahida Raees Raji sahiba
aap sahi muqam par tashree le ai haiN. chahe kisi sher babar ki dawat par hi ai hoN.:) haN jis muqam per bhi urdu ki khidmat ho sake hameiN apne aap ko aage rakhna hai , yaaqeenam mai aur tamam sathi aapko poori garm jooshi se welcome kahte haiN. aur aapki is purani ghazal par nai daad pesh karte haiN.:)

khas taur par do sher bahut pasand aye.. NO> 2 aur 3
vo naye rang naye dhang badalta insaaN
jaan kar bhi mujhe uski koi pahchaan nahi

ham to shayer haiN kisi sher mai miljaiNge
vo hai fankaar usay khojna aasan nahi

bahut bahut shukria
MQ

Mautarum Mahtab qadr saaHeb:

Aadaab-o-tasleemat,

Aap ke pur-khuloos istiqbaal aur ghazal kee pasandeedgi ke liye diL kee ghairahiyoon se mamnoon hoon.

Ummeed kartee hoon ke aahinda bhi aap yonhi hosla^afzai karte raheinge.

Wassalam

Zahida Raees :Raji:
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: FaasLe iTne hain, ik Qurb ka, imkaaN nahin ...

Post by Mahtab Qadr »

Raji wrote:

zahida raji sahiba

achay kalam par daad na dena yaqeenan shayer ki haqtalfi hai, agar kabhi aisi bhol chook ho bhi jaye to takheer se hi sahi sitayesh mai bukhl maqool logoN ko zaib nahi deta. islye aap ki khoobsurat aur purasar shayeri paar daad o tahseen ke phool pesh karna aap ka haq hai.
shukria
MQ
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

sara_j wrote:Rajii sis,

salam.

leejiye aapne kaha aur hum josh o kharosh se aapki hosla afzai karne pahunch gaye :D .

voh naye rung naye dhung badalta insaaN
jaan ker bhi mujhe uski koii pehchaan nahi

very nice!

aek chehraa jou hai zaahir vahi baatin hota
mere atraaf mein aisa koi insaan nahi

bohat khoob! bohat sach kaha!

ham to shayer haiN kisi sher mai miljaiNge
vo hai fankaar usay khojna aasan nahi

waah!

uthna chaahe tou falak se bhi hai ooncha insaaN
aur gir jaaye tou badtar koii hiawaan nahi

waah! bohat khoob!

Rajii saahiba bohat khoob likha hai, sabhi asha'ar dil per asar choRh jaate hain.

ainda bhi aapke kalaam ka intezar rahega.

shukriya,

sara
Azeezi Sara sis:
Aadaaaab :)
Bauth bauth shukriya ke aap nein hamaree iss dass (10) saaaL puraani takhleeq ko pasand kiya aur hosla^afzai farmahi.
Daad ke liye walekum thanks aur haan aahinda bhi aati jaatee raha keejiye ke hum nau^mashqoon ka diL^gurdaa baRa hojaata hai jub koi itne khuloos se hosLa^afzai karta hai.
Khush rahiye
Wassalam

Zahida Raees :Raji:
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Assalam-o-a'laikum,

moHtarama Raji Sis ,

aap ki yeh dil-nasheeN ghazal paRhee to bahut pehle thee, magar bar-waqt jawaab dene se qaaSir raha, jis keleye meri maa'zirat qabool farmaaye :oops: .
aap ki ghazal Hasb-e-maa;mool hameN jee jaan se pasand aayee :D , aap ne jis khush-usloobi se u'mdah mazaamen ko ahsa'aar ka roop diyaa hai woh yaqeena" qaabil-e-taHseen hai :!: , meri jaanib se DheroN daad qabool kejeye. shukriya.

mokhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Khushaamaded Raji Saahibah

Post by Abdullah Nazir »

Muhtaramah
R A J I Saahibah

Purkhuloos Tasleemaat, :)

Aap kii tashreef aavari ne hamari bazm ko raushan kardiyaa. Ummeed kartaa hooN ke aap apni is site ko zindah rakhne ke liye apni takhleeqaat se navaazti rahengi.

Aapki yeh puraani ghazal mukhtasar aur mufeed hei. Achche ashAar heiN. Khaksaar kii daad aur mubaarakbaad haazir hei.

Aapka Mukhlis,

Nazir.

Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

Hashmat Usmani wrote:salaam Zahida saaHiba,

ummeed hai ki aap ab mukammil taur par roo_ba_sehat ho chukii hoNgii. yaqeenan, aap saHeeH jagah par tashreef le aayii haiN aur ham aapkaa teh-e-dil se Khair maqdam karte haiN. Khush-aamded!

aapkaa kalaam paRhaa aur bahot lutf aayaa paRh kar. ek ek she'r moti kii tarah piroye ahiN aapne. saare ash'aar meN aapne insaaniyat kii dukhti rag par ungli rakkhi hai...be-shak rooH be-daar ho jaati hai paRh kar. kaash hameN Allah behtar insaan banne kii taufeeq 'ataa farmaaye. aameen!

faqat aapkaa shukr_guzaar,

Hashmat

Mautarum Hashmat Usmani saaHeb:

Walaikum Asslaam,

Jee bilkul Allah (swt) ke fazl-o-karam se aap sub kee dua^en rang le aahein hain aur mein sehatyaab ho chuki hoon. :)

Aap nein mere kalaam aur usske nafs-e-mazmoon ko pasand farmayaa iss ke liye mein aap kee shukrguzaar hoon.

Aap kee neik dua per mein bhi "Aameen " keHtee hoon :)

Ummeed kartee hoon ke hosla^afzai ka yeh silsilah aahinda bhi jaare rakheinge.

Wassalam

Zahida Raees :Raji:
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Re: FaasLe iTne hain, ik Qurb ka, imkaaN nahin ...

Post by Raji »

Mahtab Qadr wrote:
Raji wrote:
Mahtab Qadr wrote: Khushaamdeed Zahida Raees Raji sahiba
aap sahi muqam par tashree le ai haiN. chahe kisi sher babar ki dawat par hi ai hoN.:) haN jis muqam per bhi urdu ki khidmat ho sake hameiN apne aap ko aage rakhna hai , yaaqeenam mai aur tamam sathi aapko poori garm jooshi se welcome kahte haiN. aur aapki is purani ghazal par nai daad pesh karte haiN.:)

khas taur par do sher bahut pasand aye.. NO> 2 aur 3
vo naye rang naye dhang badalta insaaN
jaan kar bhi mujhe uski koi pahchaan nahi

ham to shayer haiN kisi sher mai miljaiNge
vo hai fankaar usay khojna aasan nahi

bahut bahut shukria
MQ

Mautarum Mahtab qadr saaHeb:

Aadaab-o-tasleemat,

Aap ke pur-khuloos istiqbaal aur ghazal kee pasandeedgi ke liye diL kee ghairahiyoon se mamnoon hoon.

Ummeed kartee hoon ke aahinda bhi aap yonhi hosla^afzai karte raheinge.

Wassalam

Zahida Raees :Raji:

zahida raji sahiba

achay kalam par daad na dena yaqeenan shayer ki haqtalfi hai, agar kabhi aisi bhol chook ho bhi jaye to takheer se hi sahi sitayesh mai bukhl maqool logoN ko zaib nahi deta. islye aap ki khoobsurat aur purasar shayeri paar daad o tahseen ke phool pesh karna aap ka haq hai.
shukria
MQ

Mautarum Janab-e-Mahtaab Qadr saaHeb:
Aadaab-o-tasleemat:

Ek baar phir aap ki shukr-guzaar hoon ke aap nein dobaraa mere kalaam per apni aaraa ka izhaar itNe haseen khayaalat ke saat kiya ke mere paas keHne ke liye alfaaz khatum ho gahe.

Mamnoon

Zahida Raees :Raji:
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Re: Khushaamaded Raji Saahibah

Post by Raji »

WEBMASTER wrote:
Muhtaramah
R A J I Saahibah

Purkhuloos Tasleemaat, :)

Aap kii tashreef aavari ne hamari bazm ko raushan kardiyaa. Ummeed kartaa hooN ke aap apni is site ko zindah rakhne ke liye apni takhleeqaat se navaazti rahengi.

Aapki yeh puraani ghazal mukhtasar aur mufeed hei. Achche ashAar heiN. Khaksaar kii daad aur mubaarakbaad haazir hei.

Aapka Mukhlis,

Nazir.

Mautarum Janab-e-Nazir SaaHeb

Aadaab-o-tasleemat:

Agar mein ghaltee per nahein hoon tu yeh peHLee baar howa hai ke aap nein mere kisee kalaam per apni aaraa paish kee hai.
Iss liye yeh meree khush-naseebi hai ke aap nein meree iss kawish ko saraaha. :)

Aap ke khat, walehaana istiqbaal, kalaam per daad aur mubarakbaad ke liye diL ki gherahiyoon se mamnoon hoon. :)

Iss yaqeen ke saat ke aahinda bhi aap hosla^afzai karte raheinge aur saat hi saat rah^numhai ka siLsilah bhi jaaree rakheinge. :)

Wassalam

Zahida Raees :Raji:
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

Star Mind wrote:Assalam-o-a'laikum,

moHtarama Raji Sis ,

aap ki yeh dil-nasheeN ghazal paRhee to bahut pehle thee, magar bar-waqt jawaab dene se qaaSir raha, jis keleye meri maa'zirat qabool farmaaye :oops: .
aap ki ghazal Hasb-e-maa;mool hameN jee jaan se pasand aayee :D , aap ne jis khush-usloobi se u'mdah mazaamen ko ahsa'aar ka roop diyaa hai woh yaqeena" qaabil-e-taHseen hai :!: , meri jaanib se DheroN daad qabool kejeye. shukriya.

mokhliS : Zia Baloch
Azeezi braadaram Zia Baloch
Aadaab,

takheer se likhne ke liye maa^zrat. aap ne likhne meN dair kee koi baat naheiN aa tu gahe yahi bohat hai :)
Aap ke mukhisaana khat, kalaam kee pasandeedgi aur daad ke liye dil kee ghairahyoN se mamnoon hooN.

Ummeed kartee hooN ke aahinda bhi aap apni aaraa se nawazte raheinge

Wassalam

Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
Post Reply