Khushamdeed tariq Mehmood saahib

Ham Istaqbal karte haiN aap apna taarruf karwaiN:)
Post Reply
waqar_masood
-
-
Posts: 134
Joined: Mon Dec 13, 2004 5:52 am
Location: khanewal
Contact:

Post by waqar_masood »

janab tariq sahib

urdubandhan main aap ko bay had khushamdeed....

waqar masood
hello
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Salaam hamari jaanib se bhi URDUBANDHAN mein KHUSHAAMADEED Tariq sahab :)

SHumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam janaab-e-Taariq MeHmood saaHib,
[rainbow][h2]Khush-aamded/Welcome/Shubh-aagaman
[/h2][/rainbow]

aapkii tashreef aavorii ka ham teh--e-dil se shukria adaa karte haiN aur aapkaa isteqbaal karte haiN. ummeed hai ki aapkaa waqt is meHfil meN achchhaa guzregaa aur ham aap se kuchh seekh sakeNge. aapkii nigaarishaat kaa shiddat se intezaar rahegaa.

faqat muKhlis.

Hashmat
Image
User avatar
Naveed_Ahmad_Naveed
-
-
Posts: 68
Joined: Thu Dec 09, 2004 6:46 am
Location: Pakistan
Contact:

Post by Naveed_Ahmad_Naveed »

Tariq saaHib aap ki dil ki geraiuN se is bazm meiN istqbaal hai. :)
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Post by Abdullah Nazir »

[rainbow][h2]Khush-aamded TARIQ MEHMOOD SAAHIB
[/h2][/rainbow]


Aapki tashreefaavari se hameN intihaayi khushi houi ke aap ne apni hi site Urdubandhan ko raushan kardiyaa. Ham urdu boulne, likhne, paRhne waalaoN ke bandhan ka aik aisaa aTooT rishtah hei jisiko yooN bayaan kiyaa jaasaktaa hei ke dunyaa ke mukhtalif mulkaoN meiN bikhre houe pattaoN kii taraH se muntashir rehne ke bavajood aik doosre se isqadar qareeb heiN ke agar aik shakhs kaa dil dukhtaa hei sab ke dil ranjoor houjaate heiN aur jab kik ko farhat naseeb houti hei tou baaqi saare afraad khushi se jhoomne lagte heiN. Is se baRhkar hameN kyaa chaahiye. Is liye aap kii aamad hamaare liye aik khushi kaa paigham lekar aayi hei ke hamare bandhan meiN aik aur saathi ka izaafah hougayaa hei.

Ummeed kartaa hooN ke aap hameN apni takhleeqaat se navaazenge aur apne ehsaasat sur irshaadaat se aagaah farmayenge. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

Post Reply