Ghazal: "Gham nahiiN ..."

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Ghazal: "Gham nahiiN ..."

Post by irfan abid »

aadaab, dosto!

:Jigar: Muradabadi kii zameen meN ek koshish pesh-e-Khidmat hai. hasb-e-maamuul aap kii raae kaa intizaar rahegaa.

Ghazal

Gham nahiiN, dunyaa jo samjhe Khaak meN shaamil mujhe
aap kahiye, aap ne samjhaa hai kis qaabil mujhe

maiN, ki thaa terii hii dhun meN do jahaaN se be.niyaaz
tuu, ki apne aap se samjhaa kiyaa Ghaafil mujhe!

taab kab tak naa.muraadii kii bhalaa laayegaa hosh
Dar hai deevaanaa na kar de aarzuu-e-dil mujhe

kunj-e-sahraa, lutf-e-Khalvat, yaad-e-jaanaaN, soz-e-dil
vaah rii deevaangii! kyaa kyaa nahiiN haasil mujhe!

marte dam us kii pashemaanii na dekhii jaayegii
:baRh ke seene se na lipTaa le miraa qaatil mujhe:

maiN to lauh-e-vaqt par ik naa.mukammal naqsh thaa
kar diyaa terii nigaah-e-lutf ne kaamil mujhe

ye dil-e-muztar talaatum chaahtaa hai bahr kaa
raas aayaa hii nahiiN, yaaro! kabhii saahil mujhe

teraa naqsh-e-paa nazar aayaa jo chashm-e-shauq ko
zarrah zarrah raah kaa lagne lagaa manzil mujhe

kyaa Gham-e-dunyaa kaa thaa kuchh kam azaab, ai aasmaaN?
de diyaa us par jo ye aazaar-e-dard-e-dil mujhe

Ghair to phir Ghair haiN :Abid: haqeeqat to ye hai
kar diyaa apnoN ne roz-e-hashr kaa qaail mujhe!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

muhtaramee Irfan Saaheb: aadaab!

aap kee Ghazal Hasb-e-ma'mool nafees aur dilkash hai. meree naacheez daad qubool farmaa,iYe.

ab agar gustaaKhee nah samjh`eN to itnaa a'rZ^ karooN gaa keh mat^la' meN :shaamil: kaa qaafiyah :Khaak: ke saath` ziyaadh mauzooN naheeN meHsoos huwaa. Khaak meN :milnaa: to sunaa hai :Khaak meN shaamil samajh`naa: qadre Ghair-maanoos saa hai:

Gham nahiiN, dunyaa jo samjhe Khaak meN shaamil mujhe
aap kahiye, aap ne samjhaa hai kis qaabil mujhe
-------------------------------
doosre yeh keh aap kaa maqt^a' hai:

Ghair to phir Ghair haiN :Abid: haqeeqat to ye hai
kar diyaa apnoN ne roz-e-hashr kaa qaail mujhe!

pehlaa miSra' sust hai, KhuSooSa" :Haqeeqat to yeh hai: kaa tukRa. be-iKhtiyaar zabaan se niklaa keh:

Ghair to haiN Ghair :Abid: par Haqeeqat hai yehee
kar diyaa apnoN ne roz-e-hashr kaa qaail mujhe!

magar yeh to Sirf meree raaYe hai jo baarhaa pehle bh`ee Ghalat^ reh chukee hai! ph`ir bh`ee dekh` lene meN to harj naheeN!

ek u'mdah kaavish par mubaarakbaad!

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: Ghazal: "Gham nahiiN ..."

Post by Mahtab Qadr »

irfan abid wrote:aadaab, dosto!

:Jigar: Muradabadi kii zameen meN ek koshish pesh-e-Khidmat hai. hasb-e-maamuul aap kii raae kaa intizaar rahegaa.

Ghazal

Gham nahiiN, dunyaa jo samjhe Khaak meN shaamil mujhe
aap kahiye, aap ne samjhaa hai kis qaabil mujhe

maiN, ki thaa terii hii dhun meN do jahaaN se be.niyaaz
tuu, ki apne aap se samjhaa kiyaa Ghaafil mujhe!

taab kab tak naa.muraadii kii bhalaa laayegaa hosh
Dar hai deevaanaa na kar de aarzuu-e-dil mujhe

kunj-e-sahraa, lutf-e-Khalvat, yaad-e-jaanaaN, soz-e-dil
vaah rii deevaangii! kyaa kyaa nahiiN haasil mujhe!

marte dam us kii pashemaanii na dekhii jaayegii
:baRh ke seene se na lipTaa le miraa qaatil mujhe:

maiN to lauh-e-vaqt par ik naa.mukammal naqsh thaa
kar diyaa terii nigaah-e-lutf ne kaamil mujhe

ye dil-e-muztar talaatum chaahtaa hai bahr kaa
raas aayaa hii nahiiN, yaaro! kabhii saahil mujhe

teraa naqsh-e-paa nazar aayaa jo chashm-e-shauq ko
zarrah zarrah raah kaa lagne lagaa manzil mujhe

kyaa Gham-e-dunyaa kaa thaa kuchh kam azaab, ai aasmaaN?
de diyaa us par jo ye aazaar-e-dard-e-dil mujhe

Ghair to phir Ghair haiN :Abid: haqeeqat to ye hai
kar diyaa apnoN ne roz-e-hashr kaa qaail mujhe!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
Bhai Irfan Abid Sahib
salam
Aap ki ghazal nazarnawaz huvi , waqai lutf aagaya parhkar. Jigar ki zameen aap ka asloob e bayaN. zaban ki chashni, bahut umda ghazal kahi hai aapne mashallah , balke aapki ghazleiN hoti hi murassa haiN.
umeed ke rabta rahega urdubandhan ke is forum par.
shukria
MQ
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Gham nahiiN, dunyaa jo samjhe Khaak meN shaamil mujhe
aap kahiye, aap ne samjhaa hai kis qaabil mujhe
--WAHHHHHH kya khoob matla hai..khaaskar doosra misra...! :)
maiN, ki thaa terii hii dhun meN do jahaaN se be.niyaaz
tuu, ki apne aap se samjhaa kiyaa Ghaafil mujhe!
--WOW :shock:
kunj-e-sahraa, lutf-e-Khalvat, yaad-e-jaanaaN, soz-e-dil
vaah rii deevaangii! kyaa kyaa nahiiN haasil mujhe!
--BAHUT KHOOB!
marte dam us kii pashemaanii na dekhii jaayegii
:baRh ke seene se na lipTaa le miraa qaatil mujhe:
--bahut umda giraah!
maiN to lauh-e-vaqt par ik naa.mukammal naqsh thaa
kar diyaa terii nigaah-e-lutf ne kaamil mujhe
--wah kya baat hai! 8)
ye dil-e-muztar talaatum chaahtaa hai bahr kaa
raas aayaa hii nahiiN, yaaro! kabhii saahil mujhe
--bahut khoob once again! lafz-e-talaatum ne bahut jana Daal di hai sher mein..wah!
teraa naqsh-e-paa nazar aayaa jo chashm-e-shauq ko
zarrah zarrah raah kaa lagne lagaa manzil mujhe
--wow..ek aur zabardast sher!


Wahhhhhhhhhh Janaab Irfan Abid sahab..kya kehne..bahut khoobsurat ghazal pesh ki hai aapne khaaskar alfaaz ka chunaoo bahut mutaasitkun laga...ek ek sher nageena hai... khaaskar quoted ash'aar..meri jaanib se is behtareen kaavish pe dili daad qubool farmaayein :)

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Re: Ghazal: "Gham nahiiN ..."

Post by Hashmat Usmani »

salaam Abid saaHib,

subHaan Allah, mashaa~ Allah, chashm-e-bad_door, marHabaa!

yeh vo daad o taHseen ke yeh alfaaz the jo be_saaKhta muNh se har har she'r par nikal paRe. Huzoor, maiN to yeh kahuuNga ki aapkii yeh Ghazal un chand ek GhazloN meN se ek hai [bil_Khusoos, appke digar kalaam bhii kuchh kam nahiiN!], jisne:

rooH ko taRpaa diya, aur qalb ko garmaa diyaa!

merii jaanib se aap daad_o_taHseen aur mubaarak_baad qubool kijiiyegaa. Allah kare zor e qalam AUUUR BHII ziyaada!

faqat masroor,

Hashmat
Image
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

muhtaram Sarwar Sb, aadaab!

ye adnaa koshish saraahne kaa shukriya qubuul farmaaiye! matlaa aur maqtaa kii maujuudah suurat mere Khayaal meN burii nahiiN, lekin maiN inheN bahtar banaane kii koshish karuuNgaa.

niyaazmand,
Irfan :Abid:
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

Mahtab Sb, v'assalaam!

aap ne Ghazal pasand farmaayii to lagaa ki merii mahnat kaam aayii. inaayat kaa bahut bahut shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

Shumaila sahiba, aadaab!

aap ne Ghazal ko jis qadar pasand farmaayaa, vo mere liye nihaayat Khushii aur itmeenaan kaa baais hai. navaazish kaa bahut bahut shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

mukarramee Hashmat Sb, salaam arz hai!

bhaaii, aap ne jis pur.tapaak aur pur.josh lahje meN is adnaa koshish ko saraahaa hai, us ne to merii boltii hii band kar dii! :) is be.intihaa navaazish ke ivaz maiN sirf 'shukriya' kaa ghisaa piTaa lafz adaa kar rahaa huuN. ummeed hai aap qubuul farmaayeNge.

niyaazmand,
Irfan :Abid:
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

Sara sahiba, aadaab!

kahaaN rahiiN itne dinoN aap? aap ko dobaara dekh kar bahut Khushii huii. Ghazal par aap kii daad hameshaa kii tarah baais-e-masarrat hai. bahut bahut shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
Post Reply