bana gulab to kante chubha gya ek shaks
hua cheraagh to gher he jala gya ek shaks
tamam rang mere aur saray khuab mere
fasana thay k fasana bana gya ek shaks
main kis hawa main uron, kis fiza main lehraon
dukhon k jaal her ek soo bicha gya ek shaks
palat sakon he na agay he berh sakon jis per
mujhe ye kon say rastay laga gya ek shaks
mohabatain bhi ajeeb, us ke nafratain bhi kamal
meri terha ka mujh main sama gya ek shaks
mohabaton nay kisi ke bhula rakha tha usay
milay woh zakham k phir yaad a gya woh shaks
(Ubaid ullah Aleem`)
bana gulab to kante chubha gya ek shaks(Ubaid ullah Aleem`)
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 136
- Joined: Sun Dec 12, 2004 5:21 am