Muntakhab shayari-Baitbaazi-Lafz par Ashaar
najma
-
Posts: 1213 Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm
Post
by najma » Sun Jun 19, 2005 11:49 am
sara_j wrote: Kisi soorat namood-e-sauz-pinhaani nahiN jatee
bujha jata hay dil, chehray ki tabaani nahiN jatee
NahiN jati khaN tak fikr-e-insaani nahiN jatee
magar apni haqeeqat aap pehchani nahiN jatee
Mizaj-e-ahl-e-dil baikaif-o-masti reh nahiN sakta
kay jaisay nighat-e-gul say paraishani nahiN jatee
Sadaqat ho to dil seenoN say khichnay lagtay haiN waaiz
haqeeqat khud ko manwa laitiee hay maani nahiN jatee
Vo yooN dil say gujartay haiN kay aahat tak nahiN aatee
vo yooN aawaz daitay haiN kay pehchanee nahiN jatee
NahiN ma'loom kis aalam maiN husn-e-yaar dekha
kaoi aalam ho laikin dil ki hairani nahiN jatee
Mohabbat maiN ik aisa vaqt bhi dil par gujarta hay
kay aansoo khush ho jaatay haiN, tugyani nahiN jaatee
Jigar vo bhi to sartapa mohabbat hi mohabbat haiN
magar unki mohabbat saf pehchani nahiN jatee
waaah sara sahiba!
jigar muradabaadii ka itna haessn kalam share kiya hay aap ne.maza aagaya.
khush rahiyye
najma
-
Posts: 1213 Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm
Post
by najma » Sun Jun 19, 2005 11:51 am
sara_j wrote: Kaam aakhir jazba-e-bayikhtiar aa hi gaya
dil kuch is surat say tadpa, unko pyar aa hi gaya
Jab nigahaiN uth gayeeN, Allah ray mairaj-e-shauq
dekhta kia hoon wo jaan-e-intizar aa hi gaya
haiy ye husn-e-tasawwar ka fareeb-o-rang-o-boo
maiN ye samjha jaisay wo jaan-e-bahar aa hi gaya
Is tarah khush hooN kisi kay waada-e-farda pay maiN
dar haqeeqat jesay mujh ko aitibaar aa hi gaya
Haa'y kafir dil ki ye kafir junoon angaiziaan
tumko pyar aay na aay, mujh ko pyar aa hi gaya
Jaan hi daydee jigar nay aaj pa'ay yaar par
Umr bhar ki baiqarari ko qarar aa hi gaya
bohat bohat shukriya sara!
waaah -----
jigar muradabaadii ka ye haessn kalam share kiya hay aap ne.lutf aagaya paRh ke
khush rahiyye
najma
-
Posts: 1213 Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm
Post
by najma » Sun Jun 19, 2005 11:53 am
Mahtab Qadr wrote: bahut khoob , Jigar sahib ki shayeri waqai apne rang ki munfarid shayeri hai.
bay faida alam nahi , bekaar gham nahi
taufeeq de khuda to ye naimat bhi kam naih
waah
mahtaab bhaee waaah
bohat achaa
Hashmat Usmani
-
Posts: 1173 Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:
Post
by Hashmat Usmani » Fri Jul 01, 2005 4:22 am
aaj June kii 30 taareeKh hai, maheene ka aaKhirii din so is laRii meN maiN yeh aaKhiri Ghazal Jigar kii lagaa rahaa huuN. abhii kal tak yeh laRii khuli rahegii so aap log agar kuchh aur post karna chaaheN to ba_sad shauq chaspaaN kjiiye. shukria.
Hashmat Usmani
-
Posts: 1173 Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:
Post
by Hashmat Usmani » Fri Jul 01, 2005 4:27 am
ek aur miltii jultii Ghazal mulaaHizah farmaaiye
Hashmat Usmani
-
Posts: 1173 Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:
Post
by Hashmat Usmani » Fri Jul 01, 2005 4:28 am
to, chalte chalaate ek aur Ghazal ho jaaye to kia buraa hai...
Hashmat Usmani
-
Posts: 1173 Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:
Post
by Hashmat Usmani » Fri Jul 01, 2005 4:31 am
ufff...Jigar kii shaairii paRh kar rahaa nahiiN jaa rahaa aur ab sachi muchi yeh aaKhiri Ghazal maiN post kar rahaa huN
Hashmat Usmani
-
Posts: 1173 Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:
Post
by Hashmat Usmani » Fri Jul 01, 2005 4:37 am
OMG...yeh Gahzal to maiN ne kabhii Jigar kii paRhii hii nahiiN thii...haN albatta gaanaa zaroor sunaa thaa....
shoKh nazar kii bijliyaaN dil pe mire hiraaye jaa [MajrooH Sultaanpurii]
aak pata chala ki original Ghazal Jigar kii hii thii...MajrooH Jigar kii shaai'rii se bahot mar'oob aur mutaa'ssir the lihaaza unkii shaairii meN Jigar ka rang Khoob miltaa hai. ab aap bhii paRh lijiye and qasam se ab aur zehmat nahiN duNga.