Harf-e-"CHE" se ash'aar raqam kijiiye...plz.

Muntakhab shayari-Baitbaazi-Lafz par Ashaar
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Harf-e-"CHE" se ash'aar raqam kijiiye...plz.

Post by Hashmat Usmani »

is 'ashre ke liye Harf-e-"CHE" se ash'aar qalam_band kijiiye...shukria.

chaahat kaa ek miiThaa, miiThaa dard jagaane shaam Dhale
terii yaadeN aa jaatii haiN mujh ko rulaane shaam Dhale


Hasan Imaam
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

chaahiye, achchhoN ko jitnaa chaahiye
yeh agar chaaheN, to phir kia chaahiye!


Chachaa
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

chashm_bar raah-e-shauq ke maare
chaand ke intezaar meN taare


Josh Malihabadai
Image
Saba
nau-waarid
Posts: 6
Joined: Thu Jun 16, 2005 8:05 am
Location: Karachi
Contact:

Post by Saba »

charaagh e ahle janoon hain keh deedahwar kay charaagh

qadam qadam peh hain raushan nazar nazr kay charaagh
SUN KAY TANHAAII MAIN PUR HAUL HAWAA KI CHEEKHAIN----------DIL BHI CHAAHAY HAY MIRA SAATH HAWAA KAY RONA .
User avatar
Waqar Zaidi
-
-
Posts: 57
Joined: Tue Feb 22, 2005 8:21 pm
Location: Karachi
Contact:

Post by Waqar Zaidi »

chashm e tar say jab dur e khush aab barsaayain gay ham

mah o anjum ki zia paashi ko sharmayain gay ham

===============================================

chashm e mai goon say istafaadah hay

kia behaknay kaa phir iraadah hay

===============================================

chaman say jaatay huay chaman ko tilism e hairat banaa gaye tum

wahaan wahaan phir khizaan na aaii jahaan jahaan muskuraa gaye tum

===============================================

charaagh e gham kadah kartaa hay raushan

shab e furqat koii barq e tapaan say

===============================================

chaman hay main hoon tum ho chaandni hay

bohat din baad yeh mehfil saji hay

===============================================
gham ka hay koh e garaan aur tanhaa hay Waqar
haan muqaabil hay jahaan aur tanhaa hay Waqar
PK Swami
-
-
Posts: 102
Joined: Wed Jul 06, 2005 2:59 am
Location: Delhi
Contact:

Post by PK Swami »

chal sath k hasrat dil.e marhoom se nikle
aashiq kaa janaazaa hai zara dhoom se nikle

chaak hai daamane qabaa.e baHaar
mere khwaabooN ke peRhan kee tarah

chalee duniya meiN rasm.e sazdaa rezee
kuchh unke dar se kuchh merii zabeeN se

choree kaheeN khule na naseem.e bahaar kee
khushboo uRaa ke laayee hai gesoo.e yaar kee

cheHre badle khud ko tarashaa apnaapan nilaam kiyaa
tab jaa kar iss bastee mein ham baa.izzat kaHlaaye haiN

chaman pe baS naheeN varnaa mere chaman wale
hawaaieN bechte, nelaam rang.o.boo karte

chaman saamne hai shikastaa haiN baazoo
khajal ho rahe haiN, ham aazaad ho kar

cheHre ke phool, zulf kee khushboo, badan kee aaNch
kyaa kyaa sameT laayee teri yaad kee hawaa

chale the aik nazar teri bazm dekh aayeeN
yahaaN jo aaye to be.ekhtiyaar baith gaye !


Regards
PK Swami
mujhe dil diyaa to taRap bhee de
jo hooN doosroN kaa sharik.e gham
mujhe aisey dil kee talab naheeN
jo kisii ke kaam na aa sake
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

chupke_chupke raat din aaNsuu bahanaa yaad hai
ham ko ab tak 'aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai


Hasrat Mohaanii
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

chaandnii chhat pe chal rahii hogii
ab akelii Tahel rahii hogii


Dushyant Kumar
Image
User avatar
Waqar Zaidi
-
-
Posts: 57
Joined: Tue Feb 22, 2005 8:21 pm
Location: Karachi
Contact:

Post by Waqar Zaidi »

chalo ham tum wahaan zaraa baithain

kab say hay saaya e shajar tanhaa

===============================================

chaarah saaz e ishq ki aankhon main aansoo aa gaye

zakhm e dil ki aaj gehraaii kaa andaazah huaa

===============================================

chashm e khaamosh ko kisi kay hazoor

aa gayaa guftugoo kaa dhab goyaa

===============================================

chaarah gar say elaaj kia ho gaa

dosto ! zindagi kay maaron kaa

===============================================
gham ka hay koh e garaan aur tanhaa hay Waqar
haan muqaabil hay jahaan aur tanhaa hay Waqar
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

chaand tanhaa hai, aasmaaN tanhaa
dil milaa hai kahaaN kahaaN tanhaa


Meena Kumari "NAAZ"
Image
User avatar
Waqar Zaidi
-
-
Posts: 57
Joined: Tue Feb 22, 2005 8:21 pm
Location: Karachi
Contact:

Post by Waqar Zaidi »

chaand nikla aur falak par zau fashaan honay lagaa

dard yaadon kaa barhaa aur baikaraan honay lagaa

===============================================
gham ka hay koh e garaan aur tanhaa hay Waqar
haan muqaabil hay jahaan aur tanhaa hay Waqar
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

chal mere saath hii; chal, ai merii jaan-e-Ghazal!
in samaajoN ke banaaye huye bandhan se nikal, chal!


Hasrat Jaipuri
Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

oeem

Post by Abdullah Nazir »




Chaarah-gar teri chashm-e-karam chaahiye

daulat o zar nah jaah o Hasham chaahiye.



Nazir.

Image
PK Swami
-
-
Posts: 102
Joined: Wed Jul 06, 2005 2:59 am
Location: Delhi
Contact:

Post by PK Swami »

chaman meiN jo bhee they naafiz, osool uske the
tamaam kaNte hamaare the, phool uske the

PK Swami
mujhe dil diyaa to taRap bhee de
jo hooN doosroN kaa sharik.e gham
mujhe aisey dil kee talab naheeN
jo kisii ke kaam na aa sake
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

"cheem"

Post by Abdullah Nazir »




chaahtaa hooN ke shab-e-vaSl muqaabil tere

apnaa dil cheer ke balaaooN ke us meiN kyaa hei.



Nazir.

Image
Post Reply