Aek maAmooli sii Ghazal Abdullah Nazir.

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Aek maAmooli sii Ghazal Abdullah Nazir.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarameen o MuHtaramaat
Ahbaab-e-Sukhan,

Purkhuloos Tasleemaat,:rose

Apni aek maAmooli sii taazah ghazal pesh karrahaa hooN aur ummeed kartaa hooN ke aap apni qeemati aaraa se navaazenge. Shukriyah.

G H A Z A L roman meiN

Be-khabar thay dushman se jaane kiyuN zamaane tak
Barq aagaie aakhir apne aashyaane tak

Aaj hii Ataa karde phool kuch tasalli ke
Saans kaa bharousa kyaa kal bahaar aane tak

muRke Daikhle zaalim ik nazar musaafir ko
kaun zindah rehtaa hei tere muskuraane tak

shamA-e-ishrat-e-hastii apni bujh gaiee houti
chain jab nahiN usko meraa jee jalaane tak

Ishq kii Haqeeqat kaa kuch patah nahiN chaltaa
Husn kii adaa'oN se dil pah chouT khaane tak

Ghairat-e-mah o anjum hei tiri galee lekin
Kyaa sitam nahiN houte dar pah sar jhukaane tak

Uske abroo-e-khush-kham purshikan heiN kiyooN Nazir
Ghat gaiee muHabbat kiyuN dousti baRhaane se


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Attachments
a_new_tak.JPG
a_new_tak.JPG (76.52 KiB) Viewed 170 times
Image
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

Abdullah bhai salaam e masnoon
Aaap ki taaza ghazal kisi taza wardaat ki ghammazi kar rahi hai:) (mizahan arz kia hai). har sher besakhta hai . khas taur par Matla aur maqta bahut dil ko lagay.
shukria
Mahtab Qadr
waqar_masood
-
-
Posts: 134
Joined: Mon Dec 13, 2004 5:52 am
Location: khanewal
Contact:

Post by waqar_masood »

Muhturam Abdullah nazir

aap ki ghazal bay had pasand ayee..

tamam ashaar apni jagah bay misal hein

kis qadar daad hoon keh soraj k oroshini dikhanay kay mutaradif hay

waqar masood
hello
Post Reply