ajab raat hai ye tilismaat ki

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

khurram_shaikh
-
-
Posts: 136
Joined: Sun Dec 12, 2004 5:21 am

Post by khurram_shaikh »

Assalaam alekum,




bahooot khoob bahoot umdeh shumaila sukhan bahoot umdeh kalaam share kiyaa aapnien apnaa DAAD haazir hai dil ki gehraayiyoon se khush rahien aru khooob likhien
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

naheedv wrote:Shumaila Dear,

main ne aap ki ye ghazal mushaira par bhee aap ki aawaaz meiN sunii aur dusrey forums par bhee paRhii. magar meree kaahili kaho ke maiN chaahate huve bhee apny khayalaat aap tak na pahoNchaa saki, iss ke liye ma'zarat :)

aap ne vaqai ghazal buhat achi likhi hai aur mujhe buhat pasaNd aa'ee. magar aik baat jo main ne note kee hai aap ki ghazal meiN voh husne matla's ki buhtaat hai :) kyaa baat hai aap ki,

ghazal par meree daad aur mubaarak baad qubool ho.

mukhlis
Naheed
Dear Naheed sis...last ghazal pe aap ne reply nahi diya tha to thori tashweesh hui thi ke najaane kya baaa hai magar chalo aap ne is ghazal ko apni raaye se nawaaza to jaan mein jaan aayi...dil ki gehraaiyon se shukriya...aap ki jaanib se daad paa kar bahut accha lagta hai...waise aajkal to aap khoob NAZMON pe haath saaf kar rahi hain :wink: shukriya ek baar phir meri ghazal ko daad aur mubarakbaad se nawaazne ka :)

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

jawaid badauni wrote:Shumaila Bibi,

Bbahut haseen ghazal se nawaza hai aap ne. Yaqeenan bahut mehnat ki hogi inn ashAr ko kahne meN. Zindabad bahna.

Doago

Jawaid Badauni
muscat - Oman

Bahut bahut shukriya Jawaid Bhai...aap ki jaanib se daad paa kar bahut achcha laga....nawaazish :D

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
naheedv
-
-
Posts: 163
Joined: Sat Dec 18, 2004 3:53 am
Contact:

Post by naheedv »

Shummu wrote: waise aajkal to aap khoob NAZMON pe haath saaf kar rahi hain :wink:
Ba'ee, haath Saaf karooN gee tau haath` ki Safaa'ee bhee dikh`aa paa'ooN gee naa ;)

kuch` zaatee masroofiyat ke baa'ic maiN aaj kal zaraa kam kam hi forums ke jaanib aa rahi hooN issi liye meree nazar aap kee pehlee ghazal guzree naheeN. ma'zarat :)

mukhlis
Naheed
fatimah
-
-
Posts: 71
Joined: Sun Jan 02, 2005 6:58 am
Location: doha qatar
Contact:

Post by fatimah »

aslaam_u_alikam


shu tumhari yeh gazal bohat achi lagi.
daad qubool karo.
shukriya
Image
User avatar
irfan barabankwi
-
-
Posts: 69
Joined: Sun Jan 02, 2005 6:25 pm
Location: jeddah
Contact:

wah wah bahut khoob

Post by irfan barabankwi »

mohtaramah

SUMAILAH SAAHIBAH

pukhuloos taslimat


aaj bahut dino baad is taraf aana hua to aapki yeh khoobsurat ghazal nazar se guzri. wah wah bahut hi umdah ghazal kahi hai. sabhi ashaar bahut umdah haiN. meri janib se dher si daad aur mubarakbaad qubool kareiN. allah kare zor-e-qalam aur ziyadah

khair andaish

irfan barabankwi
iHtisab apne naqaayis ka mujhe aataa hei
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: ajab raat hai ye tilismaat ki

Post by Shummu »

tahira Masood wrote:
Shummu wrote:Salaam!

Ek nayi ghazal pesh-e-khidmat hai...ummeed hai aap sab ko pasand aayegi! :)

Arz kiya hai...


ROMAN VERSION

ajab raat hai ye tilismaat ki
zameeN aasmaaN ne mulaqaat ki

bohat khoob

sunaa raat jab hai inaayaat ki
sitaaroN ne shab bhar munaajaat ki

zabardast!!!!!

bhalaa baat kab thi ye ik raat ki
k har shab hi nainoN ne barsaat ki

Mukarrar zabardast!!!! :)

zaraa intehaa dekh sadmaat ki
ke haalat bhi khastaa hai haalaat ki!

waah waah bohat hi a'Alaa daad k qaabil hai waah :D

faqat baat kii thii musaawaat ki
na thii baat woh ikhtilaafaat ki

kayaa baat ki hai khush ker diyaa. bohat achae

nahii raas aati hai izzat jise
wahi baat kartaa hai auqaat ki

:lol: kayaa baat hai ji khoob bohat meHzuz huee yeh peRh ker

na ho shaad mujh ko yuN khush dekh kar
khushii to hai ye chand lamhaat ki

Allah nah kere keh aisaa ho Allah daaimee khushiyaaN dey.Ameen. magar mazmoon khoob hai

ishaaroN meiN jaane woh kyaa keh gaya
hui mujh pe baarish sawaalaat ki

aaj tau aap hairaan kiya jaa rehi haiN . aik se aik achaa mazmoon intehaaii umdagi se aur rawaani se bayaan kiay jaa rehi haiN. wallah bohat khoob

jo qismat ne cheena miraa humsafar
mitaa diiN lakeereiN sabhiN haath kii

very sad :(

ye sher-o-sukhan,ye mirii shaa'irii
rudaad-e-mohabbat hai har zaat ki!

bohat acha likhaa hai Shummu aap ne. dilee daad aur mubaarikbaad qabuul fermaaeiN.


Aap ki aara ki muntazir,
Shumaila

Tahira sis..is qadar pazeraayi ka shukriya...mujhe bahut zyaada khushi hui ye dekh kar ke aap ne har sher pe alag se daad di aur sabhi sher ko bahut pasand kiya..bahut hauslaa afzaii hui hai meri..tah-e-dil se shukriya :D

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

khurram_shaikh wrote:Assalaam alekum,


bahooot khoob bahoot umdeh shumaila sukhan bahoot umdeh kalaam share kiyaa aapnien apnaa DAAD haazir hai dil ki gehraayiyoon se khush rahien aru khooob likhien
W'salaam Khurram jeee...bahut bahut nawaazish,karam ,shukriya meir adna si kaavish ko pasand farmane ka aur daad se nawaazne ka :D

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

sara_j wrote:shummu,

Bohat umdah ghazal sunayi hai aapne, sabne itna kuch likhdiya ke mere paas alfaz nahi rahe, beherhaal bohat lutfandoz hui aur aek kamyaab koshish per daad o mubarakbaad qubool keejiye.

sara

Bahut shukriya Sara jee...aap ki jaanib se daad paa kar hamesha hi bahut achcha lagta hai to is baar bhala kaise na achcha lagta.... ghazal ki pasandeedagi ke liye dili shukriya qubool farmaayein :)

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

naheedv wrote:
Shummu wrote: waise aajkal to aap khoob NAZMON pe haath saaf kar rahi hain :wink:
Ba'ee, haath Saaf karooN gee tau haath` ki Safaa'ee bhee dikh`aa paa'ooN gee naa ;)

kuch` zaatee masroofiyat ke baa'ic maiN aaj kal zaraa kam kam hi forums ke jaanib aa rahi hooN issi liye meree nazar aap kee pehlee ghazal guzree naheeN. ma'zarat :)

mukhlis
Naheed
chalein koi baat nahi.. :) aur han EID MUBARAK aaap ko aur aap ki family ko naheed jee :D

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

fatimah wrote:aslaam_u_alikam


shu tumhari yeh gazal bohat achi lagi.
daad qubool karo.
shukriya
w'salaam!

Thanx a lot fatima... :)

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: wah wah bahut khoob

Post by Shummu »

irfan barabankwi wrote:mohtaramah

SUMAILAH SAAHIBAH

pukhuloos taslimat


aaj bahut dino baad is taraf aana hua to aapki yeh khoobsurat ghazal nazar se guzri. wah wah bahut hi umdah ghazal kahi hai. sabhi ashaar bahut umdah haiN. meri janib se dher si daad aur mubarakbaad qubool kareiN. allah kare zor-e-qalam aur ziyadah

khair andaish

irfan barabankwi


Adaab Mohtaram Irfan sahab..yaqeen maaneiN aap logon ke saamne meri shaayri kuch bhi nahi hai magar ye sab aap logon ka khuloos hai jo meri TooTi phooTi koshishoN ko bhi is darjaa pasand farmaate hain aur saraahte hain..main saraapa mamnoon hoon aapki ke aap ne meri ghazal ko apni pur khuloos aara se nawaaza :)

Shukriya!

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Post Reply