Chand Cehra Sittara Aankhain............By Obaidullah Aleem.

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
NAZRANA
-
-
Posts: 58
Joined: Thu Dec 09, 2004 6:14 am

Chand Cehra Sittara Aankhain............By Obaidullah Aleem.

Post by NAZRANA »

Aadab,
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam Nazraana saaHib,

shukria ek aur 'umda kalaam pesh karne ka. 'Aleem saaHib kaa yeh aazaad kalaam pasand aayaa HaalaaN_ki maiN aazaad nazm ya Ghazal kaa utnaa shaidaaii nahiiN.

thank you janaab.

Hashmat
Image
NAZRANA
-
-
Posts: 58
Joined: Thu Dec 09, 2004 6:14 am

Post by NAZRANA »

Hashmat usmani sahib
Sara-j sahibah.

:D Shukriyah
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »


Nazrana Bhaii aur Hashmat bhaii

salaam

bohat hi umdah intekhaab hai aap donoN kaa. hamarae saath share kerne k liay ham bohat mamnoon haiN.

khush rehaiN

wassalam
live and let live

Image
PK Swami
-
-
Posts: 102
Joined: Wed Jul 06, 2005 2:59 am
Location: Delhi
Contact:

Post by PK Swami »

I shall be grateful if someone kindly posts a roman urdu version of this poetry.

PK Swami
mujhe dil diyaa to taRap bhee de
jo hooN doosroN kaa sharik.e gham
mujhe aisey dil kee talab naheeN
jo kisii ke kaam na aa sake
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Nazm Roman meiN

Post by Abdullah Nazir »


Janab PK Swami Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat, :-)

Aapki khwaahish ke muTaabiq maiN yahaN post kii houi Obaidullah Aleem kii nazm ko Roman meiN likh rahaa hooN:

Chand Chehrah, sitaarah aankheN

Mire khudaayhaa
maiN zindagi ke Azaab likhkhuN
keh khwaab likhkhuN
yeh meraa chehrah, ye meri aankheN
bujhe houe se charaagh jaise
jo phir se jalne ke muntazir houN
wo chaand chehrah, sitaarah aankheN
wo mehrbaaN saayah daar zulfeN
jinhouN ne paimaaN kiye thay mujh se
rifaaqataoN ke, muHabbataoN ke
kahaa thaa mujh se
ke aiy musaafir rah-e-wafaa ke
jahaaN bhii jaayegaa
ham bhi aayenge saath tere
baneNge raataoN meiN chaandni ham
tou din meiN taare bakhairdenge
wo chand chehrah, sitaarah aankheN
wo mehrbaaN saayahdar zulfeN
wo apne paimaN
rifaaqataoN ke, muHabbataoN ke
shikast karke
nah jaane ab kis kii rehguzar kaa
minaarah-e-raushani bane heiN
magar musaafir ko kyaa khabar hei
wo chaand chehrah tou bujhgayaa hei
sitaarah aankheN tou sougaiee heiN
wo zulfeN be saayah hougaieeN heiN
wo raushni aur wo sitaare miri Ataa thay
so meri raahaoN meiN aaj bhii heiN
keh maiN musaafir rah-e-wafaa kaa
wo chaand chehrah, sitaarah aankheN*
wo mehrbaaN saayah dar zulfeN
hazaarouN chehraoN, hazarouN aankhaoN, hazarouN zulfaoN kaa
aek sailaab-e-tund lekar
mire taAaqub meiN aarahe heiN
her aek chehrah hei chaand chehrah
heiN saari aankheN sitaarah aankheN
tamam heiN mehrbaaN saayah daar zulfeN
maiN kis ko chaahooN, maiN kis ko choomooN
maiN kis ke saaye meiN baiTh jaaoouN
bachooN keh ToofaaN meiN Doob jaaouN
keh meraa chehrah, nah meri aankheN
mire khudayaa maiN zindagi ke Azaab likhkhuN ke khwaab likhkhuN.

--(Obaidullah Aleem)--


Aapka Mukhlis,

Nazir.

Image
PK Swami
-
-
Posts: 102
Joined: Wed Jul 06, 2005 2:59 am
Location: Delhi
Contact:

Post by PK Swami »

Nazir Sahib
aadaab

maiN aapkaa tah.e dil se shukrguzaar hooN k aap ne ye kalaam roman urdu meiN post karne kee zehmat qabool kee.

paRh kar bohat luft aayaa. nazm bohat hee ravaaN davaaN hai aur dil ke bohat hee qareeb se guzree hai.

afshaa.e raaz, shaane vafaa,emthaane sabr
aaj ek khaamshee ne baRe haq adaa kiye!

Thanks once again.

Regards
PK Swami
mujhe dil diyaa to taRap bhee de
jo hooN doosroN kaa sharik.e gham
mujhe aisey dil kee talab naheeN
jo kisii ke kaam na aa sake
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

MaiN aapki khidmat meiN Haazir hooN

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
PK Swami Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat, :-)

Janab-e-man, aapki farmaayhish poori karte houe mujhe beHad khushi houii. Aap ke javaab se mazeed andaazah houaa ke aapka adabi zauq buland aur meAyaari hei.

Ummeed kartaa hooN ke aap kii giraaNqadr maAloomat se ham sab urdubandhan se juRe houe loag mustafeed houte rahenge.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

Image
NAZRANA
-
-
Posts: 58
Joined: Thu Dec 09, 2004 6:14 am

Post by NAZRANA »

mohtram Abdullah Nazir saHib,

as-sallam-o-alikum,

janaab-e Ubaidullah Aleem ke yeh nazam Roman urdu main tehreer
farma^nay kay leyee aap ka az had mamnoon hon.

niazmand,
Ahmed Jilani.
PK Swami
-
-
Posts: 102
Joined: Wed Jul 06, 2005 2:59 am
Location: Delhi
Contact:

Post by PK Swami »

Janab Nazir Saheb
aadaab.

mere baare meiN aapke khayaal ke liye maiN aapkaa tah.e dil se mamnoon hooN.

haqeeqat ye hai k mujhe urdu zabaan se enthaai muhabbat ho gayee hai. ye baat aur hai k meri taalim hindi aur english meiN huee. iss ishq se luftanzoz hone ke liye urdu likhne parHne kee mashq kartaa rahtaa hooN.
mutalaa baRaa hee mehdood hai. meri haisiyat iss hawale se ek tifl.e nadaaN kee hai aur ek tajassus aamez nazar kuchh dhoNdtee rehtee hai
khoee huee gehraaie meiN.

zulf.e mashkeeN haiN hizaab.e roo.e jananaaN abhee
hai sanam kee raaH meiN haaiel sanamkhanaa abhee

soz.e gham se aab aa jaane do ashqoN par mere
taair.e maqsood ke laayaq naheeN danaa abhee

hai merii diwaangee meiN kuchh abhee shaaiestgee
maiN tere qaabil naheeN ai khaak.e parwanaa abhee



ek zaraa zoq.e tajassus meiN baRhayaa thaa qadam
nikhate gul ko phir aaghosh.e gulistaaN na milaa


jaatee naheeN dil se teri yaad kee khushboo
maiN daur.e khizaaN meiN bhee mehaktaa hee rahaa hooN

aap jaise asaatizaa se dars aur sukoon kee umeed hai .

aap kee rehnumaaie ka muntazir


PK Swami
mujhe dil diyaa to taRap bhee de
jo hooN doosroN kaa sharik.e gham
mujhe aisey dil kee talab naheeN
jo kisii ke kaam na aa sake
Post Reply