Tarahee Ghazal (Guzarish 7).................................

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Tarahee Ghazal (Guzarish 7).................................

Post by jawaid badauni »


Ghazal



Unke gham ka aastana choRde
Y’aani ik muflis Khazana choRde


TooT jaayenge mahil khoolte hi aaNkh
Sone waloN ko jagaana choRde


BijliyaaN shahoN ke mahloN per giraa
Ai falak mujh ko sataana choRde


Woh yahaN aaye nah aaye gham nahiN
Ghair ke ghar aana jaana choRde


Ashk-e Gham hai bayise tauheen-e Gham
Ishq meN aaNsoo bahaana choRde


SeTh le teri tijauree bhar gayee
Ab to ai bandey bachaana choRde


Paayega :Jawaid: bus mayoosiyaN
DostoN ko aazmana choRde

User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

Jawaid Badauni sahib
Bahut khoob , is tarah par pahli ghazal kelye aapka khairmaqdam,

Unke gham ka aastana choRde
Y’aani ik muflis Khazana choRde
acha matla hai, laikin misra e saani bataur e sawal irshaad farmaya hai ya bayania hai. ya yoN hai
Y'aani ik muflis Khazana choRde!

TooT jaayenge mahil khoolte hi aaNkh
Sone waloN ko jagaana choRde
misra e oula mai kaunse maholoN ka zikr kar rahe haiN aap ye baat wazahat talab hai. ghaleban aap khwaboN ke mahil ka tazkira karrahe haiN.


BijliyaaN shahoN ke mahloN per giraa
Ai falak mujh ko sataana choRde
WAH WAAH bahut umda sher irshaad farmaaya hai.bahut khoob


Woh yahaN aaye nah aaye gham nahiN
Ghair ke ghar aana jaana choRde
bahut khoob ghazal ka sher hai

Ashk-e Gham hai bayise tauheen-e Gham
Ishq meN aaNsoo bahaana choRde
wah waah bahut khoob ,bayise tauheen e gham bahut khoob hai.


SeTh le teri tijauree bhar gayee
Ab to ai bandey bachaana choRde
ji sethoN ke lye bayes ibrat acha khyal hai


Paayega :Jawaid: bus mayoosiyaN
DostoN ko aazmana choRde
Maqta bahut umda aur tajarbe ki akkasi karraha hai.

umeed ke meri raye ko sirf raye gardaaneiNge , beja tanqeed ya tanqees nahi.
shukria
Mahtab Qadr
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

[quote="Mahtab Qadr"]Jawaid Badauni sahib
Bahut khoob , is tarah par pahli ghazal kelye aapka khairmaqdam,

Unke gham ka aastana choRde
Y’aani ik muflis Khazana choRde
acha matla hai, laikin misra e saani bataur e sawal irshaad farmaya hai ya bayania hai. ya yoN hai
Y'aani ik muflis Khazana choRde!

Ji haan doosra MisAra sawaaliya hi hai.

TooT jaayenge mahil khoolte hi aaNkh
Sone waloN ko jagaana choRde
misra e oula mai kaunse maholoN ka zikr kar rahe haiN aap ye baat wazahat talab hai. ghaleban aap khwaboN ke mahil ka tazkira karrahe haiN.

YahaN kisee aise sone wale se muraad hai jo Mahil banane ka ahl nahin magar Khuwaab meN mahil banaa raha hai agar oose jagaya gaya to woh sare mahil TooT jayeNge. Mere Khyaal se yeh she'r kafi Saaf hi tha.

BijliyaaN shahoN ke mahloN per giraa
Ai falak mujh ko sataana choRde

WAH WAAH bahut umda sher irshaad farmaaya hai.bahut khoob


Woh yahaN aaye nah aaye gham nahiN
Ghair ke ghar aana jaana choRde
bahut khoob ghazal ka sher hai

Ashk-e Gham hai bayise tauheen-e Gham
Ishq meN aaNsoo bahaana choRde
wah waah bahut khoob ,bayise tauheen e gham bahut khoob hai.


SeTh le teri tijauree bhar gayee
Ab to ai bandey bachaana choRde
ji sethoN ke lye bayes ibrat acha khyal hai


Paayega :Jawaid: bus mayoosiyaN
DostoN ko aazmana choRde
Maqta bahut umda aur tajarbe ki akkasi karraha hai.

umeed ke meri raye ko sirf raye gardaaneiNge , beja tanqeed ya tanqees nahi.

Baqi ashAAr ki pazeeerai aur graNqdr tabsare ke liye marhoone minnat hooN.

LamhoN meN kahi gayee Ghazal iss se bahtar nahiN ho saktee. Urdubandhan ke mushaaireh ka aGhaaz hamesha maiN hi karta hooN. Ab aap logoN ki ghazaloN ka intezaar hai.


Mukhlis
Jawaid [/color][/size]
shukria
Mahtab Qadr
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob Waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badaayuni Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Sab se pahle maiN bahut sharmindah hooN ke aapki dilkash TaraHi ghazal jo sab se pahle pesh kii gaii us per comments dene meiN mujh se taakheer hougaii hei. Iski vujoohaat yehi heiN jou maiN ne apni ghair TaraHi ghazal per aapke zarreeN tabsireh ke javaab meiN aaj hii likhkhe heiN. MaiN aap se muAafi kaa khwaastgaar hooN.

Aapki ghazal mujhe pasand aayi. Tamam ashAar bahut hii achche heiN. Aap hii souchiye abhi tak mujh se aek sheAr bhii nahiN houaa aur aap ne miSraA dete hii apni ghazal pesh kardi.

Aapki ghazal yooN hei:

Unke gham ka aastana choRde
Y’aani ik muflis Khazana choRde

Khazaane ko muflis kehnaa aap hii kaa kamaal hei. KiyuooN nahiN jis khazaane se kuch nah mile wo muflis hii tou houtaa hei.


TooT jaayenge mahil khoolte hi aaNkh
Sone waloN ko jagaana choRde

Jee yeh sheAr bhii bahut achcha hei. Doosre misreA se bilkul vazaahut hougaii ke aap khwaabaoN ke maHal kaa zikr karrahe heiN.


BijliyaaN shahoN ke mahloN per giraa
Ai falak mujh ko sataana choRde

Bahut khoob, shkwah tou aadami apne Haalaat kii bunyaad per kartaa hii hei. Achcha sheAr hei.


Woh yahaN aaye nah aaye gham nahiN
Ghair ke ghar aana jaana choRde

Waah waah, kyaa kehne. Seedah saadha sheAr bahut hii achche andaaz meiN pesh kiyaa hei aap ne
Lafz "aanaa" ke Harf "alif" ko giraane ke baare meiN Shamsurrahmaan Farooqi kehte heiN ke jaayhiz nahiN. Is ke baavjood asaatizah ke kalaam meiN alif kaa girnaa paayaa gayaa hei jaisaa ke Zauq kii ghazal meiN:
"kartaa, beemaar-e-muhabbat ka maseeHaa jo ilaaj
itnaa diq houta ke jeenaa use mushkil houtaa"
"aata, kiyuM MiSr meiN kanAaN se nikal kar Yousuf
jazba-e-ishq-e-zulaikhaa jou nah kaamil houtaa"

Ashk-e Gham hai bayise tauheen-e Gham
Ishq meN aaNsoo bahaana choRde

SheAr apni jagha per bahut achchaa hei.Lekin aansoawaoN per kiska bas chaltaa hei.

SeTh le teri tijauree bhar gayee
Ab to ai bandey bachaana choRde

Jee aapka sheAr bahut hii pur acar hei. Lekin bani aadam TammaaA houtaa hei, agar uske paas aek pahaaR ke utnaa sounaa hou tou kehtaa hei kaash aur aek soune kaa pahaaR mile.

Paayega :Jawaid: bus mayoosiyaN
DostoN ko aazmana choRde

Bahut achcha sheAr hei. Dousti utni hii kamzour houti jaarahi hei jitni ke zamaane meiN aadami ke dunyawi ilm meiN izaafah houtaa jaarahaa hei.

Is bahut hii dilkush ghazal per meri jaanib se daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

Image
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Re: Tarahee Ghazal (Guzarish 7).............................

Post by tahira Masood »

jawaid badauni wrote:
Ghazal



Unke gham ka aastana choRde
Y’aani ik muflis Khazana choRde



bohat hi a'alaa "muflis Khazaanah " bohat ache lage yeh alfaaz!!!!


TooT jaayenge mahil khoolte hi aaNkh
Sone waloN ko jagaana choRde


khoooooob ast!!!!!!!!!!!!!


BijliyaaN shahoN ke mahloN per giraa
Ai falak mujh ko sataana choRde


waaaaaaaah khooooooob bohat khooooob!!!!



Woh yahaN aaye nah aaye gham nahiN
Ghair ke ghar aana jaana choRde



Ashk-e Gham hai bayise tauheen-e Gham
Ishq meN aaNsoo bahaana choRde



donoN ashaar hi khoob haiN


SeTh le teri tijauree bhar gayee
Ab to ai bandey bachaana choRde


:-)


Paayega :Jawaid: bus mayoosiyaN
DostoN ko aazmana choRde


=D>
[/b]
live and let live

Image
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Bahut khoob Waah waah

Post by jawaid badauni »


Mohtarmee wa mokarramee Abdullah Nazir Sb,

Aadaab.O.Niyaz.

"Der aayad durst aayad." Aapke graNqadr tabsare ke liye aap ka marhoon-e minnat hooN. Yeh aap ka karam hai keh mere adna' kalam per itni tawajjo farmaii. Bahut bahut shukriya.

Aapki daad.O.tahseen mere liye sanad ka darja rakhtee hai. Ummid hai aaindah bhi himmat afzaaii farmate raheNge.

Faqat,

Naacheez,
Jawaid Badauni
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Tarahee Ghazal (Guzarish 7).............................

Post by jawaid badauni »

tahira Masood wrote:
jawaid badauni wrote:
Ghazal



Unke gham ka aastana choRde
Y’aani ik muflis Khazana choRde



bohat hi a'alaa "muflis Khazaanah " bohat ache lage yeh alfaaz!!!!


TooT jaayenge mahil khoolte hi aaNkh
Sone waloN ko jagaana choRde


khoooooob ast!!!!!!!!!!!!!


BijliyaaN shahoN ke mahloN per giraa
Ai falak mujh ko sataana choRde


waaaaaaaah khooooooob bohat khooooob!!!!



Woh yahaN aaye nah aaye gham nahiN
Ghair ke ghar aana jaana choRde



Ashk-e Gham hai bayise tauheen-e Gham
Ishq meN aaNsoo bahaana choRde



donoN ashaar hi khoob haiN


SeTh le teri tijauree bhar gayee
Ab to ai bandey bachaana choRde


:-)


Paayega :Jawaid: bus mayoosiyaN
DostoN ko aazmana choRde


=D>
[/b]
Tahira SahibaH, Tasleemaat

Aapko mera nacheez kalam pasaNd aaya samajhiye meri mehnat wosool hoii. Himmat afzaaii ke liye mamnooon hooN. Ummid hai aaindah bhi apne tasaroN se nawaztee rahengee.

Khair Andesh,

Jawaid Badauni
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Tarahee Ghazal (Guzarish 7).............................

Post by jawaid badauni »

sara_j wrote:
jawaid badauni wrote:
Ghazal



Unke gham ka aastana choRde
Y’aani ik muflis Khazana choRde

waah! khoob kaha!

TooT jaayenge mahil khoolte hi aaNkh
Sone waloN ko jagaana choRde

wah waah! bohat ache !

BijliyaaN shahoN ke mahloN per giraa
Ai falak mujh ko sataana choRde

bohat khoob!

Woh yahaN aaye nah aaye gham nahiN
Ghair ke ghar aana jaana choRde


Ashk-e Gham hai bayise tauheen-e Gham
Ishq meN aaNsoo bahaana choRde

bohat ache!

SeTh le teri tijauree bhar gayee
Ab to ai bandey bachaana choRde


Paayega :Jawaid: bus mayoosiyaN
DostoN ko aazmana choRde

bohat khoob!

Jawaid bhai,

salaam.

bohat hi dilkush ghazal kahi aapne saare ashaar bohat pasand aye.

Jawaid bhai aapka qalam bohat mubarak hai, aur aapki ghazal tou
jaise labon per rehti hai, idhar misra diya jata hai aur udhar ghazal taiyyar :grin: aur aap tou saadi si kehte hain lekin bohat khoob
ashaar likhdete hain aap.

meri taraf se dhair saari daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

sara

Azeeza Sara Sallamaha, Salam aur Doa

MaiN aadatan aapko "sahibah" likhne hi wala tha magar barwaqt ehsaas hoa keh iss le aap ki dilaazari hoti hai. Chaliye mujhe bhi iss ki bahut Khooshee hai keh aap mujhe apna bhaaii maantee haiN.

kalam ki pazeeraai ke liye shukriya. Main agar kisee tajweez kardah zameen meN fauran ke fauran ashAAr nah kahoN to phir bhool jata hooN aur ghazal kabhi ho hi nahi paati hai. Aapko Ghazal pasaNd aaii yeh bahut khooshi ki baat hai.

Khulooskaar,

Jawaid Badauni
User avatar
irfan barabankwi
-
-
Posts: 69
Joined: Sun Jan 02, 2005 6:25 pm
Location: jeddah
Contact:

bahut khoob

Post by irfan barabankwi »

mohtaram

jawaid bahi

aaj bahut dino baad is taraf aana hua tab aapki yeh behtareen ghazal dekhi. wah kiya khoob ghazal kahi hai. meri janib se dher si dili daad qubool farmayeN.

khair andaish

irfan barabankwi
iHtisab apne naqaayis ka mujhe aataa hei
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: bahut khoob

Post by jawaid badauni »

irfan barabankwi wrote:mohtaram

jawaid bahi

aaj bahut dino baad is taraf aana hua tab aapki yeh behtareen ghazal dekhi. wah kiya khoob ghazal kahi hai. meri janib se dher si dili daad qubool farmayeN.

khair andaish

irfan barabankwi
Azeezi Irfan Sb,

Arce bAAd aapka paigham dekh ker khooshee hoii. Ghazal ki pazeeraaii ke liye bahut bahut shukriya. Ummid hai mizaj baKhair hoNge.

Mukhlis
Jawaid
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Re: Tarahee Ghazal (Guzarish 7).............................

Post by Anmol »

jawaid badauni wrote:
TooT jaayenge mahil khoolte hi aaNkh
Sone waloN ko jagaana choRde


BijliyaaN shahoN ke mahloN per giraa
Ai falak mujh ko sataana choRde

Adaab Jawaid Sahib!

Aap ki ghazal achhi lagi, daad qubool kijiye. :-)
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Tarahee Ghazal (Guzarish 7).............................

Post by jawaid badauni »

Anmol wrote:
jawaid badauni wrote:
TooT jaayenge mahil khoolte hi aaNkh
Sone waloN ko jagaana choRde


BijliyaaN shahoN ke mahloN per giraa
Ai falak mujh ko sataana choRde

Adaab Jawaid Sahib!

Aap ki ghazal achhi lagi, daad qubool kijiye. :-)
Shukriya Anmol Sahibah,

Bahut din bAAd aap ko yahaN dekhj kar Khooshee hoii.

Mukhlis,
Jawaid
Post Reply