:: zaraa socho , ruKh-e-jaanaaN se pardah gar haTaa hotaa ::

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

:: zaraa socho , ruKh-e-jaanaaN se pardah gar haTaa hotaa ::

Post by Star Mind »

Yaaran-e-meHfil , aadaab

gar che Ghazal barwaqt na keh kar maiN is mahene k mushaai'ra ( kisee aur chopaal ) maiN shirkat na karsakaa , magar bahar Haal aaj is t^araHi misra'( agar un maiN se koii baa-wafaa hota to kyaa hotaa ) par aek Ghazal ho hi gayee :oops:

to lejeye Ghazal Haazir hai :)

1.

zaraa socho ruKh-e-jaanaaN se pardah gar haTaa hotaa
yaqeena" dil maiN sonaami sa koii zilzilaa hotaa ! :lol:

2.

fiZ^aa ki wus'atoN maiN woh agar jalwaa-numaa hotaa
falak se aaNkh tak ik HeratoN ka silsilaa hotaa :shock:

3.

dareecha teri ulfat ka kam az kam adh-khulaa hotaa
miree barbaadiyoN ka aaKharash kuch to Silaa hotaa ! :(

4.

Khudaayaa kaash ye dil i'shq maiN itnaa luTaa hotaa
k dhaRkan ko dhaRakne ka na ratti bhar pataa hotaa ! :twisted:

5.
agar saaqi ne riNdoN ko lahoo apnaa diyaa hotaa !
chiraaGh-e-bazm-e-maiKhaana , na youN phir bujh gayaa hotaa ! :evil:

6.

aNdheroN ne lahoo meraa , agar sab pee liyaa hotaa !
to shab ka choRa seenaa bhii ujaaloN se bharaa hotaa !

7.

koii taaraa , koii jugnoo, koii deepak jalaa hotaa !
miree taareek raatoN ko sahaaraa to milaa hotaa ! :cry:

8.

na tuu meraa Khudaa bantaa , na maiN teraa Khudaa hotaa !
moHabbat maiN hamaare darmayaaN gar faaSila hotaa ! :P

9.

zamaane se agar meraa koii bhi mashwaraa hotaa !
moHabbat tark kee hotii, garebaaN see liyaa hotaa ! *

10.

ye jo mere wat^an key rahnumaa haiN be-wafaa saare
agar in maiN se koii baa-wafaa hotaa to kyaa hotaa ? :evil:

11.

ye iHsaaN maan le meraa , k aye naavik-fagan pyaare !
na aataa saamne maiN , teer teraa phir Khat^aa hotaa ! :-x

12.

koii pathhar , koii kaaNtaa sahii , kuch to ho daaman maiN
tire kooche maiN aaye haiN :Zia: , kuch to a't^aa hotaa ! :evil:

........................................................................

* ye misra' SaaHir ludhyaanvi k is misra' se liyaa gayaa hai k
" moHabbat tark kee maiN ne , gareebaaN see liyaa maiN ne "
.......................

shukriya

moKhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob waah waah

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami o Azeezi
Zia Baloch Saahib

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki mandarja-e-zeil ghazal bahut pasand aayi jiske liye maiN dili daad aur mubaarakbaad pesh kartaa hooN.
1.

zaraa socho ruKh-e-jaanaaN se pardah gar haTaa hotaa
yaqeena" dil maiN sonaami sa koii zilzilaa hotaa !

2.

fiZ^aa ki wus'atoN maiN woh agar jalwaa-numaa hotaa
falak se aaNkh tak ik HeratoN ka silsilaa hotaa

3.

dareecha teri ulfat ka kam az kam adh-khulaa hotaa
miree barbaadiyoN ka aaKharash kuch to Silaa hotaa !

4.

Khudaayaa kaash ye dil i'shq maiN itnaa luTaa hotaa
k dhaRkan ko dhaRakne ka na ratti bhar pataa hotaa !

5.
agar saaqi ne riNdoN ko lahoo apnaa diyaa hotaa !
chiraaGh-e-bazm-e-maiKhaana , na youN phir bujh gayaa hotaa !

6.

aNdheroN ne lahoo meraa , agar sab pee liyaa hotaa !
to shab ka choRa seenaa bhii ujaaloN se bharaa hotaa !

7.

koii taaraa , koii jugnoo, koii deepak jalaa hotaa !
miree taareek raatoN ko sahaaraa to milaa hotaa !

8.

na tuu meraa Khudaa bantaa , na maiN teraa Khudaa hotaa !
moHabbat maiN hamaare darmayaaN gar faaSila hotaa !

9.

zamaane se agar meraa koii bhi mashwaraa hotaa !
moHabbat tark kee hotii, garebaaN see liyaa hotaa ! *

10.

ye jo mere wat^an key rahnumaa haiN be-wafaa saare
agar in maiN se koii baa-wafaa hotaa to kyaa hotaa ?

11.

ye iHsaaN maan le meraa , k aye naavik-fagan pyaare !
na aataa saamne maiN , teer teraa phir Khat^aa hotaa !

12.

koii pathhar , koii kaaNtaa sahii , kuch to ho daaman maiN
tire kooche maiN aaye haiN :Zia: , kuch to a't^aa hotaa !

SheAr No.1,
Iske doosre misreA meiN kitaabat kii ghalati kii vajah se lafz "zalzalah" ko "zilzila" likhkha gayaa hei.
SheAr No.2.
Pahle miSreA meiN aap ne faZaa ko "fizaa" likhkha hei jo ghalaT hei. Dar asl fizaa ka lafz "afzaa" ki takhfeef hei jiske maAni heiN ziyaadah hounaa yaa afzoon hounaa jaise (Hauslah afzaa, jaaNfizaa, waghairah.
Aapke sheAr se zaahir hei ke aap "faZaa" hii kehnaa chaahte heiN jiske mani heiN (zameen kii faraakhi, kushaadagiy-e-SaHn-e-khaanah, khulaa houaa maidan, wusAat). Jaise mandarja-e-zeil ashAar meiN hei:
"aabaady-e-faZaay-e-Adam ham se khaak hou
kuch saath le gaye nah jaahaan-e-kharaab se"
"baagh sarsabz hei aur aab o hawaa achchi hei
keejiye sair koiee dam ke faZaa achchi hei."
"apni nazraoN meiN sab anddher hei be jaam-e-sharaab
dekhuN kin aankhaoN se saaqi maiN faZaa saavan kii."
Aakhiri do sheAraoN meiN jo mani liye gaye heiN wo heiN (bahaar, jouban, raunaq, kaifiyyat, dilchaspi) ke heiN.
3.
4. Is sheAr ke doosre miSreA meiN taAqeed paidaa hugaiee hei. DhaRkan dhaRakne ke Aamal ko hii tou kehte heiN.
No.5 aur 6 bahut hii achche sheAr heiN.
No.7 bhii achchaa hei.
No.8 meiN aapka falsafah mandarja-e-zeil se mukhtalif hei jiski gahraayi se maiN naawaaqif hooN:
"na thaa kuch tou khudaa thaa kuch nah houtaa tou khudaa houtaa,
Dubouyaa mujhko houne ne, nah houtaa maiN tou kyaa houtaa"
No.9. Achcha aur vaaZeH sheAr hei.
No.10. sheAr achchaa hei lekin Haqeeqat se kuch door maAloom houtaa hei.
No.11. WaaqaAi aap ne naavak-figan kaa bharam rakhliyaa. Lafz afgan saHeeH hei lekin "alif" ke baghair "figan" hii isteAmaal houtaa hei.
No.12. MaqTaA bhii bahut shandaar hei. Mujhe ummeed hei aur duAaa hei ke aapkaa daaman bhar jaaye dunyavi zindagi kii aur aakhirat kii musarrataoN aur iTm'naan-e-qalbi se.

Ab asl baat kehne kaa waqt aagayaa hei. Mujhe kyaa maAloom thaa ke aap itne achche sheAr kahne lage heiN. Bahut bahut daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

........................................................................
Last edited by Abdullah Nazir on Sun Jul 31, 2005 10:28 am, edited 2 times in total.
Image
riaz ahmed saraa
-
-
Posts: 46
Joined: Thu Dec 16, 2004 8:13 am
Location: Lahore
Contact:

Post by riaz ahmed saraa »

bohat khooob zia sahib bohat khoob

arsay ba'd aap kaa kalaam parha bohat umda

aur haan boaht dair ba'd mulaaqaat ho rahi hai. kaisay mizaaj hai janaab ke

riaz :-)
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

Zia Sahib salaam e masnoon
Wah bhai waah aap ne to ghazal kia kahi balke urdubandhan par ziapaashi farmai hai. bahut achi ghazal hai. shukria
Mahtab Qadr
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Zia Baloch Sahab, Zindabad

Der aayad durust aayad.

Bahut achchee ghazal se nawaza hai aap ne. Bahut bahut shukriya.

Mukhlis
Jawaid Badauni
Steve Almas
-
-
Posts: 43
Joined: Mon Jun 06, 2005 6:52 pm

Post by Steve Almas »

Zia Saahib
Aadab

Kash aapki aarzoain aour dili khahishat bar aayein.

Sabhi ahsaar pasand aaye, dili mubarikbaad qabool kijiye.

:lol: :lol: :lol: :lol:

Steve Almas
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Re: :: zaraa socho , ruKh-e-jaanaaN se pardah gar haTaa hota

Post by Star Mind »

sara_j wrote:
Star Mind wrote:Yaaran-e-meHfil , aadaab

gar che Ghazal barwaqt na keh kar maiN is mahene k mushaai'ra ( kisee aur chopaal ) maiN shirkat na karsakaa , magar bahar Haal aaj is t^araHi misra'( agar un maiN se koii baa-wafaa hota to kyaa hotaa ) par aek Ghazal ho hi gayee :oops:

to lejeye Ghazal Haazir hai :)

1.

zaraa socho ruKh-e-jaanaaN se pardah gar haTaa hotaa
yaqeena" dil maiN sonaami sa koii zilzilaa hotaa ! :lol:

OMG! :shock: aisa tou kabhi souchi hi nahi thi
itna zoradaar zilzilaa bhi asakta hai ashiq ke dil
mien jo tsunami jaisa ho :shock: Allah reham
kare dil e nazuk per :rose

aameen cumma aameen ! jee haaN aisa bhi hotaa hai :lol:
2.

fiZ^aa ki wus'atoN maiN woh agar jalwaa-numaa hotaa
falak se aaNkh tak ik HeratoN ka silsilaa hotaa :shock:

:-) bohat ache!

shukriya
3.

dareecha teri ulfat ka kam az kam adh-khulaa hotaa
miree barbaadiyoN ka aaKharash kuch to Silaa hotaa ! :(

4.

Khudaayaa kaash ye dil i'shq maiN itnaa luTaa hotaa
k dhaRkan ko dhaRakne ka na ratti bhar pataa hotaa ! :twisted:

very nice! :-)

nehaayat mamnoon :-)

5.
agar saaqi ne riNdoN ko lahoo apnaa diyaa hotaa !
chiraaGh-e-bazm-e-maiKhaana , na youN phir bujh gayaa hotaa ! :evil:

waah!

shukriya janaab

6.

aNdheroN ne lahoo meraa , agar sab pee liyaa hotaa !
to shab ka choRa seenaa bhii ujaaloN se bharaa hotaa !

7.

koii taaraa , koii jugnoo, koii deepak jalaa hotaa !
miree taareek raatoN ko sahaaraa to milaa hotaa ! :cry:

bohat khoob! meri pasand ka shair hai ye.

kyaa kehne jee ! shukriyaa aap ka :-)
8.

na tuu meraa Khudaa bantaa , na maiN teraa Khudaa hotaa !
moHabbat maiN hamaare darmayaaN gar faaSila hotaa ! :P

9.

zamaane se agar meraa koii bhi mashwaraa hotaa !
moHabbat tark kee hotii, garebaaN see liyaa hotaa ! *

10.

ye jo mere wat^an key rahnumaa haiN be-wafaa saare
agar in maiN se koii baa-wafaa hotaa to kyaa hotaa ? :evil:

11.

ye iHsaaN maan le meraa , k aye naavik-fagan pyaare !
na aataa saamne maiN , teer teraa phir Khat^aa hotaa ! :-x

12.

koii pathhar , koii kaaNtaa sahii , kuch to ho daaman maiN
tire kooche maiN aaye haiN :Zia: , kuch to a't^aa hotaa ! :evil:

........................................................................

* ye misra' SaaHir ludhyaanvi k is misra' se liyaa gayaa hai k
" moHabbat tark kee maiN ne , gareebaaN see liyaa maiN ne "
.......................

shukriya

moKhliS : Zia Baloch
zia saahib,

salaam.

hamesha ki tarah aapki ye ghazal bhi bohat pasand aayi.

daad qubool keeijye.

sara

Sara SaaHiba , w/salaam

inethaaye maz'irat k der se jawaab de rahaa hoN , wajah Net k Kharabi the yahaaN ! aur meeri waapsi tak ye sililsa chaltaa rahega :(

aap ne jis fayyazi se kaam liyaa hai us keleye shukriya k alfaaz kahaaN se laayeN ham ?

bahut bahut shukriya aap ka !

moKhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Re: Bahut khoob waah waah

Post by Star Mind »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Zia Baloch Saahib

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki mandarja-e-zeil ghazal bahut pasand aayi jiske liye maiN dili daad aur mubaarakbaad pesh kartaa hooN.
1.

zaraa socho ruKh-e-jaanaaN se pardah gar haTaa hotaa
yaqeena" dil maiN sonaami sa koii zilzilaa hotaa !

2.

fiZ^aa ki wus'atoN maiN woh agar jalwaa-numaa hotaa
falak se aaNkh tak ik HeratoN ka silsilaa hotaa

3.

dareecha teri ulfat ka kam az kam adh-khulaa hotaa
miree barbaadiyoN ka aaKharash kuch to Silaa hotaa !

4.

Khudaayaa kaash ye dil i'shq maiN itnaa luTaa hotaa
k dhaRkan ko dhaRakne ka na ratti bhar pataa hotaa !

5.
agar saaqi ne riNdoN ko lahoo apnaa diyaa hotaa !
chiraaGh-e-bazm-e-maiKhaana , na youN phir bujh gayaa hotaa !

6.

aNdheroN ne lahoo meraa , agar sab pee liyaa hotaa !
to shab ka choRa seenaa bhii ujaaloN se bharaa hotaa !

7.

koii taaraa , koii jugnoo, koii deepak jalaa hotaa !
miree taareek raatoN ko sahaaraa to milaa hotaa !

8.

na tuu meraa Khudaa bantaa , na maiN teraa Khudaa hotaa !
moHabbat maiN hamaare darmayaaN gar faaSila hotaa !

9.

zamaane se agar meraa koii bhi mashwaraa hotaa !
moHabbat tark kee hotii, garebaaN see liyaa hotaa ! *

10.

ye jo mere wat^an key rahnumaa haiN be-wafaa saare
agar in maiN se koii baa-wafaa hotaa to kyaa hotaa ?

11.

ye iHsaaN maan le meraa , k aye naavik-fagan pyaare !
na aataa saamne maiN , teer teraa phir Khat^aa hotaa !

12.

koii pathhar , koii kaaNtaa sahii , kuch to ho daaman maiN
tire kooche maiN aaye haiN :Zia: , kuch to a't^aa hotaa !

SheAr No.1,
Iske doosre misreA meiN kitaabat kii ghalati kii vajah se lafz "zalzalah" ko "zilzila" likhkha gayaa hei.

sab se pehle to ta'Kheer keleye intehaayee ma'zirat Khaah hoN ! waja Net ki Kharaabi :(
bahut bahut shukriya aap ki nishaandahee ka ! , maiN ise hamesha youNi talaffuz kartaa thaa ! ab Theek tarah se karoNga shukriya ! :-)

SheAr No.2.
Pahle miSreA meiN aap ne faZaa ko "fizaa" likhkha hei jo ghalaT hei. Dar asl fizaa ka lafz "afzaa" ki takhfeef hei jiske maAni heiN ziyaadah hounaa yaa afzoon hounaa jaise (Hauslah afzaa, jaaNfizaa, waghairah.
Aapke sheAr se zaahir hei ke aap "faZaa" hii kehnaa chaahte heiN jiske mani heiN (zameen kii faraakhi, kushaadagiy-e-SaHn-e-khaanah, khulaa houaa maidan, wusAat). Jaise mandarja-e-zeil ashAar meiN hei:
"aabaady-e-faZaay-e-Adam ham se khaak hou
kuch saath le gaye nah jaahaan-e-kharaab se"
"baagh sarsabz hei aur aab o hawaa achchi hei
keejiye sair koiee dam ke faZaa achchi hei."
"apni nazraoN meiN sab anddher hei be jaam-e-sharaab
dekhuN kin aankhaoN se saaqi maiN faZaa saavan kii."
Aakhiri do sheAraoN meiN jo mani liye gaye heiN wo heiN (bahaar, jouban, raunaq, kaifiyyat, dilchaspi) ke heiN.

bahut bahut shukriya k aap ne aek baar phir drust talaffuz se aashnaa kyaa ! nehaayat mamnoon hoN ! ab baat waaziH hogayee hai ! shukriya aap ka :-)

3.
4. Is sheAr ke doosre miSreA meiN taAqeed paidaa hugaiee hei. DhaRkan dhaRakne ke Aamal ko hii tou kehte heiN.

jee behtar ! aayenda Khyaal rakkhoNga ! youNhi aap rahnumaayee farmaate raheN , inshaa Allah aahista aahista sab Theek hoga ! :-)

No.5 aur 6 bahut hii achche sheAr heiN.
No.7 bhii achchaa hei.

bahut bahut nawaazish ! :-)

No.8 meiN aapka falsafah mandarja-e-zeil se mukhtalif hei jiski gahraayi se maiN naawaaqif hooN:
"na thaa kuch tou khudaa thaa kuch nah houtaa tou khudaa houtaa,
Dubouyaa mujhko houne ne, nah houtaa maiN tou kyaa houtaa"

is ka mat^lab ye thaa k ham moHabbat ki mi'raaj tak na puHnch sakte agar faaSila hotaa ! baaqi aap behtar jaante haiN ! shukriya :-)

No.9. Achcha aur vaaZeH sheAr hei.

shukriya aap ka :-)
No.10. sheAr achchaa hei lekin Haqeeqat se kuch door maAloom houtaa hei.

bajaa farmaayaa aap ne ! Khyaal rakkhoNga ! :-)
No.11. WaaqaAi aap ne naavak-figan kaa bharam rakhliyaa. Lafz afgan saHeeH hei lekin "alif" ke baghair "figan" hii isteAmaal houtaa hei.

shukriya is qadar mufeed ma'loomaat keleye ! aaKhir yahi to faai'da hai asaatiza k tabSiroN ka ! :-)

No.12. MaqTaA bhii bahut shandaar hei. Mujhe ummeed hei aur duAaa hei ke aapkaa daaman bhar jaaye dunyavi zindagi kii aur aakhirat kii musarrataoN aur iTm'naan-e-qalbi se.

AAMEEN ! Allah ta'aala aap ki ye KhoobSoorat du'aa ham sab k Haq maiN qabool farmaaye Aameen !

nehaayat mamnoon hoN ! sab aap asaatiza ki wajh se mumkin howaa hai

Ab asl baat kehne kaa waqt aagayaa hei. Mujhe kyaa maAloom thaa ke aap itne achche sheAr kahne lage heiN. Bahut bahut daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

moHtaram Nazir SaaHib,

agar maiN koi achcha shea'r kehtaa hoN , to is ka matlab sirf yahi hotaa hai k is maiN aap jaise asaatiza ki rahnumaaye shaamil hai , koi buraa shea;r hojaataa hai to woh saraasar meri apni naa ahlee hoti hai !

ummed hai k aayenda aur bhi achhca keh sakoNga ! shukriya !