Ek Qita, m'otariz-e Abdullah Nazir ki nazr...........

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Ek Qita, m'otariz-e Abdullah Nazir ki nazr...........

Post by jawaid badauni »


"Jawaid" aaj kaisa boora waqt aa gayaa

Hota hai ahl-e ilm ke lafzoN peh e'traaz

Shagird dhooNdhte haiN uyoob-e asaatizah

Karne lage haiN tifl buzurgoN peh e'traz


Jawaid Badauni
Muscat - Oman
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam Jawaid saaHib,

bahot Khoob...baRii hii mo'atabar baat aapne Husn e Khoobi ke saath adaa kar dii...aapkaa ishaara kis kii taraf hai yeh bhi sabhi jaante haiN...kaash ki vo is baat ko samjheN ki baRoN aur ustaadoN kii 'izzat karne se Khud ba Khud unko 'izzat milegii jisko vo Khanjar-e-alfaaz kii nok par Haasil karna chaahte haiN.

ji haN, tifl e maktab kii yeh bisaat! Allah kii shaan hai aur kia kaheN.


kauwa chala hans kii chaal, apnii bhii kho baiThaa :lol:

Hashmat
Image
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

Jawaid Badauni sahib. adaab
wah wah aap ke chaar misroN ki tahreek par tazmeenan aur chaar misre lagaane ki jurat ki hai. agar bura na lage:)


kaisa ghubaar sa ye zamaane pe cha gaya
jawaid aaj kaisa bura waqt aagaya

kaNte bhi aaj karte haiN pholoN pe aiteraz
hota hai alh e ilm ke lafzoN pe aiteraaz

pahle the log bharte juyooob e asaatizah
Shagird dhooNdhte haiN uyoob-e asaatizah

jugno ka zaom dekhiye , taaroN pe aiteraaz!
karne lagay haiN tilf buzurgoN pe aiteraaz
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Hashmat Usmani wrote:salaam Jawaid saaHib,

bahot Khoob...baRii hii mo'atabar baat aapne Husn e Khoobi ke saath adaa kar dii...aapkaa ishaara kis kii taraf hai yeh bhi sabhi jaante haiN...kaash ki vo is baat ko samjheN ki baRoN aur ustaadoN kii 'izzat karne se Khud ba Khud unko 'izzat milegii jisko vo Khanjar-e-alfaaz kii nok par Haasil karna chaahte haiN.

ji haN, tifl e maktab kii yeh bisaat! Allah kii shaan hai aur kia kaheN.


kauwa chala hans kii chaal, apnii bhii kho baiThaa :lol:

Hashmat

Mohtarmee Hashmat Sa'ab,

Qit'e ki pazeeraaii ke liye bahud mamnoon hooN. Yeh mere dili jazbaat thay jinheN main ne chaar misroN meN dhal diya tha.

Bahut bahut shukriya.

Jawaid
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Mahtab Qadr wrote:Jawaid Badauni sahib. adaab
wah wah aap ke chaar misroN ki tahreek par tazmeenan aur chaar misre lagaane ki jurat ki hai. agar bura na lage:)


kaisa ghubaar sa ye zamaane pe cha gaya
jawaid aaj kaisa bura waqt aagaya

kaNte bhi aaj karte haiN pholoN pe aiteraz
hota hai alh e ilm ke lafzoN pe aiteraaz

pahle the log bharte juyooob e asaatizah
Shagird dhooNdhte haiN uyoob-e asaatizah

jugno ka zaom dekhiye , taaroN pe aiteraaz!



Azeezi Mahtab Sahab,

Shukriya.

Tazmeen pasaNd aaii. Bahut achchee koshish ki hai. Sirf teesre aur chauthay misray meN rabt ki kamee hai warnah baqi misray bahut achche haiN. Yeh Qita hum sub ke jazbaat ki tarjumani karta hai.

Ek bar phir shukriya.

Jawaid
karne lagay haiN tilf buzurgoN pe aiteraaz
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badaayuni Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,


Aapke qiTAe ke liye beHad shukrguzaar hooN.

Agar aap isi TaraH se mujh per iHsaan farmaate raheNge tou Dar hei ke mujhe apni adnaa sii shakhsiyat ke baare meiN kuch ghalatfahmi nah houjaye.

Phir bhii maiN aapki karamfarmaayi ke liye mamnoon hooN.

Zaahir hei sheAri liHaaz se aapka qiTAah bilaa shak bahut hii khoob hei.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Bahut khoob waah waah

Post by jawaid badauni »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badaayuni Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,


Aapke qiTAe ke liye beHad shukrguzaar hooN.

Agar aap isi TaraH se mujh per iHsaan farmaate raheNge tou Dar hei ke mujhe apni adnaa sii shakhsiyat ke baare meiN kuch ghalatfahmi nah houjaye.

Phir bhii maiN aapki karamfarmaayi ke liye mamnoon hooN.

Zaahir hei sheAri liHaaz se aapka qiTAah bilaa shak bahut hii khoob hei.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Mohtarmee Abdullah Nazir Sahab, Tasleem

Yeh Qita kisee fard-e wahid ke rawayye aur kisee fard-e wahid ke ehtraam tak mahdood nahiN. MaiN ne ek tarz-e fikr ke khilaaf qalam uThaya hai.

Waise arz kar dooN keh umr ke e'tbaar se main Khood bhi ab buzurgoN ke fahrist meN shamil hone wala hoon so aisee bateN karne meN mera apna faiyidah bhi shamil hai.

Khairtalab,
Jawaid Badauni
Post Reply