Dost hota nahiN har hath milaney wala

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Dost hota nahiN har hath milaney wala

Post by zmufti »

"Dost hota nahiN har hath milaney wala”
kaash milta hameN woh saath nibhaney wala

Narm lehja thaa aur andaz lubhaney wala
Bhoolta hi nahiN woh sakhs bhulaney wala

Zabt ki har saaii nakaam bananey wala
Hosh khota hi nahiN jaam pilaney wala

Dard hota nahiN har aik sunaaney wala
Zakhm Hota nahiN har aik dikhaney wala

Koi to ho hamaiN bhee khawb dikhananey wala
Koi to husn ke ho Naaz uthaney wala

Khoob barsi KahiN per aaj ghata sawan ki
Habs bharta hi gaya jaan jalaney wala

Raqs iblees ka jari hai zameeN par har soo
Arsh par kyoN hai magan Hashr uThaney wala
Last edited by zmufti on Sun Jul 31, 2005 8:34 pm, edited 1 time in total.
riaz ahmed saraa
-
-
Posts: 46
Joined: Thu Dec 16, 2004 8:13 am
Location: Lahore
Contact:

Re: Dost hota nahiN har hath milaney wala”

Post by riaz ahmed saraa »

zmufti wrote:"Dost hota nahiN har hath milaney wala”
kaash milta hameN woh saath nibhaney wala

Narm lehja thaa aur andaz lubhaney wala
Bhoolta hi nahiN woh sakhs bhulaney wala

Zabt ki har saaii nakaam bananey wala
Hosh khota hi nahiN jaam pilaney wala

Dard hota nahiN har aik sunaaney wala
Zakhm Hota nahiN har aik dikhaney wala

Koi to ho hamaiN bhee khawb dikhananey wala
Koi to husn ke ho Naaz uthaney wala

Khoob barsi KahiN per aaj ghata sawan ki
Habs bharta hi gaya jaan jalaney wala

Raqs iblees ka jari hai zameeN par har soo
Arsh par kyoN hai magan Hashr uThaney wala
wah wah wah...........

bohat khoob

zaraaqaa sahiba bohat khoob

kamaal ki ghazl bohat pasand aaii

dhairooon daad qubool farmaaiae

riaz :-)
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

Zarqa sahiba waah waah 5 matle aik sher aik maqta jawab nahi aapka bhi. bahut achi tarhi ghazal se nawaza aapne .
shukria
Mahtab Qadr
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Bahut haseen Ghazal se nawaza hai aap ne.

Shukriya.

Mukhlis
Jawaid Badauni
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Riaz sahib
Aap sab ka buhat shukria
regards
zmufti
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Mahtaab sahib
aap ka buhat shukria
jee chah raha thaa k sare sher hi matle ki surat hon magar soojhe hi nahiN
regards
zmufti
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Javaid sahib
aap ki hosla afzaaii k liye mamnoon hoN
shukria
zmufti
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Sara jee
aap ka buhat shukria
take care
zmufti
Post Reply