Sarwar Sahab se mere sawalaat........

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Sarwar Sahab se mere sawalaat........

Post by jawaid badauni »

Mohtarmee Sarwar Sahab, Tasleem

Aapko zahmat deta rahta hooN, Khair itna haq to banta hai aap per hamara.Mundarja zel alfaz bahut kacrat se bole jate haiN aur ahl-e ilm meN bhi qubool-e aam haiN. Kya aap ki nazar meN Urdu meN inheN durust mana jayega? Jo yaad aa rahe haiN tahreer kar raha hooN waise aur bhi alfaz ya fiqre haiN jo iss waqt zahn meN nahiN hain. Jin lafzoN ya haroof per ghaltee ka imkan hai unheN “underlined” kar diya hai yAAni unke neeche ek lakeer kheeNch dee hai.

Muntazar-e-jawab,

Ahqar
Jawaid Badauni


1. DheroN daad qubool kijiye

2. Bahut bahut salaam qubool kijiye.

3. Aap ka doajoo.

4. Deree ke lie mAAzrat

5. Dher sari doayeN aapke saath haiN.

6. Aapke bachchoN ko Dher sa pyaar.

7. Sarwar Ji! aadaab qubool kijiye.

8. Aane ki har mumkinah koshish karooNga

9. Aap ka muntazir rahooNga.

10. Aap se mArooza hai dou ghazaleN pesh farmayeN.

Ummid hai mere wa mujh jaise deegar membraan ke ilm meN izafah farmayeNge.
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Jawaid SaaHeb: aadaab!

yaad-aawaree ke liYe mamnoon hooN. yeh aap kaa Husn-e-z^an hai keh mujh` ko kisee Khidmat ke laa,iq samajh`te haiN. maiN to Khud ek t^aalib-e-i'lm hooN aur kitaaboN, luGhaat aur asaatiZah ke mut^aali,a'h se kaam chalaataa hooN. is baat meN koyee kasr-e-nafsee naheeN hai aur nah hee shaa,i'raanah mubaaliGhah hai. Khair! aap ne yaad kiyaa hai to apnee ma^rooZ^aat ke saath` HaaZ^ir hooN.

sab se pehle to maiN ek uSoolee baat a'rZ^ karooN gaa: "sawaalaat ke jawaab ke liYe kisee maKhSooS shaKhS ko naam le kar da'wat denaa munaasib naheeN hai". yeh meHfileN sab ke liYe baraabar kaa maqaam rakh`tee haiN aur kisee kaa naam lene se doosroN kee dil-shikanee ho saktee hai. mazeed yeh ke i'lm par kisee kaa ijaarah naheeN hai. yahaaN bohat se aise dost haiN jo mujh` se ziyaadah baa-i'lm haiN aur sawaalaat ke jawaab dene kee pooree SalaaHiyyat rakh`te haiN. is baat se aap kee dil-aazaaree maqSood naheeN hai bal.k ek uSoolee baat kaa iz^haar manz^oor hai.

ab apne i'lm kee Had tak aap ke sawaaloN ke jawaab dene kee koshish kartaa hooN:
-----------------------------------------------
1. DheroN daad qubool kijiye
5. Dher sari doayeN aapke saath haiN.
6. Aapke bachchoN ko deher sa pyaar.

maiN ne yeh teenoN sawaal yakjaa kar diYe haiN kyoN.k aap kaa sawaal lafz^ :Dh`er: ke ista'maal par hai. "Dh`er" Hindustaanee kaa lafz^ hai aur Urdu adab meN bh`ee musta'mil hai. is liYe is ke ma'nee par nuktah-cheenee kaa sawaal hee paidaa naheeN hotaa hai. albattah jis maKhSooS ista'maal kee aap ne nishaan-dehee kee hai us par chand baateN kahee jaa saktee haiN.

"Dh`er" in ma'noN meN a'amiyaanah lafz^ hai aur ek adabee meHfil meN is ke ista'maal meN iHtiyaat^ laazim hai. adab-o-she'r meN alfaaz^ ke ista'maal ke bh`ee aadaab hote haiN. luGhawee ma'noN meN "Dh`er" kaa maZkoorah ista'maal chaahe durust ho lekin adabee ma'nee meN maHalle-e-naz^ar yaqeena" hai. aur agar apne se baRe se kahaa jaaYe to aur bh`ee a'jeeb lagtaa hai. bachchoN ke liYe aap is ko ista'maal kar leN lekin mujh` se aisaa nah kaheN to mehrbaanee ho gee! :-)
-------------------------
2. Bahut bahut salaam qubool kijiye.

:bohat bohat salaam: meN koyee qabaaHat naheeN ma'loom hotee hai. jab :bohat see dua'a: de sakte haiN to :bohat saa salaam: bh`ee kar sakte haiN!
---------------------------------
3. Aap ka doajoo.

:joo: mushtaq (derivative) hai :joo,eedan: (Dh`ooNDnaa) se. aap ne sunaa ho gaa keh :joo,indah, yaabindah: (jo Dh`ooNDtaa hai woh paa bh`ee letaa hai). goyaa is lafz^ meN :justjoo: kaa pehloo hai. ab kisee buzurg kee dua'a koyee Dh`akee-ch`upee yaa kh`oyee huyee cheez to naheeN hai keh us kee justjoo kee jaaYe! haaN aap us ke :Khwaastgaar: yaa :t^aalib/t^alabgaar: Z^aroor ho sakte haiN. goyaa yooN kahiYe keh :t^aalib-e-dua'a: nah keh :dua'a-joo:!
------------------------------
4. Deree ke lie mAAzrat

"deree" ek mubtaZil aur a'amiyaanah lafz^ hai jo :der: se banaa liyaa gayaa hai. z^aahir hai keh yahaaN :der: se kaam ba-Khoobee chal jaataa hai. chunaan.ch :deree: kee Haajat naheeN hai. :der: faSeeH hai aur :deree: Ghair-faSeeH!
-----------------------
7. Sarwar Ji! aadaab qubool kijiye.

:jee: kaa yeh ista'maal Hindi aur Punjabi meN a'am hai. hamaaree t^araf (Uttar Pradesh, India) Hindu dostoN ko :Vermaa jee, Sharmaa jee: keh kar pukaarnaa a'am hai. hamaare Pakistaanee Punjabi dostoN ne is ista'maal ko nayee balandee se aashnaa kiyaa hai. bohat i'zzat ke liYe (KhaaS t^aur se agar muKhaat^ib mudarris hai) "Sir jee" kehte haiN jo nah Sirf Ghalat^ aur Ghair-faSeeH hai bal.k maZ^Hakah-Khez bh`ee hai. adab-o-she'r meN is ista'maal kee Urdu meN mujh` ko gunjaa,ish naz^ar naheeN aatee hai. Zaatee t^aur par maiN :jee: kaa ista'maal apne Hindu yaa Sikh dostoN ko Khit^aab karte huwe kartaa hooN (Sudheer jee, Rajendra Sing jee) yaa ph`ir is Soorat meN jaa,iz jaantaa hooN jab naam se muKhatib shaKhS kee jins kaa patah nah chaltaa ho! "Sarwar jee" se behtar alqaab Urdu meN haiN! mujh` ko is se mua'af hee rakh`eN to behtar ho gaa! :-)
------------------------------
8. Aane ki har mumkinah koshish karooNga

yahaaN bh`ee :mumkin: kehnaa kaafee hai is liYe :mumkinah: Ghair-Z^arooree aur Ghair-faSeeH ho gaa. waise teHreer ke siyaaq-o-sibaaq (context) se aasaanee se ma'loom ho jaataa hai keh :mumkinah: kis jagah ista'maal ho saktaa hai.
-----------------------------------
9. Aap ka muntazir rahooNga.

is meN kyaa e`tiraaZ^ hai? :muntaz^ir: ke ma'nee haiN :woh jo intiz^aar kare: aur :muntaz^ar: ke ma'nee haiN :jis kaa intaiz^aar kiyaa jaaYe:

kabh`ee ai Haqeeqat-e-mutaz^ar! naz^ar aa libaas-e-majaaz meN
keh hazaaroN sajde taRap rahe haiN miree jabeen-e-niyaaz meN (Iqbal)

:maiN intiz^aar karooN gaa : yaa :maiN muntaz^ir rahooN gaa: donoN hee durust haiN.
--------------------------
10. Aap se mArooza hai dou ghazaleN pesh farmayeN.

maiN ne : ma'rooZ^ah: is t^araH kaheeN naheeN dekh`aa. aap ne dekh`aa hai to bataaYeN keh kahaan dekh`aa hai? yahaaN :darKhwaast, a'rZ^: kehnaa chaahiYe. aur yeh "pesh farmaane: kee bh`ee aap ne Khoob kahee! "pesh" meN inkisaar aur :ch`oTaa-pan: kaa pehloo hai. maiN apnee cheez pesh :kar: saktaa hooN, pesh :farmaa: naheeN saktaa! aur agar maiN kisee se aisaa kahooN gaa to apnee be-i'lmee kaa cuboot faraaham karooN gaa!
=========================
aaKhir meN yeh kahnaa Z^arooree hai keh yeh in sawaalaat par meree raaYe hai jo Ghalat^ bh`ee ho saktee hai. deegar dost agar is silsileh meN kuch` likh`eN to i'naayat ho gee.

mazeed yeh keh aap apnee teHreer likh` kar dobaarah paRh liyaa kareN to behtar ho gaa. kaafee Ghalat^iyaan naz^ar aatee haiN!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply