maah-e-AUGUST ke muntakhib shaa'r...Dr. Bashir badr

Muntakhab shayari-Baitbaazi-Lafz par Ashaar
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

maah-e-AUGUST ke muntakhib shaa'r...Dr. Bashir badr

Post by Shummu »

Assalam-o-alaikum ahl-e-bazm!

Jaisa ke aap sab jaante hain ki aajkal Hashmat sahab india gaye hue hain....woh ye silsila ba khoob anjaam de rahe the...unki adam maujoodgi mein main is silsile ko aaGe baRhaate hue ....is maah ke muntakhib shayar ka naam deti hoon.... "Dr Bashir Badr" jo ke mere pasandeeda shayron mein se hain.... aap log unke kalaam yahan share kar ke is laRi ko zinda karein..shukriya ! :grin:



Image

Image

Image

Image


Image


Image
Last edited by Shummu on Sun Sep 04, 2005 8:37 am, edited 1 time in total.

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
RAUSHNEE
-
-
Posts: 66
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:32 pm
Contact:

Post by RAUSHNEE »

My All Time Fav From Bashir Badar ...... A master piece .......jo k mujhe kuch kuch bhool gayee hai...........or kissi website say mil nahi rahi....still I will try my level best 2 search it for urdubandhan member.....

Shummu tum nay bhi pehli ghazal post kee mujhe bohat he zyada pasand hai......

ab yeh sunu..........

yon hi besabab na phiraa karo, koi shaam ghar bhi rahaa karo
vo Ghazal ki sachchi kitaab hai, use chupake chupake paraa karo


koi haath bhi na milaayegaa, jo gale miloge tapaak se
ye naye mizaaj kaa shahar hai, zaraa faasale se milaa karo


abhi raah mein kai mor hain, koi aayegaa koi jaayegaa
tumhen jisane dil se bhulaa diyaa use bhulane kii duaa karo


mujhe ishtahaar si lagatii hain, ye mohabbaton ki kahaaniyan
jo kahaa nahi vo suna karo, jo sunaa nahi vo kahaa karo


kabhii husn-e-pardaanashi'n bhi ho zaraa aashiqaanaa libaas mein
jo main ban-sa'nvar ke kahin chaloon, mere saath tum bhi chalaa karo


ye Khiza ki zard si shaam mein, jo udaas perh ke paas hai
ye tumhaare ghar ki bahaar hai, ise aansuon se haraa karo


nahi behijaab vo chaand sa ki nazar kaa koi asar nahi
use tani garmi-e-shauq se bari der tak na takaa karo
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

wah bahut shukriya raushnee aur sara jee!!!! aap dono ka intekhaab humein pasand aaye...thanx for shaiirng! :)

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

unke aur kalaam pesh-e-khidmat hai..

musaafir ke raste badalate rahe
muqaddar me.n chalanaa thaa chalate rahe

ko_ii phuul saa haath kaa.Ndhe pe thaa
mere paa.v sholo.n pe chalate rahe

mere raaste me.n ujaalaa rahaa
diye us kii aa.Nkho.n ke jalate rahe

vo kyaa thaa jise hamane Thukaraa diyaa
magar umr bhar haath malate rahe

muhabbat adaavat vafaa beruKhii
kiraaye ke ghar the badalate rahe

sunaa hai u.nhe.n bhii havaa lag ga_ii
havaao.n ke jo ruKh badalate rahe

lipaT ke charaaGo.n se vo so gaye
jo phuulo.n pe karavaT badalate rahe
===============================

ab kise chaahe.n kise Dhuu.NDhaa kare.n
vo bhii aaKhir mil gayaa ab kyaa kare.n

halkii halkii baarishe.n hotii rahe.n
ham bhii phuulo.n kii tarah bhiigaa kare.n

aa.Nkh muu.Nde us gulaabii dhuup me.n
der tak baiThe use sochaa kare.n

dil muhabbat diin duniyaa shaayarii
har dariiche se tujhe dekhaa kare.n

ghar nayaa kapa.De naye bartan naye
in puraane kaaGazo.n kaa kyaa kare.

- Bashir Badr

===============================

Achha Tumharey Shaher Ka Dastoor Ho Gaya
Jis Ko Galey Laga Liya, Woh Door Ho Gaya

Kaghaz Mein Dab Kay Mar Gaye KeerDey Kitaab Kay
Deewana Be-ParDhey Likhey Mashhoor Ho Gaya

Mehloun Mein Hum Nein Kitney Sitarey Saja Diye
Lakin Zameen Se Chaand Bohout Door Ho Gaya

Tanhaiyoun Ne TorDh Di Hum Dono Ki Ana
Aaena Baat Karney Pe Majboor Ho Gaya

Waadi Se Kehna, Uss Ki Kahaani Sunaye
Jo Baadshah Ishq Mein Mazdoor Ho Gaya

Subh-e-Visaal Pooch Rihi Hai Ajab Sawaal
Woh Paas Aa Gaya Kay Bohout Door Ho Gaya
================================


Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

vo thakaa huaa merii baaho.n me.n zaraa so gayaa thaa to kyaa huaa
abhii mai.n ne dekhaa hai chaa.Nd bhii kisii shaaKh-e-gul pe jhukaa huaa

jise le ga_ii hai abhii havaa vo varaq thaa dil kii kitaab kaa
kahii.n aa.Nsuo.n se miTaa huaa kahii.n aa.Nsuo.n se likhaa huaa

[varaq = page]

ka_ii miil ret ko kaaT kar ko_ii mauj phuul khilaa ga_ii
ko_ii pe.D pyaas se mar rahaa hai nadii ke paas kha.Daa huaa

[mauj = wave]

mujhe haadaso.n se sajaa sajaa ke bahut hasiin banaa diyaa
meraa dil bhii jaise dulhan kaa haath ho mehandiyo.n se rachaa huaa

vahii Khat ke jis pe jagah jagah do mahakate ho.nTho.n ke chaa.Nd the
kisii bhuule-bisare se taaq par tah-e-gard hogaa dabaa huaa

[taaq = shelf; tah-e-gard = under the dust]

vahiii shahar hai vahii raaste vahii ghar hai aur vahii laan bhii
magar us dariiche se puuchhanaa vo daraKht anaar kaa kyaa huaa

[dariichaa = window; daraKht = tree]

mere saath juganuu hai ham_safar magar is sharar kii bisaat kyaa
ye charaaG ko_ii charaaG hai na jalaa huaa na bujhaa huaa

=============================================

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Image

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

:grin:
Attachments
badr6.jpg
badr6.jpg (41.47 KiB) Viewed 3148 times
badr3.jpg
badr3.jpg (24.74 KiB) Viewed 3148 times

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
PK Swami
-
-
Posts: 102
Joined: Wed Jul 06, 2005 2:59 am
Location: Delhi
Contact:

Post by PK Swami »

I wish to thank one and everyone sincerely for their efforts in presenting a beautiful collection of ghazals br Dr Bashir Badr. Reading these ghazals was nothing short of a journey in the hights of extreme satisfaction.

Janaab Hashmat Usmani is reported to be in India. Will somebody kindly tell where in India he could be contacted ? I would love to fecilitate him personally if possible for his remarkabe services to the readers of Urdubandhan.com and other sites as such.

A direct email at swamipk@bol.net.in would be appreciated as I am not always free these days to visit this site frequently, much though I wish a lot. I am sure I will soon be able to do it. Thanks everybody including Saraji, whom I owe an apology for not responding her request about Sahir.

Regards

PK Swami
mujhe dil diyaa to taRap bhee de
jo hooN doosroN kaa sharik.e gham
mujhe aisey dil kee talab naheeN
jo kisii ke kaam na aa sake
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

ok PK SWAMI jee i'll convey ur message to him....! I guess Hashmat jee is from ALLAHABAD....

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

ab kise chaahe.n kise Dhuu.NDhaa kare.n
vo bhii aaKhir mil gayaa ab kyaa kare.n

halkii halkii baarishe.n hotii rahe.n
ham bhii phuulo.n kii tarah bhiigaa kare.n

aa.Nkh muu.Nde us gulaabii dhuup me.n
der tak baiThe use sochaa kare.n

dil muhabbat diin duniyaa shaayarii
har dariiche se tujhe dekhaa kare.n

ghar nayaa kapa.De naye bartan naye
in puraane kaaGazo.n kaa kyaa kare.

- Bashir Badr

===============================

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

Aadab,


Sau Khulus baataoN maiN sab karam KhayaaloN maiN
Bas zaraa wafaa kam hai tere shehar waaloN maiN


Pahalii baar nazaroN ne chaaNd bolate dekhaa
Hum javaab kyaa dete kho gaye savaaloN maiN


Raat terii yaadoN ne dil ko is tarah chheDaa
Jaise koii chuTakii le narm narm gaaloN maiN


Merii aaNkh ke taare ab na dekh paaoge
Raat ke musaafir the kho gaye ujaaloN maiN



Poet:- Bashir Badr
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

Aadab,


Socha nahiiN achha bura dekha sunaa kuchh bhii nahiiN
MaaNgaa Khuda se raat din tere sivaa kuchh bhii nahiiN


Dekhaa tujhe sochaa tujhe chaahaa tujhe puujaa tujhe
Merii Khataa merii wafaa terii Khataa kuchh bhii nahiiN


Jis par hamaarii aaNkh ne motii bichhaaye raat bhar
Bheja wahii kaaGhaz use hamane likha kuch bhii nahiiN


Eek shaam kii dahaliiz par baiThe rahe woh der tak
AaNkhoN se kii baateN bahut muNh se kahaa kuch bhii nahiN


Do chaar din kii baat hai dil Khaak maiN so jaayegaa
Jab aag par kaaGhaz rakhaa baakii bachaa kuchh bhii nahiiN


Ehasaas kii Khushbuu kahaaN, aavaaz ke juganuu kahaaN
Khaamosh yaadon ke sivaa, ghar maiN rahaa kuch bhii nahiiN


Poet:- Bashir Badr
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

Aadab,



vahii taaj hai vahii taKht hai vahii zahar hai vahii jaam hai
ye vahii Khudaa kii zamiin hai ye vahii butoN kaa nizaam hai



baDe shauq se meraa ghar jalaa koii aaNch na tujhape aayegii
ye zubaaN kisii ne Khariid lee ye qalam kisii kaa Ghulaam hai



maiN ye maanataa huu.N mere diye terii aaNdhiyoN ne bujhaa diye
magar ik juganuu havaaoN maiN abhii raushanii kaa imaam hai


Poet:- Bashir Badr
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

Aadab,


mere saath tum bhii duaa karo yuu.N kisii ke haq me.n buraa na ho
kahii.n aur ho na ye haadasaa ko_ii raaste me.n judaa na ho


mere ghar se raat kii sej tak vo ik aa.Nsuo.N kii laqeer hai
zaraa ba.D ke chaa.Nd se puchhana vo isii taraf se gayaa na ho


NOTE: Some books have the first misra of the above sher as:
merii chhat se raat kii subah tak ko_ii aa.Nsuuo.n kii lakiir hai


sar-e-shaam Thaharii hu_ii zamii.n, aasamaa.N hai jhukaa huaa
isii mo.D par mere vaaste vo charaaG le kar kha.Daa na ho


vo farishte aap hii Dhuu.NDhiye kahaaniyo.n kii kitaab me.n
jo buraa kahe.n na buraa sune ko_ii shaKhs un se Khafaa na ho


vo visaal ho ke firaaq ho terii aag mahakegii ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo charaaG ban ke jalaa na ho


mujhe yuu.N lagaa ki Khamosh Khushbu ke ho.NTh titalii ne chhuu liye
i.nhii.n zard patto.n kii oTh me.n ko_ii phuul soyaa huaa na ho


isii ehatiyaat me.n mai.n rahaa, isii ehatiyaat me.n vo rahaa
vo kahaa.N kahaa.N mere saath hai kisii aur ko ye pataa na ho



Poet:- Bashir Badr
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

Aadab,


Kahii.n chaa.Nd raaho.n me.n kho gayaa kahii.n chaa.Ndanii bhii bhaTak ga_ii
Mai.n charaaG woh bhii bujhaa huaa merii raat kaise chamak ga_ii


Merii daastaa.N kaa uruuj thaa terii narm palako.n kii chhaa.Nv me.n
Mere saath thaa tujhe jaaganaa terii aa.Nkh kaise jhapak ga_ii


Kabhii ham mile to bhii kyaa mile vahii duuriyaa.N vahii faasale
Na kabhii hamaare qadam ba.Dhe na kabhii tumhaarii jhijhak ga_ii


Tujhe bhuul jaane kii koshishe.n kabhii qaamayaab na ho sakii.n
Terii yaad shaaKh-e-gulaab hai jo havaa chalii to lachak ga_ii



Poet:- Bashir Badr
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
Post Reply