Ilaahee! kyoN naheeN jaataa yeh mere jee kaa Gham?

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Ilaahee! kyoN naheeN jaataa yeh mere jee kaa Gham?

Post by Sarwar A. Raz »

dosto: aadaab!

ek taazah Ghazal HaaZ^ir hai. is meN lafz^ :Gham: apne wasee' ma,a'anee meN ista'maal kiyaa gayaa hai. ya'nee kaheeN is se muraad :ranj-o-malaal: hai, kaheeN :talaash: aur kaheeN :eHsaas:. mumkin hai keh is ista'maal se aap ko iKhtilaaf ho. ba-har-kaif, maiN ne daanistah aisaa hee baaNdh`aa hai. aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa.

Sarwar A. Raz "Sarwar"

-------------------------------------------
Ghazal

Ilaahee! kyoN naheeN jaataa yeh mere jee kaa Gham?
kisee kee yaad, kisee kaa junooN, kisee kaa Gham!

karooN to kyaa karooN maiN teree kaj-rawee kaa Gham
tujh`e Zaraa bh`ee naheeN meree be-kasee kaa Gham!

daleel-e-raah bh`ee, manzil bh`ee aur jaras bh`ee yehee
a'jeeb cheez hai yaaro yeh zindagee kaa Gham!

ham aise meHw-e-tamaashah th`e Zaat meN apnee
milaa nah waqt keh hotaa hameN Khudee kaa Gham

hazaar marHale ik raah-e-zeest meN aaYe
kabh`ee to Gham se Khusee th`ee, kabh`ee Khushee kaa Gham!

yeh SubH-o-shaam kee zeHmat! are ma,a'aZ-Allah!
karooN nah shikwah agar ho kabh`ee kabh`ee kaa Gham!

yeh kis ne kar diyaa sood-o-ziyaaN se begaanah?
nah dostee kee Khalish hai, nah dushmanee kaa Gham

faraaz-e-i'shq-o-wafaa? laa-ilaahah-ill-Allah!
yehee keh aadamee ko ho to aadamee kaa Gham!

sha,o'or-e-Zaat ne waa kar diyaa dar-e-jaanaaN
rahee Khudee kee tamannaa, nah beKhudee kaa Gham

Khudaa-nah-Khwaastah "Sarwar" tujh`e tabaah kare
talaash-e-Zabt^-o-sukooN meN Khud-aagahee kaa Gham!

=====================


Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

moHtaram Sarwar A.Raz SaaHib, aadaab :)

maashaa Allah ! aap ki ye Ghazal nehaayat pasand aayee ! tamaam ash'aar bahut hi dil-kash lage ! aap ne zameen bahut hi u'mdah muntaKhab ki hai ! paRh kar bahut mazaa ayaa ! dilee daad qabool kejeye !

shukriya

moKhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

aapki muraSSaA ghazal paRhkar bahut khushi houii

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: Saahib,


Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal behad pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

(Ilaahee! kyoN naheeN jaataa yeh mere jee kaa Gham?
kisee kee yaad, kisee kaa junooN, kisee kaa Gham! )

Waah waah bahut hii dilkash maTlaA hei aur bahut hii vaazeH bhii.

(karooN to kyaa karooN maiN teree kaj-rawee kaa Gham
tujh`e Zaraa bh`ee naheeN meree be-kasee kaa Gham! )

Bahut hii vaazeH aur bahut hii khoob. Is sheAr meiN bahut hii achcha andaaz-e-taghazzul hei.

(daleel-e-raah bh`ee, manzil bh`ee aur jaras bh`ee yehee
a'jeeb cheez hai yaaro yeh zindagee kaa Gham! )

Bahut khoob, waah waah kyaa kene Sarwar Saahib. Aapki aisi hii shaayeri to hei jis se maiN kuch nah kuch seekhtaa rehtaa hooN.

(ham aise meHw-e-tamaashah th`e Zaat meN apnee
milaa nah waqt keh hotaa hameN Khudee kaa Gham )

Yeh sheAr bhii bahut umdah hei. Aap ne aek haqeeqat kaa izhaar bahut hii khoobsoorat andaaz meiN kiyaa hei.

(hazaar marHale ik raah-e-zeest meN aaYe
kabh`ee to Gham se Khusee th`ee, kabh`ee Khushee kaa Gham! )

Bahut khoob waah waah, gham se khushee aur khushee kaa gham. Bahut khoobsoorat andaaz-e-bayaan hei.

(yeh SubH-o-shaam kee zeHmat! are ma,a'aZ-Allah!
karooN nah shikwah agar ho kabh`ee kabh`ee kaa Gham! )

Jee haaN, zindagi saari aek imtiHaan hii tou hei aur khudaa ne kahaa hei insaan nasaboor hei. Hamaare gile shikwe bhii ibaadat kaa darajah rakhte heiN. Moosaa Alaihissalam jab KhiZr Alaihissalam ke saath sabr nahiN karsake tou ham kaun houte heiN.

(yeh kis ne kar diyaa sood-o-ziyaaN se begaanah?
nah dostee kee Khalish hai, nah dushmanee kaa Gham )

Waah waah waah waah waah waah waah waah bus jee chaahtaa hei ke waah waah hii kahtaa rahuN.

(faraaz-e-i'shq-o-wafaa? laa-ilaahah-ill-Allah!
yehee keh aadamee ko ho to aadamee kaa Gham! )

WaaqaAi, sab se pahli sharT hei ke aadami ko aadami kaa gham hounaa zaroori hei. Tab hii tou wo samajh saktaa hei ke laa-ilaaha-illa-Allah ke mani kyaa heiN. Bahut khoob.

(sha,o'or-e-Zaat ne waa kar diyaa dar-e-jaanaaN
rahee Khudee kee tamannaa, nah beKhudee kaa Gham )

Waah waah, bahut achcha mazmoon baandhaa hei aap ne. Jitni bhii taAreef kii jaaye kam hei. Agar FirAaon is baat ko samajh letaa tou itnaa baRaa mujrim nahiN kehlaataa thaa.

(Khudaa-nah-Khwaastah "Sarwar" tujh`e tabaah kare
talaash-e-Zabt^-o-sukooN meN Khud-aagahee kaa Gham! )

Jee haaN bilkul saHeeH farmaayhaa hei aap ne. Talaash-e-ZabT o sukooN meiN aek Had tak "khud aagahi" buri nahiN lekin "khud aagahi" meiN gum houjaanaa waaqAi aadami ko tabaah kardetaa hei. Allah aap ko aur ham sab ko is ghuloo se bachaaye.
=====================

In tamaam maArooZaat ko agar mukhtaSar alfaaz meiN bayaaN karuN tou kahungaa ke aapki muraSSaA ghazal se bahut kuch seekhne ko milaa.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

muHtaramee Nazir SaaHeb:aadaab!

ummeed hai keh ab aap apne naYe gh`ar meN jam gaYe hoN ge! aap ne meree is naa-cheez Ghazal kee jis andaaz meN paZeeraayee kee hai woh mere liYe baa,ic-e-Sad-iftiKhaar hai. aap ne apnee maSroofiyaat ke baa-vujood Ghazal kaa mufaSSil tajziyah kiyaa hai aur apne tabSireh se bohat se nikaat kee waZ^aaHat kee hai. maiN aap kee diosozee kaa tah-e-dil se mamnoon-o-mutashakkir hooN.

"Taar-e-Anfaas-e-Ghazal" kee paZeeraayee Jeddah meN kaisee huyee? yaqeen hai keh ahl-e-i'lm ne us ko saraahaa ho gaa.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply