Salaam Ahl-e-bazm!
urdustan ke hack hone se just pehle wahan mushaire meiN ek misra diya gaya tha "Hue masjid se gum joote hamaare' ..usi pe ek halki phulki si tukbandi ki thi...urdustan to ab tak bahaal na ho saka... socha kyon na aap sab ke saath apni ye tukbandi share ki jaaye...ummeed hai thori bahut muskurahat to aa hi jaayegi ;)
Arz hai...
phire haiN nange paaoN maare maare
'Hue masjid se gum joote hamaare'
sadaa qismat ke aaGe hum hain haare..
rahe gardish meiN har dam kyoN sitaare?!
kaho usse lage mat muuNh hamaare!
dikhaa denge use hum din meiN taare! hammer
kahaaN jaake bhalaa hum muuNh chupaayeiN?!
paRe rehte hain peeche sab kuNwaare!
koii aisi jagah hum ko bataaoo
jahaaN ho khoobsurat sab nazaare! 8)
bhari mehfil meiN aise woh ghire haiN
ki jaise chaand ko ghaere sitaare!
ajab woh shaks hai,hum kyaa bataayeiN
hai meeThee boli ,aNkhyoN meiN sharaare! :?
kisee soorat nahii sudhrenge woh to
koii kitnaa bhi unko ab sudhaare!
=======================================
Adaab,
Shumaila :mrgreen:
Ek halki phulki si ghazal.
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
Ek halki phulki si ghazal.
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
-
- -
- Posts: 219
- Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
- Location: Doha Qatar
- Contact:
shummu saHiba !!
aap ki ye halkee phulkee ghazal hameN bahot pasand aayee
tamaam ash'aar pasand aaye, aik kaamiyaab zareefaana kaawish per hamaari jaanib se daad qubool farmaaiN ;)
she'r no.. 4 vaali baat qaabil-e-ghaur hai

Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Re: Ek halki phulki si ghazal.
sara_j wrote:
Shumaila
thori bohat nahi hum tou har shair per muskuraate rahe
zaahir hai jab 'nange paaun phirenge aur din mein taare dikhayenge to phir muskurahat kaisi mian to khoob .
bohat acha likhi ho parh ker bohat lutfandoz hui.
aek kamyaab koshish ker daad qubool keejiye
mukhlis
sara
hehe sara jee bahut bahut shukriya is inaayat ka...pehli dafa kuch is rang mein likhne ki koshish ki thi..aap ko pasand aayi jaankar khushi hui....thanx for the encouragement
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
arey wah aaj to baDe baDe log aaye hain hamari thread pe..WaAllah qismat chamak gayi is thread ki ;) Amjad jee...aap ko meri ye koshish pasand aayi ye jaankar tasalli hui warna to hum Dare hue the ke pata nahi kisi ko achchi lagegi ke nahi..baDe darte darte post ki thi sachchi han han aap sher#4 pe ghaur karte rahein ..main chali he heIbn-e-siddique wrote:shummu saHiba !!
aap ki ye halkee phulkee ghazal hameN bahot pasand aayee
tamaam ash'aar pasand aaye, aik kaamiyaab zareefaana kaawish per hamaari jaanib se daad qubool farmaaiN ;)
she'r no.. 4 vaali baat qaabil-e-ghaur hai
Shukriya bahut dher saara !
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
aap jaise sukhanwar ki jaanib se daad paake dil baaGh baaGh ho gaya..aap to khud hazal likhne mein maahir hain...meri to ye pehli koshish thi...aap ko pasand aayi goya meri mehnat wusool hui aur mera PM mila tha? maine us mein likha tha ke zaroor aap move kar dein agar ye us forum ko suit karti haiMahtab Qadr wrote:shummu ji waah waah aapne to record torh dia is misre par kahi gai hazloN ka , bahut khoob maza aagaya aapki shayeri ka naya rang dekh kar. albatta agar bura na lagay to aap ki ye hazal mai muazirat ke sath mazahiya shayeri forum mai shift kar raha hoN.
khair andaish
mahtab qadr
shukriya ek baar phir!
shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
khozema husaini wrote:shumaila sahiba
aap ki is hazal ke ashaar pasand aaye daad qubool farmayen
Husaini
Mohtaram Khozema sahab....aap khud mashaAllah bahut zabardast likhte hain aur bahut hazal bhi likh chuke hain ab tak..meri pehli koshish thi ye is rang ki..aap ne pasand farmaayi..bahut khushi hui jaankar..bahut shukriya
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Re: bahut khoob
dunya wrote:
Shummu Saahibah,
Tasleemaat,
Aapki halki phulki ghazal yaa yooN kahiye Hazal bahut pasand aayi. Kyaa kahne, saare ashaar bahut hii achche heiN.
meri dili daad qubool farmaayiye.
khair andesh,
dunya
bahut nawaazish DUNYA jee....ghazal i mean hazal ki pazeraayi farmaane ka behad dili shukriya qubool farmaayein
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai