4 ISLAAH ----Haq tu yeh hai k Haq adaa naa howa...
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
4 ISLAAH ----Haq tu yeh hai k Haq adaa naa howa...
SukhanwaraaNe bazm
Aadaab-o-tasleemat:
Ek baar phir hum hazir hai.
Kuch arsa qabL ek koshish ek misrah-e-tarha per kee thee jise yahaan share karNa chahtee hoon. shayed ke aap sub ke liye qabiL-e-qubooL ho.
Agar kisee muqaam per koi kami yaa ghaltee ho tu uss kee nishaNdehi aur durustgi ke liye rah^numahi zaroor keejiye shukrguzaar hoongi
Aap kee aaraa aur rahnumahi kee muntazir
Zahida Raees :Raji:

- Attachments
-
- Haq_Tu_Yeh_Hai_K_Haq_Ada_Naa_Howa.gif (10.9 KiB) Viewed 878 times
Last edited by Raji on Mon Jan 17, 2005 7:52 am, edited 1 time in total.
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
Re: Haq tu yeh hai ke Haq adaa naa howa... (TarHee ghazal)
salaam Zahida Ra'iis "Raji" saaHiba,
ummeed hai ki aapke mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.
aapkii Ghazal nazar guzaar huii aur yaqeen jaaniye bahot lutf aayaa. sabhii ash'aar achchhe haiN, gireh bhii Khoob lagaaii hai masha Allah. subHaan Allah. majmoo'ii taur par aapkii yeh Ghazal ek kaamiyaab Ghazal kahlaayegii. aapko meri jaanib se DheroN daad aur mubaarak_baad. Allah kare zor-e-qalam aur ziyaada.
apne hone kii kia gawaahii duuN
aaiina mujh se aashnaa na huaa
subHaan Allah, waah waah, bahot Khoob
farz e iKhlaaq kar liyaa vaajib
"haq to yeh hai ki Haq adaa na huaa"
bahot KHoob Raji saaHiba bahot Khoob
kaisa insaaf hai zamaane kaa
har bhale ka kabhi bhalaa na huaa
bahot zabardast tanz aur Haqeeqat bayaanii kii hai aapne.
shukria share karne ka.
faqat naa_cheez,
Hashmat

- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Bahut khoob
RAji sahiba salam
bahut khoob , ghalib ki zameen mai sher kahna khud aik himmat aur hausle ki baat hai ,aur phir us ghazal mai koi baat paida karna dosri khoobi hai. baharhal aik achi ghazal ki peshkash par bahut daad pesh e khidmat hai. baqi zaban aur tarakeeb ki kuch bateiN ho sakta hai Mohatram Sarwar sahib aur Abdullah bhai se umeed hai ke vo wazeh kariegne.
shukria
Mahtab Qadr
bahut khoob , ghalib ki zameen mai sher kahna khud aik himmat aur hausle ki baat hai ,aur phir us ghazal mai koi baat paida karna dosri khoobi hai. baharhal aik achi ghazal ki peshkash par bahut daad pesh e khidmat hai. baqi zaban aur tarakeeb ki kuch bateiN ho sakta hai Mohatram Sarwar sahib aur Abdullah bhai se umeed hai ke vo wazeh kariegne.
shukria
Mahtab Qadr
Re: Haq tu yeh hai ke Haq adaa naa howa... (TarHee ghazal)
Hashmat Usmani wrote:salaam Zahida Ra'iis "Raji" saaHiba,
ummeed hai ki aapke mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.
aapkii Ghazal nazar guzaar huii aur yaqeen jaaniye bahot lutf aayaa. sabhii ash'aar achchhe haiN, gireh bhii Khoob lagaaii hai masha Allah. subHaan Allah. majmoo'ii taur par aapkii yeh Ghazal ek kaamiyaab Ghazal kahlaayegii. aapko meri jaanib se DheroN daad aur mubaarak_baad. Allah kare zor-e-qalam aur ziyaada.
apne hone kii kia gawaahii duuN
aaiina mujh se aashnaa na huaa
subHaan Allah, waah waah, bahot Khoob
farz e iKhlaaq kar liyaa vaajib
"haq to yeh hai ki Haq adaa na huaa"
bahot KHoob Raji saaHiba bahot Khoob
kaisa insaaf hai zamaane kaa
har bhale ka kabhi bhalaa na huaa
bahot zabardast tanz aur Haqeeqat bayaanii kii hai aapne.
shukria share karne ka.
faqat naa_cheez,
Hashmat
Mautraum Hashmat Usmani SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemat
kalaam per aap kee tavajjue aur daad ke liye diL kee ghairahiyoon se mamnoon hoon.
Daad aur bharphoor hosla^afzai ke liye shukguzaar
Zahida Raees :Raji:
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
Re: 4 ISLAAH ----Haq tu yeh hai k Haq adaa naa howa...
haah raji sahibaRaji wrote:SukhanwaraaNe bazm
Aadaab-o-tasleemat:
Ek baar phir hum hazir hai.
Kuch arsa qabL ek koshish ek misrah-e-tarha per kee thee jise yahaan share karNa chahtee hoon. shayed ke aap sub ke liye qabiL-e-qubooL ho.
Agar kisee muqaam per koi kami yaa ghaltee ho tu uss kee nishaNdehi aur durustgi ke liye rah^numahi zaroor keejiye shukrguzaar hoongi
Aap kee aaraa aur rahnumahi kee muntazir
Zahida Raees :Raji:
waah waah bohat khoob
kiya khoob ghazal sunaaii hay aap nay dil KHush hogaya mayri taraf say dhairoN daad qubool kijiye
husaini
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee
husaini
laakh chahay bura karay koee
husaini
Re: Bahut khoob
Mautaram Janab-e-Mahtaab Qadr SaahebMahtab Qadr wrote:RAji sahiba salam
bahut khoob , ghalib ki zameen mai sher kahna khud aik himmat aur hausle ki baat hai ,aur phir us ghazal mai koi baat paida karna dosri khoobi hai. baharhal aik achi ghazal ki peshkash par bahut daad pesh e khidmat hai. baqi zaban aur tarakeeb ki kuch bateiN ho sakta hai Mohatram Sarwar sahib aur Abdullah bhai se umeed hai ke vo wazeh kariegne.
shukria
Mahtab Qadr
aadaab-o-tasleemat,
bauth maa^zrat khwa hoon ke takheer se jawab likh rahi hoon ke masroofiyat hamaisa kee tarha se aaRe aa rahi hai.
Baqul ek shair (Shayed ke Waseem Barelvi saaHeb):
:Ghalib: teree zameen pe likhee tu hai ghazal
tere qad-e-sukhan ke barabar nahein hoon mein
buss yeh ek adnaa si koshish hai ke abhi tu hum seekhne ke safar per chalne lage hain kaheen giren ge kahein uThen ge buss mukhlis saatiyoon aur astaaizaa kee rah^numahi darkaar hai :)
aap nein jinn kamiyoon kee janib ishaaraa kiya hai agar unn kee tafseel aur unn per rah^numahi bhi farmaa daite tu bauth inaayaat hotee ke asatiza-e-karaam bhi masroof nazar aa rahe hain ke meree iss koshish per tavajjue de saken. :)
Aap kee tavajjue aur khat ka diL kee ghairiyon se shukriya. Aap kee rah^numahi ka intizaar rahe gaa.
Wassalam
Zahida Raees :Raji:
Assalam-o-a'laikum,
moHtarama Zahida Raees SaaHiba,
maashaa Allah , nazar na lage, kyaa hi khoob ghazal kahi hai aap ne , jee khush hogayaa :D . jaisa k Mahtaab SaaHib ne farmaayaa k Ghalib ki zameen maiN ghazal kehna hi dil gurde ka kaam hai , aur aap ne to maashaa Allah kamaal kar dikhaayaa hai . bahut khoob janaab ! . meri jaanib se DheroN daad qabool kejeye !. shukriya
mokhliS : Zia Baloch

Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
-
- -
- Posts: 219
- Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
- Location: Doha Qatar
- Contact:
Re: 4 ISLAAH ----Haq tu yeh hai k Haq adaa naa howa...
Janab-e--Khozema Husaini saahibkhozema husaini wrote:haah raji sahibaRaji wrote:SukhanwaraaNe bazm
Aadaab-o-tasleemat:
Ek baar phir hum hazir hai.
Kuch arsa qabL ek koshish ek misrah-e-tarha per kee thee jise yahaan share karNa chahtee hoon. shayed ke aap sub ke liye qabiL-e-qubooL ho.
Agar kisee muqaam per koi kami yaa ghaltee ho tu uss kee nishaNdehi aur durustgi ke liye rah^numahi zaroor keejiye shukrguzaar hoongi
Aap kee aaraa aur rahnumahi kee muntazir
Zahida Raees :Raji:
waah waah bohat khoob
kiya khoob ghazal sunaaii hay aap nay dil KHush hogaya mayri taraf say dhairoN daad qubool kijiye
husaini
Walaikum Assalam
Aap ke khat ke liye bohat shukriya.
aap ko kalam pasand aayaa yeh jaan kar khushi howee. Daad ke liye bhi bohat shukriya.
khush rahiye :)
Wassalam
Zahida Raees :Raji:
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob waah waah
MuHtaramah
R A J I Saahibah
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi. Tamam ashAaar achche heiN. Apni raaye ke izhaar meiN takheer ke liye muAafi chaahtaa hooN. Waise yeh takheer mere bas meiN nahiN thii kiyooNkeh internet line kii mutavaatir problems kii vajah se hasb-e-mamool apni comments dene se qaasir rahaa. Baharhal aapki ghazal bahut pasand aayi aur ummeed kartaa hooN ke aayindah bhii aap isi tarah se hameN apne kalaam se navaazti rahengi.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
- rahmed25682
- -
- Posts: 126
- Joined: Thu Dec 09, 2004 8:28 am
- Location: Karachi
- Contact:
Raji sahiba ...
WAH WAH ...
aap kee ghazal be-hadd pasand aayee ...
GHALIB kee zameen main aik achhy ghazal kahee hay .. DAAD qubool keejiye
Khush rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed
WAH WAH ...
aap kee ghazal be-hadd pasand aayee ...
GHALIB kee zameen main aik achhy ghazal kahee hay .. DAAD qubool keejiye
Khush rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed
Kab Say HooN , Kia BataaooN Jahan-e-Kharab Main
Shab-Haaye Hijr Ko Bhee RakhooN Gar Hisab Main
=============================
Ghalib
Shab-Haaye Hijr Ko Bhee RakhooN Gar Hisab Main
=============================
Ghalib
Re: Bahut khoob waah waah
Abdullah Nazir wrote:
MuHtaramah
R A J I Saahibah
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi. Tamam ashAaar achche heiN. Apni raaye ke izhaar meiN takheer ke liye muAafi chaahtaa hooN. Waise yeh takheer mere bas meiN nahiN thii kiyooNkeh internet line kii mutavaatir problems kii vajah se hasb-e-mamool apni comments dene se qaasir rahaa. Baharhal aapki ghazal bahut pasand aayi aur ummeed kartaa hooN ke aayindah bhii aap isi tarah se hameN apne kalaam se navaazti rahengi.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Mohtaram Janab-e-Abdullah Nazir Saahib:
Aadaab-o-tasleemat,
Aap ka khat daikh kar be-hadd khushi howee. "deyr aayad durust aayad" ke musdaaq aap asaatizaa kee aaraa aur rah^numahii ham jaise nau-mashqooN ke liye bohat ehem hai :).
Jab se mehtaab-qadr saaheb nay zabaan-o-taraqeeb kee khamiyooN kee janib nishaandahi kee hai meN aap asaatizaa kee muntazir thee ke iss silsileh meN kuch rah-numahii mil sake.
Sir, yeh net connectivity kee problem tu har jagah hee hai iss liye ham sab hee ek dosre kee wajah-e-takheer samajhte heN.
aap ke istifsaar ke liye bohat shukriya.
Kalam kee pasandeedgi aur hosla^afzai ke liye bohat bohat shukirya. Ummeed kartee hooN ke aayindah bhii aap kii hosla-afazii aur rahnumahii miltee rahe gee.
Wassalam
Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
Azeezi Faitmah sis, bohat bohat shukriya ke tumheN yeh ghazal pasand aayee aur tum ne apni aaraa ka izhaar bhi kiyaa.fatimah wrote:aslaam_u_alikam
raji sis
waah kiya kehney hain.
bohat khub tarai misreh per bohat zabaradast gazal kahi.
dheroon daad hazir hey
shukriya
Jugh jugh jeeyo :)
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
Janab-e-Amjad saaHeb:Ibn-e-siddique wrote:zahida sahiba:
ghalib ki zameen meiN aap ne umda ghazal likhi hai , lutf aaya paRh ker
meri jaanib se daad aur mubarak.baad qubool farmaaiN
amjad
takheer se likhne ke liye maa'zrat, aap ke khat, kalaam kee pasnadeedgi aur daad ke liye dil kee ghairayooN se mamnoon hooN.
wassalam
Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)