yooN rahooN shaam-o-saHar be-sar-o-saamaaN kab tak?

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

yooN rahooN shaam-o-saHar be-sar-o-saamaaN kab tak?

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-meHfil: aadaab-o-tasleemaat!

Haal hee meN ek bazm meN t^aba'-aazmaayee ke liYe yeh miSra'-e-t^araH diyaa gayaa hai:

Ghaflat-e-yaar kahaaN tak, shab-e-hijraaN kab tak?

ek a'zeez dost kee farmaa,ish par maiN ne bh`ee is par fikr kee hai jo HaaZ^ir-e-Khidmat hai. mulaaHiz^ah farmaa,iYe aur apnee raaYe se sarfaraaz kar ke shukriyah kaa mauqa' i'naayat keejiYe!

Sarwar A. Raz :Sarwar
:

===============================
Ghazal:

yooN rahooN shaam-o-saHar be-sar-o-saamaaN kab tak?
"Ghaflat-e-yaar kahaaN tak, shab-e-hijraaN kab tak?"

i'shq ho meraa Hareef-e-Gham-e-dauraaN kab tak?
kab talak maiN jiyooN is taraH, miree jaaN! kab tak?

kuch` to dunyaa ke Kham-o-pech kaa rakh`naa hai bh`aram!
apnee zulfoN ko rakh`e gaa too pareeshaaN kab tak?

zindagee! maiN tujh`e mar mar ke jiYe jaataa hooN!
too rahe gee bh`alaa yooN Hashr-ba-daamaaN kab tak?

imtiHaan-e-dil-e-barbaad kee Had hai koyee?
haath` meN mere rahe gaa yeh garebaaN kab tak?

zeHmat-e-zeest bh`ee hai, zeest kaa armaaN b`hee hai
yeh muSeebat bh`alaa jh`ele koyee insaaN kab tak?

muKhtaSar see yehee ik zindagee hai aur maiN hooN
kab tak ummeed miree, tere yeh paimaaN kab tak?

raah kh`oTee hai, dam-e-shaam hai, tanhaayee hai!
aas meN beTh`aa rahe :Sarwar: -e-HairaaN kab tak?

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Attachments
yoonrahoon.jpg
yoonrahoon.jpg (105.34 KiB) Viewed 638 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Re: yooN rahooN shaam-o-saHar be-sar-o-saamaaN kab tak?

Post by Star Mind »

Sarwar A. Raz wrote:yaaraan-e-meHfil: aadaab-o-tasleemaat!

W/Salaam moHtarami Sarwar A.Raz SaaHib :D

Haal hee meN ek bazm meN t^aba'-aazmaayee ke liYe yeh miSra'-e-t^araH diyaa gayaa hai:

Ghaflat-e-yaar kahaaN tak, shab-e-hijraaN kab tak?

ek a'zeez dost kee farmaa,ish par maiN ne bh`ee is par fikr kee hai jo HaaZ^ir-e-Khidmat hai. mulaaHiz^ah farmaa,iYe aur apnee raaYe se sarfaraaz kar ke shukriyah kaa mauqa' i'naayat keejiYe!


Allah ta'aala aap k dost ko ajr se nawaaze k jin ki ba-dolat hameN itnee u'mdah ghazal sun'ne ko meli (aameen) :D


Sarwar A. Raz :Sarwar
:
===============================
Ghazal:

yooN rahooN shaam-o-saHar be-sar-o-saamaaN kab tak?
"Ghaflat-e-yaar kahaaN tak, shab-e-hijraaN kab tak?"


waah ! bahut khoob , sab se pehli baat to yeh hai k hameN yeh radeef bahut pasand hai , aur doree baat k aap ka mat^la"a goyaa matla'-e-shams ho !!! :D , aur t^loa'-e-shams k vaqt jo raNg ufaq ka hota hai , wahi raNg mere dil ka bhi howa , aap k yeh mat'la paRh kar :D



i'shq ho meraa Hareef-e-Gham-e-dauraaN kab tak?
kab talak maiN jiyooN is taraH, miree jaaN! kab tak?


ye she'ar paRh kar na jaane kyoN mujhe Tabish Dehlavi ka aek matla'a yaad aaya , mulaaHiza farmaaye :

"Andoh-e-jaaN ho k gham-e-dauraaN ho, koii to ho !
koii to Hareef-e-shauq ho, haaN koii to ho !!"

bahut khoob ! janaab khaaS kar is she'ar maiN jo kab tak ki takraar hai, us ne to jaise mujhe jhakaR kar rakdiyaa ! waah !



kuch` to dunyaa ke Kham-o-pech kaa rakh`naa hai bh`aram!
apnee zulfoN ko rakh`e gaa too pareeshaaN kab tak?


Huzoor ! jab talak k unheN shaana-e-aa'shiq nahiN miltaa !! ;)



zindagee! maiN tujh`e mar mar ke jiYe jaataa hooN!
too rahe gee bh`alaa yooN Hashr-ba-daamaaN kab tak?



humm, she'ar to khoob hai , pehla mis'raa'a agar che maayoos kun hai, magar dosre miSta'e maiN jo umeed ki jhalak nazar aai , us ne to jee ko hi khush kardiyaa !! :D



imtiHaan-e-dil-e-barbaad kee Had hai koyee?
haath` meN mere rahe gaa yeh garebaaN kab tak?



waah ! janaab kyaa kehne ! , Iqbal ka she'ar yaad aagaya !

"Abhi ishq k imteHaaN aur bhi haiN !!"



zeHmat-e-zeest bh`ee hai, zeest kaa armaaN b`hee hai
yeh muSeebat bh`alaa jh`ele koyee insaaN kab tak?


bahut hi khoob ! , u'mdah ! , ik baar phir Ghalib ka shea'r yaad aagaya

"kyoN gardish-e-mudaam se ghabraa na jaaye dil
Insaan hoN, piyaala-o-saaghar nahiN hoN maiN !"


muKhtaSar see yehee ik zindagee hai aur maiN hooN
kab tak ummeed miree, tere yeh paimaaN kab tak?


jab tak zindagee hai !! aur phir mokhtaSar see is zindagee maiN bhi kayee zindagiyaaN pinhaaN hoti haiN !! aur zindagee to phir hamesha zindah ehti hai , aur jo zindagee ko zindah reh kar jeete haiN, zindagee bhi unheN hamesha zinda rakti hai !!


raah kh`oTee hai, dam-e-shaam hai, tanhaayee hai!
aas meN beTh`aa rahe :Sarwar: -e-HairaaN kab tak?

Sarwar A. Raz :Sarwar:


janaab ! maqt'a bhi la-jawaab hai ! , is maiN jis tarah se be-chainii ko bayaan kyaa gaya hai , woh bahut hi dil-kash hai !!. bahut khoob !

moHtarami Sarwar A.Raz SaaHib, aap ki yeh ghazal bhi hamesha ki tarah , hamaare leye jaan-leva caabit hoi, magar ham phir bhi zindah haiN , is umeed k saath k aap ki aglee ghazal bhi jald sun'ne ko melegee :D . bahut shukriya

mokhliS : Zia Baloch

Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
naheedv
-
-
Posts: 163
Joined: Sat Dec 18, 2004 3:53 am
Contact:

Re: yooN rahooN shaam-o-saHar be-sar-o-saamaaN kab tak?

Post by naheedv »

Mohtaram Sarwar Saahab,
aadaab,

aap ki ye ghazal jaldi meiN tau kal hi paRh lee thee magar tafSeel se paRhne kaa moqa' ab milaa hai,
waah, buhat ache she'r nikaale heiN aap ne.
mujhey khaas t^aur par she'r 4,6,7 zeyaadah pasaNd aa'e ke "zindagi" ko akcar maiN bhee naheeN bakhshati aur aap ke ye ashaa'r bhee mere khayaalaat se buhat milte heiN :)

iss shaandaar ghazal par daad paish.e.khidmat hai.

mukhlis
Naheed
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Re: yooN rahooN shaam-o-saHar be-sar-o-saamaaN kab tak?

Post by Hashmat Usmani »

salaam janaab e Sarwar saaHib,

aapkii Ghazal paRhii aur yaqeen jaaniye hamesha kii taraH is baar bhii dil maanind e feel tarab se jhoom uTThaa. aapkii GhazloN meN zabaan o bayaan kii chaashnii aur Khayaalaat kii bulandii kooT kooT kar bharii hotii haiN aur mujhe aapke andar chhupe ek ustaad shaa'ir kii tasveer ubhar kar saamne aatii hai. maiN aapkii shaa'iri se utnaa hii muta'ssir huN jitna maiN digar ustaad sho'araa~ se huuN.

bas dil karta hai paRhta rahuuN aur paRhtaa hii jaauuN aur dil ko aapke kalaam se sarshaar kar duuN.

shukria.

faqat aapke kalaam ka ek adna saa maddaaH,

Hashmat
Image
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Re: yooN rahooN shaam-o-saHar be-sar-o-saamaaN kab tak?

Post by Raji »



Mautaram Janab-e-Sarwar Raz SaaHeb:
Assalam-o-alaikum,

Aap kee yeh taraHee ghazal bauth hee khoobsoorat aur hasb-e-mamool asarangez hai.


yooN rahooN shaam-o-saHar be-sar-o-saamaaN kab tak?
"Ghaflat-e-yaar kahaaN tak, shab-e-hijraaN kab tak?"


MashaAllah bauth hee zabardaast.


i'shq ho meraa Hareef-e-Gham-e-dauraaN kab tak?
kab talak maiN jiyooN is taraH, miree jaaN! kab tak?

Wah wah wah

kuch` to dunyaa ke Kham-o-pech kaa rakh`naa hai bh`aram!
apnee zulfoN ko rakh`e gaa too pareeshaaN kab tak?

Yeh bhi teak hai

zindagee! maiN tujh`e mar mar ke jiYe jaataa hooN!
too rahe gee bh`alaa yooN Hashr-ba-daamaaN kab tak?

Zabardast, excellent ... :)

imtiHaan-e-dil-e-barbaad kee Had hai koyee?
haath` meN mere rahe gaa yeh garebaaN kab tak?

Bauth khoob

zeHmat-e-zeest bh`ee hai, zeest kaa armaaN b`hee hai
yeh muSeebat bh`alaa jh`ele koyee insaaN kab tak?

Wah ... BilkuL durust farmayaa aap nein.

muKhtaSar see yehee ik zindagee hai aur maiN hooN
kab tak ummeed miree, tere yeh paimaaN kab tak?

Hunmmm khayaal aur sawaal donoon hee qabiL-e-ghaur hain :)

raah kh`oTee hai, dam-e-shaam hai, tanhaayee hai!
aas meN beTh`aa rahe :Sarwar: -e-HairaaN kab tak?

Wah wah wah ...
kyaa kahoon ke poori ghazal hi laajaawab hai. So meree jaanib se diLee daad aur mubarakbaad hazir-e-khidmaat hai. :)

Wassalam

Zahida Raees :Raji:
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

Re: yooN rahooN shaam-o-saHar be-sar-o-saamaaN kab tak?

Post by khozema husaini »

Sarwar Raz wrote:yaaraan-e-meHfil: aadaab-o-tasleemaat!

Haal hee meN ek bazm meN t^aba'-aazmaayee ke liYe yeh miSra'-e-t^araH diyaa gayaa hai:

Ghaflat-e-yaar kahaaN tak, shab-e-hijraaN kab tak?

ek a'zeez dost kee farmaa,ish par maiN ne bh`ee is par fikr kee hai jo HaaZ^ir-e-Khidmat hai. mulaaHiz^ah farmaa,iYe aur apnee raaYe se sarfaraaz kar ke shukriyah kaa mauqa' i'naayat keejiYe!

Sarwar A. Raz :Sarwar
:

===============================
Ghazal:

yooN rahooN shaam-o-saHar be-sar-o-saamaaN kab tak?
"Ghaflat-e-yaar kahaaN tak, shab-e-hijraaN kab tak?"

i'shq ho meraa Hareef-e-Gham-e-dauraaN kab tak?
kab talak maiN jiyooN is taraH, miree jaaN! kab tak?

kuch` to dunyaa ke Kham-o-pech kaa rakh`naa hai bh`aram!
apnee zulfoN ko rakh`e gaa too pareeshaaN kab tak?

zindagee! maiN tujh`e mar mar ke jiYe jaataa hooN!
too rahe gee bh`alaa yooN Hashr-ba-daamaaN kab tak?

imtiHaan-e-dil-e-barbaad kee Had hai koyee?
haath` meN mere rahe gaa yeh garebaaN kab tak?

zeHmat-e-zeest bh`ee hai, zeest kaa armaaN b`hee hai
yeh muSeebat bh`alaa jh`ele koyee insaaN kab tak?

muKhtaSar see yehee ik zindagee hai aur maiN hooN
kab tak ummeed miree, tere yeh paimaaN kab tak?

raah kh`oTee hai, dam-e-shaam hai, tanhaayee hai!
aas meN beTh`aa rahe :Sarwar: -e-HairaaN kab tak?

Sarwar A. Raz :Sarwar:
janaab sarwar saheb

aapki ghazal paRhi kai kai martaba padhi deegar hazraat ke remarks bhi dekhe magar apni zabaan ko gung paya aakhir ashaar ke shayaan eshaan alfaaz kahan se laata our aaftaab ko chiraagg dikhane ka kiya faida isi liye bus itna keh pa raha hoon

SUBHAAN ALLAH
husaini
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


Muhtarami
SARWAR A. RAZ :SARWAR: Saahib


Purkhuloos Tasleemaat o iHtiraam, :)


Aapki TaraHi Ghazal paRhkar be-had khushi houi. Saare ashAar ke alfaaz moutiyaoN kii TaraH proye houe heiN. Isqadar dilkash ghazal kehnaa aapkaa hii kaam hei jis se khaaksaar ko mustafeed houne ka mauqA milaa.

Meri bharpoor daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

muHibbee Zia, Hashmat aur Khuzema SaaHebaan:
Naheed aur Raji (SaaHebaat?): sab ko meraa salaam-e-muHabbat!

idh`ar kuch` aisaa kaamoN meN uljh`aa rahaa keh jawaab meN taaKheer ho gayee. yeh hai to Ghalat^ baat lekin aap kee muHabbat se ummeed hai keh darguzar kar deN ge!

Ghazal kee paZeeraayee aap ne jis andaaz meN kee hai us ke liYe maiN dil se mamnoon-o-mutashakkir hooN aur saath` hee Khudaa se dua'a kartaa hooN keh woh sab ko aap jaise dost a't^aa kare!

daad ke saath baRhiyaa miThaayee kee ek Tokree bh`ee bh`ej dee hotee to Khushee dobaalaa ho jaatee! :-)

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Nazir SaaHeb: aadaab!

Zarrah-nawaazee ke liYe shukriyah qubool keejiYe. yeh aap kee dost-daaree aur i'naayat hai keh naacheez ko aise alfaaz^ se yaad karte rehte haiN.

Jawaid Badauni SaaHeb kee Ghazal par aap kaa tabSirah naz^ar-nawaaz huwaa. kyaa hee achh`aa ho keh aap asha'ar aur apnee teHreer ke darmiyaan ek :space: ch`oR diyaa kareN taa.k paRhne meN aasaanee ho jaaYe. maujoodah Soorat meN yeh naheeN ma'loom hotaa keh she'r kahaaN Khatm huwaa aur aap kaa tabSirah kahaaN shuroo' huwaa. shukriyah!

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply