"Khata hoti hai saheb aadmi se" guz#8

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

"Khata hoti hai saheb aadmi se" guz#8

Post by zmufti »

1. bhalaa HaaSil hee kyaa is dil-lagee se
"Khataa hotee hai SaaHeb aadamee se"

2. Wafa ki aabroo ruswa na hoti
Chura laitey agar tum ko tumhi se

3. nikaltee hai duaa dil se yehee ab
kabhee guZrooN nah maiN teree galee

4. Bari hi kashmakash hai zindagi main
yahaN jeeta nahiN koi khushi se

5. muqaddar meN hai tere kyoN Ghulaamee?
jilaa de fikr ko phir aagahee se

6. ujaale ko janam de gee siyaahee
saHar phooTe gee "Zarqaa" teeragee se!
nigaah
-
-
Posts: 44
Joined: Sun Jan 02, 2005 12:55 pm

Post by nigaah »

Assalam alaikum

aap ki Ghazal achi lagi....Khaas tor say maqtaa jaan-e-Ghazal hai...

ujaale ko janam de gee siyaahee
saHar phooTe gee "Zarqaa" teeragee se!

bohut umda....daad qubool kijye...

Nigaah
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: "Khata hoti hai saheb aadmi se" guz#8

Post by Shummu »

2. Wafa ki aabroo ruswa na hoti
Chura laitey agar tum ko tumhi se
wah bahut khoob!
3. nikaltee hai duaa dil se yehee ab
kabhee guZrooN nah maiN teree galee
wow i like it! :shock:

6. ujaale ko janam de gee siyaahee
saHar phooTe gee "Zarqaa" teeragee se!
wahhhh bahut khoob....maqta lajawaab hai! :P


Zarqaa jee..daad haazir hai is khoobsurat ghazal pe....naacheez ne bhi isi misre pe kuch likha hai...waqt mile to zaroor nazar-e-karam farmaaiyega..shukriya :-)

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
gazal_uzma
-
-
Posts: 14
Joined: Fri May 06, 2005 12:21 pm
Location: Karachi
Contact:

Post by gazal_uzma »

zarqa ji
bohot khobsorat ghazal hay aap ki....
regards
uzma khan
To the World U can B 1
BUT
To the 1 U may B a World
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Zarqa behen , aadaab !

janaab Ghazal to maashaa Allah bohut hi Khoob hai ! Khaas kar maqta' to jaan levaa hai ! is taKhleeq keleye be-shumaar daad !

shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

nigah jee
aap ka buhat shukria
take care
zarqa
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Shummu jee
aap ka buhat shukria
aap ne mera hosla kaafi barha diya
khush rahiye
zarqa
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

uzma jee
maiN bhala kis qabil hoN
aap ki anayat hai
zarqa
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

zia bhai
aap ka shukria
regards
zmufti
Post Reply