TaraHi Ghazal / Guz.8 ke miSreA per: Irfan Barabankwi
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- irfan barabankwi
- -
- Posts: 69
- Joined: Sun Jan 02, 2005 6:25 pm
- Location: jeddah
- Contact:
TaraHi Ghazal / Guz.8 ke miSreA per: Irfan Barabankwi
MuHtaramaat o MuHtarameen
Ahbaab-e-sukhan,
Tasleemaat,
Guzaris 8 ke miSreA per maiN apni TaraHi ghazal pesh karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA denge.
Khair Andesh,
Irfan Barabankwi.
GHAZAL roman meiN
wahi zinda rahega sar-khushi se
jo samjhauta karega zindagi se
miri ghairat Talab karti nahiN kuchh
nibahey ja rahi hai tishnagi se
ameeri dushman-e-iemaN rahi hai
magar yeh Dar nahi hai muflisi se
bura hota hai yeh shauq-e-tajassus
chhuRai isne jannat aadmi se
safar meiN istiqamat hai zaroori
nahiN milti hai manzil gumrahi se
kahiN behtar thi laa-ilmi hamari
sukuN khuya hai apni aagahi se
yaqeeN uski zubaN per kar liya tha
" khaTa hoti hai saheb aadmi se "
bahut muhtaT kar deti hai humko
yahi ek fayedah hai dushmani se
yaqeenan aik din Dasta hai sabko
raho hushyar maar-e-dosti se
dagha ik roz de j ati hai humko
muhabbat aur aisi zindagi se ?
salasat hai bahut Irfan is meiN
ghazal kahte ho kitni saadgi se
Irfan Barabankwi
- Attachments
-
- a_irf_8_ub_f.JPG (105.97 KiB) Viewed 936 times
iHtisab apne naqaayis ka mujhe aataa hei
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
-
- -
- Posts: 14
- Joined: Fri May 06, 2005 12:21 pm
- Location: Karachi
- Contact:
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Janab Irfan Sahab
aap ki Ghazal say ashaar muntaKhab karnay maiN hum naakaam rahay ....kiuNke koi shair bhi aisa nahiN tha jisay choR kar aagay baRh jaya jaata.....
wahi zinda rahega sar-khushi se
jo samjhauta karega zindagi se
miri ghairat Talab karti nahiN kuchh
nibahey ja rahi hai tishnagi se
ye shair tou Khaas taur say daad ka mustahiq hai........
ameeri dushman-e-iemaN rahi hai
magar yeh Dar nahi hai muflisi se
dushman-e-iemaN tou baaz auqaat muflisi bhi ho jati hai..... bhook to aadam ko aadam Khor bana deti hai...:)...nafs ka shikanja tou her do sooratoN, yani muflisi-o-amaarat, maiN insan ko kass hi leta hai.....kia kehtay haiN aap?:)
bura hota hai yeh shauq-e-tajassus
chhuRai isne jannat aadmi se
bohut Khoob...ek aur umda shair...
safar meiN istiqamat hai zaroori
nahiN milti hai manzil gumrahi se
kahiN behtar thi laa-ilmi hamari
sukuN khuya hai apni aagahi se
kia kehnay...daad qubool kijye...
yaqeeN uski zubaN per kar liya tha
" khaTa hoti hai saheb aadmi se "
janaab girah tou bohut hi teekhi hai....lutf aagaya...
bahut muhtaT kar deti hai humko
yahi ek fayedah hai dushmani se
bay shak....Hazrat Ali Hajveri farmaatay haiN "taaqatwar dushman insan ko chust aur hoshyaar rakhta hai"....
yaqeenan aik din Dasta hai sabko
raho hushyar maar-e-dosti se
dagha ik roz de j ati hai humko
muhabbat aur aisi zindagi se ?
ye shair bhi bay hud bhala laga....
salasat hai bahut Irfan is meiN
ghazal kahte ho kitni saadgi se
wah....maqta kehnay ke andaaz maiN bhi baRi saadgi hai......
dhairoN daad qubpol kijye..
Nigaah

Bahut bahut shukriya
mohtaramah
UZMA KHAN SAAHIBAH
purkhuloos tasleemat
mujh nacheez ki mAmooli ghazal per dher si daad dekar aapney meri jo hauslah afayi farmayi hai uske liye maiN aapka behud mamnoon hooN.
is tarah ki satayesh hi aik fankar ko mazeed behtar fun ki takhleeq per uksati hai. i shall try my best to keep it up . insha allah . aapki daad-o-tahseen ka aik bar phir shukriyah.
khair andaish
irfan barabankwi
UZMA KHAN SAAHIBAH
purkhuloos tasleemat
mujh nacheez ki mAmooli ghazal per dher si daad dekar aapney meri jo hauslah afayi farmayi hai uske liye maiN aapka behud mamnoon hooN.
is tarah ki satayesh hi aik fankar ko mazeed behtar fun ki takhleeq per uksati hai. i shall try my best to keep it up . insha allah . aapki daad-o-tahseen ka aik bar phir shukriyah.
khair andaish
irfan barabankwi
iHtisab apne naqaayis ka mujhe aataa hei
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
- irfan barabankwi
- -
- Posts: 69
- Joined: Sun Jan 02, 2005 6:25 pm
- Location: jeddah
- Contact:
Bahut bahut shukriyah
mohtaramah
SARA SAAHIBAH
purkhuloos tasleemat
ghazal ki pzirai ka bahut bahut shukriyah. ummeed hai ke ayenda bhi
aap hauslah deti raheiNgi.

mohtaram
JAWID SAHEB
salam-e-masnoon
bahut dino ke baad aapka maktoob nazar nawaz hua. maiN aap jaisay
sahib-e-ilm ki satayesh ka hamesha muntazir rahta hooN kiyoNke yah
mujhey mazeed bahtar kalam pesh karney ki tahreedk deti hai. jawab ki takheer ke liye mAzarat chahta hooN. shukriyah

NIGAH SAAHIBAH
purkhuloos tasleemat
aapka tafseeli aur khoobsurat tabsirah aaj nazar se guzrah. bahut bahut shukriyah ke aapney is nacheez ki ghazal per itna bhar poor tabsirah
karney ki zahmat gawarah farmayi. ummeed hai ke ayndah bhi aap apni mohabbatoN se nawazti raheiNgi. shukriyah

moHtaram Irfan Abid SaaHib , aadaab
janaab aap se baRe a'rSe baa'd mulaaqaat hoi hai , jee bohut Khush howaa ! aap to jaante haiN aap ki Ghazal ne hamesha hamaare zauq-e-tishna ki tishnagee aur baRhaayee hai ! aur janaab ye KhaaSiyyat har kalaam maiN nahiN hoti ! aap k is kalaam maiN pora saamaaN hai hamaare zauq keleye ! is keleye aap ka mamnoon haiN !
pori Ghazal u'mdah hai ! daad qabool kejeye ! shukriya
moKhliS : Zia Baloch

Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut achchi ghazal hei aapki
Janabab
Irfan Barabankwi Saahib
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki ghazal bahut hi dilkash hei. Saare ke saare ashAaar bahut hii achche heiN.
Is kaamyaab koushish per meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayhiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Re: TaraHi Ghazal / Guz.8 ke miSreA per: Irfan Barabankwi
wah!umda matla!!!wahi zinda rahega sar-khushi se
jo samjhauta karega zindagi se
ameeri dushman-e-iemaN rahi hai
magar yeh Dar nahi hai muflisi se
hmm badi gehri baat kahi hai aapne is sher mein..wah!
wowwwwwwwww beautiful..bahut hi khoob aur sach kaha.....bura hota hai yeh shauq-e-tajassus
chhuRai isne jannat aadmi se
zabardast....aur maine likha tha keh..kahiN behtar thi laa-ilmi hamari
sukuN khuya hai apni aagahi se
"laraz uThti hoon har aahaT pe maiN to
milaa hai Dar ye mujh ko aaghii se"
ye bhi khoob kaha!bahut muhtaT kar deti hai humko
yahi ek fayedah hai dushmani se
jee han kitna bhi insaan mohabbat kar le zindagi se..ek na ek zindagi bhi chorh jaati hai..
dagha ik roz de j ati hai humko
muhabbat aur aisi zindagi se ?
bahut umda maqta!!!waqaii aap ke kalaam mein saadgii hoti hai magar gehraayi aur baDa besaakhta andaaz hota hai aap ka....dheron daad haazir hai..aur satah muazarrat ke itni khoobsurat ghazal abhi tak paRh nahi paayi thi..main is gumaan mein thi ke paRh chuki hoon...sorry ..aayenda time pe aaongisalasat hai bahut Irfan is meiN
ghazal kahte ho kitni saadgi se
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Re: TaraHi Ghazal / Guz.8 ke miSreA per: Irfan Barabankwi
Mohtaram Irfan Sahib, adaab!irfan barabankwi wrote:
wahi zinda rahega sar-khushi se
jo samjhauta karega zindagi se
miri ghairat Talab karti nahiN kuchh
nibahey ja rahi hai tishnagi se
bura hota hai yeh shauq-e-tajassus
chhuRai isne jannat aadmi se
kahiN behtar thi laa-ilmi hamari
sukuN khuya hai apni aagahi se
Hamesha ki tarah is baar bhi aap ki ghazal bohot shauq se open ki aur paRh kar hargiz mayoosi nahiN hui!! KyuNke,
Hamesha ki tarah is baar bhi aap ne bohot Khoob ghazal irshaad farmayi hay.
(dekha, maiN nasr meiN takraar-e-lafzi karti huN )
Mujhe quoted ashaar bohot zyada pasand aaye, itni acchi ghazal ki tareef k liye aise alfaaz kahaN se laooN jo is ka haq ada kar sakeN, chaliye aap hi ke maqte ka sahaara leti huN,
salasat hai bahut Irfan is meiN
ghazal kahte ho kitni saadgi se
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol
A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com