ghazal
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
ghazal
aadaab,
aik dusree bazm meiN aik tarahee maisra' diyaa geyaa thaa tau uss par maiN ne bhee taba' aazmaa'ee kee hai. aur aap kee aaraa se pata chale gaa ke maiN kitni kaamyaab rahi hooN.
shukriya
Naheed
aik dusree bazm meiN aik tarahee maisra' diyaa geyaa thaa tau uss par maiN ne bhee taba' aazmaa'ee kee hai. aur aap kee aaraa se pata chale gaa ke maiN kitni kaamyaab rahi hooN.
shukriya
Naheed
- Attachments
-
- e raheN aks-e-dil-o-jaaN kab tak.gif (13.05 KiB) Viewed 962 times
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
sorry, DELETED...due to DOUBLE posting
Last edited by Hashmat Usmani on Fri Jan 28, 2005 11:57 pm, edited 1 time in total.
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
Tahira ji,tahira Masood wrote:Naheed ji
salaam-e-khuloos
aap ki ghazal peRhi bohat psand aaee. bohat mushkil behr men hai. phir bhi aap ne khoobsurti se ese nibhaaya hai. kam azz akm mujhe tau aisaa hi lagaa.
daad Haazir hai.
wassalam
salaam
aap hamesha hi buhat himmat baNdhaati hein :)
ghazal pasaNd karne kaa buaht buhat shukriya!
mukhlis
naheed
janaab Hashmat Usmani saahab,Hashmat Usmani wrote:salaam Naaheed saaHiba,
aapkii taaza ba taaza Ghazal nazar_guzaar huii aur hamesha kii taraH daad o taHseen kii Haq_daar Thahrii. har ek she'r 'umda hai aur meri jaanib se mubaarak_baad qubool kijiiye.
faqat Khaak_saar,
Hashmat
aadaab,
aap ne ghazal pasaNd farmaa'ee, iss se hoslah baRhaa. iss himmat afzaa'ee aur daad ke liye mamnoon hooN maiN.
shukriya
Naheed
Assalam-o-a'laikum,
Naheed jee adaab !
mashaa Allah, phir wahi jaan-leva andaaz , wahi Husn-e-intekhaab ! , wahi bulandee-e-khayaal !. kyaa kehne !!. ham to dil thaam k reh gaye . aap ka yeh munfarid andaaz aur judagaana tarz hameN ik nayee taazgee ka iHsaas delaate haiN :D . aap ki ye ghazal bhi bahut khoob rahi. ik ik shea'r qaabil-e-daad hai !! so qabool kejeye.
mokhliS : Zia Baloch

Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
waah
Naheed sahiba aap ki ghazal ka har sher behad pasand aaya. aap yaqeenan is khoobsurat zameen mai aik kaamyaab ghazal kahne par mubarakbaad ki haqdaar haiN. bahut umda ghazal hai.
shukria
Mahtab Qadr
shukria
Mahtab Qadr
Re: ghazal
naheedv wrote:aadaab,
aik dusree bazm meiN aik tarahee maisra' diyaa geyaa thaa tau uss par maiN ne bhee taba' aazmaa'ee kee hai. aur aap kee aaraa se pata chale gaa ke maiN kitni kaamyaab rahi hooN.
shukriya
Naheed
My dearest Naheed sis
Kalam bauth hee khoob hai lekin she'r number 5 se Le kar 9 thaak her she'r per "wah wah" kee sadaa ko rokH naa sakee :) .
DiLee daad aur daiR saaree mubarakbaad qubooL keejiye ke iss ka bharpoor haq hai. :)
Wassalam
Zahida Raees :Raji:
Zia ji, aadaab,Star Mind wrote:Assalam-o-a'laikum,
Naheed jee adaab !
mashaa Allah, phir wahi jaan-leva andaaz , wahi Husn-e-intekhaab ! , wahi bulandee-e-khayaal !. kyaa kehne !!. ham to dil thaam k reh gaye . aap ka yeh munfarid andaaz aur judagaana tarz hameN ik nayee taazgee ka iHsaas delaate haiN :D . aap ki ye ghazal bhi bahut khoob rahi. ik ik shea'r qaabil-e-daad hai !! so qabool kejeye.
mokhliS : Zia Baloch
aap tau chaNd alfaaz bhee likhen tau voh itne khush.shakl hote heiN ke khud ba.khud hi dil khush ho jaataa hai unheN paRh kar :)
ghazal kee ta'rif meiN itnee khoobsoorat raa'e dene ke liye mamnoon hooN.
mukhlis
Naheed
Re: waah
janaab Mahtab Qadr saahab,Mahtab Qadr wrote:Naheed sahiba aap ki ghazal ka har sher behad pasand aaya. aap yaqeenan is khoobsurat zameen mai aik kaamyaab ghazal kahne par mubarakbaad ki haqdaar haiN. bahut umda ghazal hai.
shukria
Mahtab Qadr
aadaab,
gau ke aap ki jaanib se kam kam hi hosla.afzaa'ee hoti hai magar iss baar aap ki raa'e jaan kar dil buhat khush huvaa aur iss ke liye meraa shukriya piash.e.khidmat hai.
mukhlis
Naheed
Re: ghazal
janaab Najm saahab,najm wrote:Naheed jee salaam-e-masnoon.naheedv wrote:aadaab,
aik dusree bazm meiN aik tarahee maisra' diyaa geyaa thaa tau uss par maiN ne bhee taba' aazmaa'ee kee hai. aur aap kee aaraa se pata chale gaa ke maiN kitni kaamyaab rahi hooN.
shukriya
Naheed
aap ki Ghazal mujhe majmoo.ii t^or par achchii lagi. saaray ke saaray asha'ar achche hai. is achchi kaavish par daad qubool farmaa.eN.
aqeedat kesh,
Najm
taslimaat
aap ne ghazal pasaNd farmaa kar himmat baRhaa dee hai. iss nazar.e.karam ke liye mamnoon hooN.
mukhlis
Naheed
Re: ghazal
Dear Raji sis,Raji wrote:naheedv wrote:aadaab,
aik dusree bazm meiN aik tarahee maisra' diyaa geyaa thaa tau uss par maiN ne bhee taba' aazmaa'ee kee hai. aur aap kee aaraa se pata chale gaa ke maiN kitni kaamyaab rahi hooN.
shukriya
Naheed
My dearest Naheed sis
Kalam bauth hee khoob hai lekin she'r number 5 se Le kar 9 thaak her she'r per "wah wah" kee sadaa ko rokH naa sakee :) .
DiLee daad aur daiR saaree mubarakbaad qubooL keejiye ke iss ka bharpoor haq hai. :)
Wassalam
Zahida Raees :Raji:
aap kee dili daad maiN khule dil se vusool karti hooN,
aur iss ke liye aap kaa dil shukriya bhee adaa karti hooN :D
aap buhat din ke ba'd nazar aa'ee, sab khairiyat hai na?
mukhlis
Naheed
Dear Sara ji,sara_j wrote:Yunhi dhundlaaye rahein akse dil-o-jaan kab tak
meri palkon pe rahe ashk ye larzaaN kab tak
waah bohat khoobsurat matla, bohat hi khoob!
ab ye tanhaii ke pataal mein thakne lagi hai
dil ke kaaghaz pe teri yaad ho raqsaaN kab tak
bohat khoob! doosra misra bohat pasand aaya
jaane shakhon pe mero phool khilein ya na khilein
titliyon ko rakhun humraah pareshaaN kab tak
bohat khoobsurat shair!
mauje khushbu bhi tou guzre kabhi mere ghar se
gham hi aangan mein rahe khu-e-kharamaan kab tak!
very nice.
meri souchon ke sire hii na milein jab tujh se
tou jalegi ye meri shamae eeqaaN kab tak
bohat khoob!
ab nami rehti hai aankhon mein musalsal us ke
toRh ker mujhko na hota vo pashemaaN kab tak
bohat khoob!
main na houngi tou koii aur chala aayega
rakhega apna voh dil aise veeraaN kab tak
waah!
chat-ti jaaye mere haathon se tanaabe umeed
main teri raah bhi dekhun tou meri jaan kab tak
bohat khoob!
subah ke narm ujaale bhi tou utrein :Naheed:
shaam ke rang hi oRhe dil-e-veeraaN kab tak
bohat khoob bohat khoob!
Naheed ji aapki ye tarahee ghazal tou bohat alaa hai khusoosan matla aur sab hi ashaar lajawaab hain.
bohat saari dad aur mubarakbaad qubool keejiye.
sara
salaam,
shaayad aap ne pehli baar meree kisi kaavish par itna tafSeel se her she'r par daad dee hai, aur iss ke liye meraa dhairoN dhair shukriya qubool kijiye :)
mukhlis
Naheed
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut pasand aayi aapki yeh ghazal
MuHtaramah
NAHEED-V Saahibah,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki ghazal bahut pahle paRhchukaa thaa lekin us per apni raaye kaa izhaar karne meiN takheer hougayi jiske liye ma'zirat khwaah ooN. Dar asl mere internet kii line band hougaii thii aur aik doust ke paas se kaam kartaa rahaa. Is liye bahut saara kaam waqt per pooraa nah housakaa.
Aapki ghazal ke saare ashAar achche heiN. Meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir,