Guz#7 khul ke mil bas muNh chupaanaa choRde !!!

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Guz#7 khul ke mil bas muNh chupaanaa choRde !!!

Post by hassan_bashir »

Assalam-o-alikum

Guz#7 ke misre "khul ke mil bas muNh chupaanaa choRde" par ki gaee taabAzmaai aap sab ke nazr kar rahaa hooN ummid hai aap sab ko pasaNd aaYegi. apni qeemati aara'a se zaroor navaazeN.

dar'asal maine yeh forum 2 roz pohle hi join ki hai aur kal hi yeh misraa nazar se guzraa is liYe post maiN taakheer ke liYe maazrat khwaah hooN !



1.phul kyuN na muskuraana chouRde
tu agar gulshan maiN jaana chouRde

2.aabhi jaa ke ab sataana chouRde
mujh se milne ka bahaana chouRde

3.kaise teraa dar deevaana chouRde
haaN dariChey maiN tu aanaa chouRde

4.darr na ab rasm-e-Zanaama chouRde
"khul ke mil bas muNh chupaana chouRde"

5.yaad karte karte maiN hooN thak gaya
tu bhee ab mujh ko bhulaana chouRde

6.ghar to aanaa Khwaab saa ik hai magar
yuuN na ho KhwaaboN maiN aanaa chouRde

7.kar le mere pyaar ka woh aitbaar
kaash mujh ko aaZmaana chouRde

8.jhaaNk apne bhi girebaaN maiN kabhee
ghair par uNgalee uThaana chouRde

9.E-Khuda us ki hoN aaNkheN nam kabhi
aur woh mujh ko rulaana chouRde

10.go yaqeeN aaYega us ko ek din
jab 'Hassan' shaayad zamaana chouRde



Talib-e-Dua'a

Hassan
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: Guz#7 khul ke mil bas muNh chupaanaa choRde !!!

Post by Shummu »

wah bhai khoob aamad ho rahi hain...mashaAllah...chaliye aate hain aapki ghazal ki jaanib....arey wah aap bhi matlon ki bauchaar karte hue nazar aa rahe hain meri tarah :lol:
1.phul kyuN na muskuraana chouRde
tu agar gulshan maiN jaana chouRde

4.darr na ab rasm-e-Zanaama chouRde
"khul ke mil bas muNh chupaana chouRde"

5.yaad karte karte maiN hooN thak gaya
tu bhee ab mujh ko bhulaana chouRde

8.jhaaNk apne bhi girebaaN maiN kabhee
ghair par uNgalee uThaana chouRde


10.go yaqeeN aaYega us ko ek din
jab 'Hassan' shaayad zamaana chouRde
wah yun to poori ghazal hi khoob hai magar ye ashaar zyaada pasand aaye...dili daad haazir hai..zor-e-qalam aur bhi ziyaada! :-)

SHumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Re: Guz#7 khul ke mil bas muNh chupaanaa choRde !!!

Post by hassan_bashir »

Shummu wrote:wah bhai khoob aamad ho rahi hain...mashaAllah...chaliye aate hain aapki ghazal ki jaanib....arey wah aap bhi matlon ki bauchaar karte hue nazar aa rahe hain meri tarah :lol:

shumaila jee yeh to halki sii fuNhaar hai aage aage dekheN matloN ki barsaat bhi hogi aap hii ki tarah.. :grin:

1.phul kyuN na muskuraana chouRde
tu agar gulshan maiN jaana chouRde

4.darr na ab rasm-e-Zanaama chouRde
"khul ke mil bas muNh chupaana chouRde"

5.yaad karte karte maiN hooN thak gaya
tu bhee ab mujh ko bhulaana chouRde

8.jhaaNk apne bhi girebaaN maiN kabhee
ghair par uNgalee uThaana chouRde

10.go yaqeeN aaYega us ko ek din
jab 'Hassan' shaayad zamaana chouRde
wah yun to poori ghazal hi khoob hai magar ye ashaar zyaada pasand aaye...dili daad haazir hai..zor-e-qalam aur bhi ziyaada! :-)

ummm... yeh ash'aar zyada pasaNd aaye matlabbb kyaa dusreyy zyadah pasaNd nahiN aaYe the :cry:

SHumaila

Shumaila jee !

behad mamnoon aur shukr-guzaar hoon aap ka GHazal pasaNd karne ke liYe. bass aap ki hoNsla afzaai isii tarah milatee rahi to Inshallah zor-e-qalam aur bhi paRhta jaayega.

shukriya !

Hassan
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Re: Guz#7 khul ke mil bas muNh chupaanaa choRde !!!

Post by hassan_bashir »

sara_j wrote:
hassan_bashir wrote:
1.phul kyuN na muskuraana chouRde
tu agar gulshan maiN jaana chouRde

2.aabhi jaa ke ab sataana chouRde
mujh se milne ka bahaana chouRde

3.kaise teraa dar deevaana chouRde
haaN dariChey maiN tu aanaa chouRde

4.darr na ab rasm-e-Zanaama chouRde
"khul ke mil bas muNh chupaana chouRde"

5.yaad karte karte maiN hooN thak gaya
tu bhee ab mujh ko bhulaana chouRde

6.ghar to aanaa Khwaab saa ik hai magar
yuuN na ho KhwaaboN maiN aanaa chouRde

7.kar le mere pyaar ka woh aitbaar
kaash mujh ko aaZmaana chouRde

8.jhaaNk apne bhi girebaaN maiN kabhee
ghair par uNgalee uThaana chouRde

9.E-Khuda us ki hoN aaNkheN nam kabhi
aur woh mujh ko rulaana chouRde

10.go yaqeeN aaYega us ko ek din
jab 'Hassan' shaayad zamaana chouRde



Talib-e-Dua'a

Hassan
Hassan sahib,

adaab arz hai.

waah sahib aapne tou kamaal kerdiya.......... :-)

dil to chaahta hai ke fermaish kardoon........

lekin bas naya misra jald hi dediya jayega.isliye
kuch nahi kahungi ab tou apke kalaam ka intezar rahega .

girah tou bohat khoob lagaayi hai aapne.

1.phul kyuN na muskuraana chouRde
tu agar gulshan maiN jaana chouRde

3.kaise teraa dar deevaana chouRde
haaN dariChey maiN tu aanaa chouRde

:-) very nice!


thanx alot


4.darr na ab rasm-e-Zanaama chouRde
"khul ke mil bas muNh chupaana chouRde"

bohat ache

bohat shukriya

8.jhaaNk apne bhi girebaaN maiN kabhee
ghair par uNgalee uThaana chouRde

10.go yaqeeN aaYega us ko ek din
jab 'Hassan' shaayad zamaana chouRde

:-) yun to poori ghazal pasand aayi hai lekin ye ashaar kuch ziyada pasand aaye hain.

daad qubool keejiye.



mukhlis

sara
mohtarma Sara saaHiba:Aadab!

mere adnah se kalaam ko aapne itanee khusbsurat aara'a se navaaza bohat mamnoon hooN maiN aap ka. aap ki reply ko paRh kar behadd khushi ho rahi hai ki is naachiz ke kalaam ko itna pasaNd kiYa jaayega ki farmaaish tak baat aapohaNche.
aap ki farmaaish sar-aankhoN par jab bhi chaaheN bata sakti haiN mukhlis usey puraa karne ki puri koshish karega.
ek baar phir dil ki gehraaiyoN se aap ka shukriya adaa kartaa hooN. ummid hai ki aainda'h bhi nachiz par apni nazar-e-karam rakheNgi.

Shukriya

Hassan
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
Post Reply