gazal_uzma wrote:zia jiStar Mind wrote:Uzma SaaHiba, aap ki Ghazal naz^ar-nawaaz hoi , bohut pasand aayee ! Khyaalaat bohut u'mdah haiN , albatta aap ko waz ko qaaboo maiN laane keleye shaai'ree kaa chilla kaaTnaa paReyga
shukriya
moKhliS : Zia Baloch
yeh chilla kaisay kata jaye ga agar couch nishandahi kar dain tu barri nawazish hogi peer ji :D
thanks 4 reading and appriciation
regards
uzma khan
uzmaa jee , aadaab
Huzoor chilla kaaTne ka aek aasaan a'mal aap ko darj-zel mazmoon maiN melega ! ise Ghor se paRheye aur is par a'mal kejeye , phir dekheye k shaai'ree ki deevee aap par kaise mehrabaan hoti hai !
lejeye link ye hai:
http://www.urdustan.com/mazameen/nikaat/nikaat7.html