kab dil maiN basa naam tirra yaad nahiN hai

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

kab dil maiN basa naam tirra yaad nahiN hai

Post by zmufti »

1. kab dil maiN basa naam tirra yaad nahiN hai
Kab khud ko faramosh kiya yaad nahiN hai

2. kuch door talak tum bhee mire saath chaley they
Kab saath mira chor diya yaad nahiN hai

3. ik khawb to main ne bhee tire saath buna thaa
Kab khawab mira toot gaya yaad nahiN hai

4. har harf-e-tammana mire ashkoN se dhula hai
armaan bhare dil ko Dua yaad nahiN hai

5. Yeh zulm yeh bedaad nai baat nahiN hai
BedaadgaroN ko to Khuda yaad nahiN hai

6. Is dil maiN khilli yaad tirri dagh nahiN hai
mujh ko hai wafa yaad jafa yaad nahiN hai

7. "Allah re tiri yaad k kuch yaad nahiN hai"
yeh kab se mirra haal hua yaad nahiN hai
Last edited by zmufti on Sun Sep 11, 2005 6:27 pm, edited 1 time in total.
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

zmufti wrote:1. kab dil maiN basa naam tirra yaad nahiN hai
Kab khud ko faramosh kiya yaad nahiN hai

2. kuch door talak tum bhee mire saath chaley they
Kab saath mira chor diya yaad nahiN hai

3. ik khawb to main ne bhee tire saath buna thaa
Kab khawab mira toot gaya yaad nahiN hai

4. har harf-e-tammana mire ashkoN se dhula hai
armaan bhare dil ko Dua yaad nahiN hai
wah wah bahut khoob! Aapki ghazal ke ye ash'aar achche lage..daad haazir hai :grin:

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Shummo jee
aap ka buhat shukria
regards
zmufti
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Sara jee
aap ka buhat shukria
regards
zmufti
Post Reply