jab bhii yeh dil udaas hotaa hai...MoHammad Raf'ii, Sharda

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

jab bhii yeh dil udaas hotaa hai...MoHammad Raf'ii, Sharda

Post by Hashmat Usmani »

salaam dosto,

ek nihaayat hii Ghamgeen naGhma chaspaaN kar rahaa huN...na jaane kiuN aaj dil maGhmoom hai...yeh gaanaa sunne ko dil chaahaa so suna aur ab aapke saath share kar rahaa huN. N-JOY!


Movie Name: Seema (1971)
Singer: Mohd Raf'ii, Sharda
Music Director: Shankar-Jaikishan
Lyrics: Gulzar



jab bii yeh dil udaas hotaa hai
jaane kaun aas paas hotaa hai
jab bhii yeh...

hoNT chup chaap bolte hoN jab
saaNs Kuchh tez tez chaltii ho
aaNkheN jab de rahii hoN aavaazeN
ThaNDii aahoN meN saaNs jaltii ho - (2)
jab bhii yeh...

aaNkhoN meN tai'rtii haiN tasviireN
teraa chehraa, teraa Khayaal liye
aaiina dekhtaa hai jab mujhko
ek ma'suum saa Savaal Liye - (2)
jab bhii yeh...

koii Va'da nahiiN kiyaa, lekin
kiuN teraa intezaar rahtaa hai
be_vajah jab qaraar mil jaaye
dil baRaa be_qaraar rahtaa hai - (2)
jab bhii yeh...
Image
Taskeen
nau-waarid
Posts: 15
Joined: Sat May 28, 2005 4:06 am
Contact:

Post by Taskeen »

Bahut khoob...kiya geet inayat farmaya hai

Hashmat bhai mein aksar yeh geet gungunata hoon....zor se is liye naheen ga sakta kaheen paros na khali ho jaye ;)
Post Reply