apni aik aur taaza nigarish pesh e khidmat hai.
Na ho saka ho agar kaarwaaN bacha lena
to itna karna shaoor e ziaaN bacha lena
Mataa e jaaN ko baharhaal sab ki lutnaa hai
kisike bas mai kahaN naqd e jaaN bacha lena
MileiNge teer bahut , dosroN ke tarkash se
jo ho sakay to ye tooti kamaaN bacha lena
tumhaiN hai naaz agar apne jaah o mansab par
zara ye jalti huvi bastiaaN bachaa lena
qasam hai tum ko qalam aur uskay likhe ki
viqaar e virsa e urdu zubaaN bacha lena
Mahtab Qadr
Bacha Lena Aik Taaza ghazal
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Bacha Lena Aik Taaza ghazal
- Attachments
-
- bacha lena2.gif (16.62 KiB) Viewed 432 times
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob
Janab
Mahtab Qadr Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aaapki taazah gahazal paRhkar bahut luT-andouz houne kaa mauqaA milaa. Iski radeef bahut achcihi hei aur mazaameen bhii.
Dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
[color\brown]
Aapka Mukhlis,
Nazir.
[/color]
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
inayateiN
Mohatramee Abdullah bhai
salaam e masnoon
aapne meri ghazal parhi aur isqadar hausla afzai farmai ye mere lye bayes e iftekhaar hai. bahut mashkoor hoN
niazmand
Mahtab Qadr
salaam e masnoon
aapne meri ghazal parhi aur isqadar hausla afzai farmai ye mere lye bayes e iftekhaar hai. bahut mashkoor hoN
niazmand
Mahtab Qadr
bhai wah kya kehna aaj kal khoob aamad ho rahi hai Mahtaab sahab... wah!!! ye ghazal bhi bahut khoob hai...daad haazir hai.
naacheez ki bhi ek adna si taaza ghazal maujood hai...nazar-e-akram farmaa dijiyega inaayat hogi
Shumaila
naacheez ki bhi ek adna si taaza ghazal maujood hai...nazar-e-akram farmaa dijiyega inaayat hogi
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
- nazneen_72
- -
- Posts: 5
- Joined: Wed Jan 26, 2005 4:10 pm
- Location: karachi
- Contact:
- nazneen_72
- -
- Posts: 5
- Joined: Wed Jan 26, 2005 4:10 pm
- Location: karachi
- Contact:
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
shummu ji
Shummu sahiba , aapki pazeerai ke lye tah dil se mashkoor hoN. inshallah aapki ghazal par bhi raye doNga .
Mahtab Qadr
Mahtab Qadr
Shummu wrote:bhai wah kya kehna aaj kal khoob aamad ho rahi hai Mahtaab sahab... wah!!! ye ghazal bhi bahut khoob hai...daad haazir hai.
naacheez ki bhi ek adna si taaza ghazal maujood hai...nazar-e-akram farmaa dijiyega inaayat hogi
Shumaila
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
welcome back nazneen
nazneen aapne hamari khawhish ka paas rakha , aapki wapisi ka shukria
aur ghazal par daad bhi aapne di aur do baar di , chalye is qand e mukarrar ka bhi behad shukria
Mahtab Qadr
aur ghazal par daad bhi aapne di aur do baar di , chalye is qand e mukarrar ka bhi behad shukria
Mahtab Qadr
nazneen_72 wrote:as salaam o alekum.
im back janab .. wah buhat khoob janab aap ki tu din ba din shayri main nikhaar aata jaarha hai kaafi arse bada parhe achi lagee.mubarakbaad kabool kijye