Aek bahut purani ghazal - -- - by: Abdullah Nazir
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Aek bahut purani ghazal - -- - by: Abdullah Nazir
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan,
Purkhuloos Tasleemaat, :rose
Aek bahut purani ghazal jou maiN ne 1982 se pahle kahi thii, pesh karrahaa hooN. Ummeed keh aap apne giraaNqadr tabSiraoN se navaazenge.
G H A Z A L roman meiN.
Saihbaa ne jou karwaT lii, sar phir gayaa boutal kaa
Saaghar kahiN laihraayaa, paimaaNah kahiN chalkaa
Masti meiN javaani kii, kyaa Tarz-e-khiraamaaN hei
Housh usko nahiN bilkul, daaman kaa nah aanchal kaa
Her lamHa-e-ishrat yooN, be-faiZ nazar aayaa
Jaise koii saayah hou, uRte houe baadal kaa
Apni bhii siah-bakhti , taAreef ke qaabil hei
jisTarH sajeelaa-pan , un aankhaoN meiN kaajal kaa
her gaushah gulistaaN kaa firdaus badaamaaN thaa
yeh waaqiAah ab lekin, hei guzre houe kal kaa
Ai mauj-e-Hawaadic jab, ToofaaN ke muqaabil hooN
Kyaa khauf Tamaanche kaa, hou zour kaa yaa halkaa
Nazir yeh taghazzul bhii, ik zauq-e-taghazzul hei
Yaa harzah-saraayi meiN, andaaz hei paagal kaa
=======
Aapka Mukhlis,
Nazir.
- Attachments
-
- a_gauhar_1ff.JPG (161.33 KiB) Viewed 57 times
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Mohtarmee wa Mokarramee Nazir Sb.,
Aadaab
Aapki Ghazal nazar nawaz hoii. Wallah, yeh zuban, yeh andaz,
yeh rung, iss ahd meN ik daulat-e kamyaab hai. Kuch to hai
purani Ghazal meN jo nayee Ghazal oss per haavee nahiN ho
sakee. Bahut haseen Ghazal hai aap ki, tamaam ashAAr rung-e
taGhazzzul se malaamal haiN aur sherriyat se bharpur bhi.
Meri nacheez daad.o.tahseen qubool farmaiyega.
Mukhlis
Jawaid