Lafz par Ashaar#1--"LAHUU"

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
syed bilal armaan
-
-
Posts: 189
Joined: Mon Jan 17, 2005 12:57 pm
Contact:

Lafz par Ashaar#1--"LAHUU"

Post by syed bilal armaan »

kissi bhi unwan (topic) par sher kahiye....har paanch din mein unwan badla jaye ga...ummid karta hoon ke app sabhi is mein bhi shamill honge..
is matraba ka unwan hai "LAHU"
sher arz hai......


KARO NA FIKR KUCH, ZAROORAT PADI TOH HUM DEN'GE
LAHU KA TEL CHIRAG'OUN MEIN DAL NEY KE LIYE...
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

salaam sab se pehle to khushaamadeed bilal sahab ..bahut acche silsile ka aaGhaaz kiya hai aapne... magar subject attractive nahi isliye main is badal deti hon taakeh zyaada se zyaada log is mein hissa lein naam parh kar hi :)

ek sher haazir hai lafz LAHU se

kyaa daur-e-Gazal thaa ke lahuu dil main bahut thaa
aur dil ko lahuu karnay kii fursat bhii bohut thii



-- Dr. Kaleem Ajiz.

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

ek she'r yaad aa gayaa so sochaa raqm karta chaluuN:

ragoN meN dauRte phirne ke ham nahiiN qaa'il
jab aaNkh hii se na Tapkaa, to phir lahuu kia hai?


Ghaalib
Image
User avatar
sadia
nau-waarid
Posts: 1
Joined: Wed Jan 26, 2005 4:56 pm
Location: Karachi
Contact:

Post by sadia »

LAHU say jab jala diya, ik chiragh bujha howa
phir mujhay diya gaya, ik chiragh bujha howa
MARTA HOON SAADGI PE KEH FITRAT KA HUSUN HAI.......
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

wah khoob ash'aar irsaal kiye hain aap sab ne :) Ek aur sher arz hai "lahuu" pe..

main qatl to ho gaya tumhari gali main lekin,
mere lahu se tumhari deewar gal rahi hai,

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Post Reply