MOMIN KHAN MOMIN KI EK GAIR MATBOO'A GHAZAL DARYAAAFT.

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

MOMIN KHAN MOMIN KI EK GAIR MATBOO'A GHAZAL DARYAAAFT.

Post by farhan »

ASWK

yeh mazmoon URDU NEWS , Jeddah main mourrakha, 9 sept, 2005 ka shaya hua tha. voh yahan peesh kiya jara ha hai.

yeh ghazal janab ABUDL WAHAB(FARSI KAY SHAYER, TAKHALLUS WAHIB) kay nawasay, janab ABDUL HAFEEZ BILYAVI kay farzand, janab ABDUL BARI ANJUM, ko un kay nana kay ek sandookchay main 50 saal pahlay mila, un kay aabayee gavooN MUSTAFA AABAAD main. mazmoon nigaar likhtay hain ki un kay nana, janab ABDUL WAHAB saheb kay MOMIN KHAN MOMIN say bahut achchay adabi tallukaat thay. aur khat o kitabat thi. aur yeh dono hazaraat ek doosray ko apni taza taqleeqat bheejtay rahte they. aur mandarja zail ghazal bhi unhi ki ek kadi hai.

[/b]CHASM-E-JAANAA HAI SHABIYA CHASH-E-AAHOO, HOO BA HOO
AAN'BAREEN HAI KAKIL SHABRANG KAY MOO, MOO BA MOO

ISHQ SAR O QAD JAANAA HAI YEH AASHIQ KA RANG
KAR RA HA HAI FAAKHTAY KAY MISL KOO KOO, KOO BA KOO

QATL KA GAR HAI IRADA DAIR KYOON KARTE HAIN AAP
DEEKIAY MOUJAAD HAI YEH TA'IG-E-AABROO, ROO BA ROO

ASHRAFI ALLAH SAMJAY UN BUTAOON KAY ZULM KO
AANKH DIKHLATAY HI KARDAY TAY HAIN JADOO, DOO BA BOO


daryaaft kunindah likhtay hain ki yeh ghazal MOMIN KHAN MOMIN ki us waqt ki hai jab voh apna takhallus ASHRAFI kya karte they.

baad azaaN likhtay hain ki, "bahut gour o fikr ke baad main ne yeh mahsoos kiya ki ek qafiya ustaz MOMIN KHAN MOMIN ke istemaal karne say rahgaya lavo use main hi , usi iltezaam aur pabandi kay saath istemaal kar hi daloon, chunanchay mouzoni tab' nay usi zameen main yeh sahir taqleeq kiya

JAB SE ZALIM NAY NAHA DHOO KAR ZARA JHATKI HAI ZULF
URTI PHIRTI HAI PARASHEEN BOO-E-GAYSOO, SOO BA SOO

ummid hai kay arbaab-e-sukhan pasand farmayeengay.

FARHAN
Handsome
-
-
Posts: 143
Joined: Mon Jul 11, 2005 2:29 am
Location: Multan
Contact:

Post by Handsome »

bohat khoob jeee
Post Reply