Meri ek ghair riwayatee ghazal
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Meri ek ghair riwayatee ghazal
Dosto! Salam qubool kijiye
Ek ghazal jo a'am rawish se zara haTkar kahne ki koshish ki thee, irsaal kar raha hooN. Ummid hai pasaNd farmayeNge.
Mukhlis
Jawaid Badauni
Ghazal
Pal bhar ko ik ghareeb ki himmat baRha gayee
JhoTee thee dil ki aas magar kaam aa gayee
Kaisee ajab ghaTa thee jo barsee nah muddatoN
Barsee to iss tarah keh tabahee machaa gayee
Mazloom ki sadaa ko nah samjho haqeer cheez
Woh jab uThee wujood-e sitamgar miTaa gayee
Rahna hai oos se tum ko bhi mohtat dosto!
Woh aag jo paRos ki bastee jalaa gayee
Ai jhooTee shaan aaj bhi baaqi hai teri bhook?
Too jaaidaad kitne nawaboN ki kha gayee
Kya jane kub bujheNgee siyasat ki mashAleN
Nafrat ki aag daman-e ulfat tak aa gayee
Jab bhi hoa hai qatl ik insaan bequSoor
Insaaniyat bechaari lahoo meN nahaa gayee
UThTho miyaN keh lauT ke jane ka waqt hai
:Jawaid: din tamaam hoa raat aa gayee
.............................................................
Last edited by jawaid badauni on Mon Oct 03, 2005 11:18 am, edited 2 times in total.
Re: Meri ek ghair riwayatee ghazal
moHtaram janab-e-Jawaid Badauni SaaHeb:
Aadab-o-tasleemat,
aap kee ghazal ka rang sach poochiye tu mujhe bohat pasand aaya.
tamaam hee ashaar mazameen aur bayaan ke leHaz se ache lage.
so har ek she'r kee babat alag alag likhne se d'ar hai keh kaheeN ek she'r doosre ka Haq nah chein lay.
meree janib se dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
khuda kare zor-e-qalam aur ziyadah
wassalam
Zahida Raees :Raji:

jawaid badauni wrote:
Ghazal
Pal bhar ko ik ghareeb ki himmat baRha gayee
JhoTee thee dil ki aas magar kaam aa gayee
Kaisee ajab ghaTa thee jo barsee nah muddatoN
Barsee to iss tarah keh tabahee machaa gayee
Mazloom ki sadaa ko nah samjho haqeer cheez
Woh jab uThee wujood-e sitamgar miTaa gayee
Rahna hai oos se tum ko bhi mohtat dosto!
Woh aag jo paRos ki bastee jalaa gayee
Ai jhooTee shaan aaj bhi baaqi hai teri bhook?
Too jaaidaad kitne nawaboN ki kha gayee
Kya jane kub bujheNgee siyasat ki mashAleN
Nafrat ki aag daman-e ulfat tak aa gayee
Jab bhi hoa hai qatl ik insaan bequSoor
Insaaniyat bechaari lahoo meN nahaa gayee
UThTho miyaN keh lauT ke jane ka waqt hai
:Jawaid: din tamaam hoa raat aa gayee
.............................................................
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)

WAHHHHHHHHHHHH!!!!!!Be Intehaa khoobsurat kalaam.....aap ki ghazal meiN andaz-e-bayaan meiN ek nayapan hota hai ....har sher bahut umda likha hai aapne...bahut rawaaN dawaaN ghazal hai..dher saaari daad haazir hai khaaskar is sher pe khusoosi daad pesh hai..

Wah...Bahut hi khoob!!!!!
Mukhlis,
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Meri ek ghair riwayatee ghazal
Mohtarmah Zahida "Raji" SahibahRaji wrote:moHtaram janab-e-Jawaid Badauni SaaHeb:
Aadab-o-tasleemat,
aap kee ghazal ka rang sach poochiye tu mujhe bohat pasand aaya.
tamaam hee ashaar mazameen aur bayaan ke leHaz se ache lage.
so har ek she'r kee babat alag alag likhne se d'ar hai keh kaheeN ek she'r doosre ka Haq nah chein lay.
meree janib se dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
khuda kare zor-e-qalam aur ziyadah
wassalam
Zahida Raees :Raji:
jawaid badauni wrote:
Ghazal
Pal bhar ko ik ghareeb ki himmat baRha gayee
JhoTee thee dil ki aas magar kaam aa gayee
Kaisee ajab ghaTa thee jo barsee nah muddatoN
Barsee to iss tarah keh tabahee machaa gayee
Mazloom ki sadaa ko nah samjho haqeer cheez
Woh jab uThee wujood-e sitamgar miTaa gayee
Rahna hai oos se tum ko bhi mohtat dosto!
Woh aag jo paRos ki bastee jalaa gayee
Ai jhooTee shaan aaj bhi baaqi hai teri bhook?
Too jaaidaad kitne nawaboN ki kha gayee
Kya jane kub bujheNgee siyasat ki mashAleN
Nafrat ki aag daman-e ulfat tak aa gayee
Jab bhi hoa hai qatl ik insaan bequSoor
Insaaniyat bechaari lahoo meN nahaa gayee
UThTho miyaN keh lauT ke jane ka waqt hai
:Jawaid: din tamaam hoa raat aa gayee
.............................................................
Ek baar phir aap ne behud purKhuloos daad se nawaza hai. Bahut mamnoon hooN.
Khoosh raheN.
Mukhlis
Jawaid Badauni
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Meri ek ghair riwayatee ghazal
Shummu wrote:jawaid badauni wrote:
Pal bhar ko ik ghareeb ki himmat baRha gayee
JhoTee thee dil ki aas magar kaam aa gayee
Kaisee ajab ghaTa thee jo barsee nah muddatoN
Barsee to iss tarah keh tabahee machaa gayee
Mazloom ki sadaa ko nah samjho haqeer cheez
Woh jab uThee wujood-e sitamgar miTaa gayee
Rahna hai oos se tum ko bhi mohtat dosto!
Woh aag jo paRos ki bastee jalaa gayee
Ai jhooTee shaan aaj bhi baaqi hai teri bhook?
Too jaaidaad kitne nawaboN ki kha gayee
Kya jane kub bujheNgee siyasat ki mashAleN
Nafrat ki aag daman-e ulfat tak aa gayee
Jab bhi hoa hai qatl ik insaan bequSoor
Insaaniyat bechaari lahoo meN nahaa gayee
UThTho miyaN keh lauT ke jane ka waqt hai
:Jawaid: din tamaam hoa raat aa gayee
WAHHHHHHHHHHHH!!!!!!Be Intehaa khoobsurat kalaam.....aap ki ghazal meiN andaz-e-bayaan meiN ek nayapan hota hai ....har sher bahut umda likha hai aapne...bahut rawaaN dawaaN ghazal hai..dher saaari daad haazir hai khaaskar is sher pe khusoosi daad pesh hai..
Kaisee ajab ghaTa thee jo barsee nah muddatoN
Barsee to iss tarah keh tabahee machaa gayee
Wah...Bahut hi khoob!!!!!
Mukhlis,
Shumaila
Azeezah Shumaila Sahibah
Aapki purkhuloos daad ke liye marhoone minnat hooN.
Khoosh RaheN,
Mukhlis
Jawaid