taraahii ghazal #10

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
zaamin
-
-
Posts: 37
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:54 am

taraahii ghazal #10

Post by zaamin »

jab is behr pe ghaur kar rahaa thaato jaane kyon zehn mein ghalib ka 'yeh na thii hamari kismet' aur allma iqbal ka 'sare jahaan se achhaa hindustaan hamaara' ghoomne lag parhe;shayad behr ki riazat kuchh rang la rahii hai;
apni koshish ko pesh kar rahaa hoon;umiid hai aap rehnumaaii farmaayienge.;

----------------------------------------------------------




Ham dast-bastah sar-kham unko nihaarte haiN
Tan tan ke jab vo apna siina ubharte hain

Yeh jaan kyaa hai viiraaN, haiN laakh us pe qurbaaN
Ik haif zindagii bas ,sau us pe waarte haiN.

Koii taur bhii bataaeiN , kehte ho bhool jaaeiN
Utna hii yaad aa_o jitna bisaarte haiN.

Har haal maiN ho raazii , nahiiN khel ‘ishq-baazii
Haare muzaayiqa kyaa, jeete bhii haarte haiN

Mushkil sakoon-e-sairaaN , hai Husn bhii pareshaaN
Baad-e-sabaa jo chhoRhe , to gul pukaarte haiN

Din raat Daar baaNdhe, haiN duur gaye nikal ke
Ham paa-ba-gil parinde , abhii par saNwaarte haiN.

Yak-lakht kho gayaa kyon, khurshiid-e-zuhr-e-garmaa
Sar-e-aayinaa khaRhe vo, zulfeiN saNwaarte haiN.

Dil dard rakhne waale , Kitne haiN bhole bhaale
Bar-dosh-e-baad-e-baaraaN , kasraan usarte hain

Gosha nashiin-e-aashiq , Shab bhar lahoo haiN rote
kyaa aa rahii shafaq ka chehra shiNgaarte hain ?

yeh shaayiraana jazbaa , hamd-o-madah qasiidaa
ik qarZ-e-Husn jaaN per,dam ba-dam utarte haiN
.




zaamin
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

achchi koushish hei

Post by Abdullah Nazir »


Janab
Zaamin Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal aek Taweel tabSireh kii muHtaaj hei lekin maah-e-Ramadhan kii ziyaadah maSroofiyat kii vajah se maiN is qaabil nahiN hooN keh apni tafseeli aaraa pesh karsakuN.

Baharhaal aapki kaavish qaabil-e-daad o teHseen hei.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
Post Reply