payaaray saathio
assalamo Aliakum w.w
dil es qader muztarib aur dukhe hai jaisay lahuu lahuu . jism be-jaan hai. aaj tahjjud k waqt nawaafil k b'ad raat ko dekhay huay nazaaroN kaa soch dil aik baar phir derd say bher gayaa. Apnay Rab k Huzur apnay Aziz ham watnoNki be-basee per taRap taRp ker ronay aur un k liye sabar-e-jameel maghferat aur reham k liye duaiN managany kaa mazeed moqua mila.
yeh aalam hai keh agtaa hai keh aaNkheN phatee aur seenay shaq huay jaa rahauy heN.
yuN tau Khudaa k faz'l say hamaaray tamaam Aziz ba khairiyyat haN magar aaj ilm huaa keh yeh sab bhee tau hamaaray Aziz hi haiN. ...Aziz aur bohat Aziz.
zabaan gang hai aur socheN uljhi huee haiN. Ka'ee sawaal zubaan per aa ker rukk jaatay haiN. lagtaa hai keh kuch bhee goyaa suudmand nahin ho gaa sawaaey duaa-e-mustjaab k.
duaa duaa aur bas duaa aisee duaa jo seedha Arsh-e-Azeem tak poHnchay aur rehamat-e-baaree laiker hi lautay.
Allah hameN aisay a'amaal karnay ki taufeeq Ataa fermaaey jis say uskaa Fazal jazb karnay ki taufeeq milay nah keh aisay jin say uskaa ghaZab naazil ho.
Allah SWT hamaaree aur hamaaray ham watnoN wa degar banee no-e-insaan ki ghalatiyaN muaaf ferma aker un k naik a'amaal qabuul fermaaey.aameen
chaNd be-rabt jumlay mozoN ho ga'ey. aap sab kee basaratoN ki nazr.
Ay aasmaaN yeh kayaa huaa?
es gulsitaaN ko kaya ahuaa?
us kaa nishaN miltaan nahiN
mairay makaaN ko kayaa huaa?
maaN baap behnaeN aur Aziz
wa bachgaaN ko kayaa huaa?
yeh kayaa ghaRee hai al'amaaN
wehm-o-gumaaN ko kayaa huaa?
kuch bhee tau baaqee nah rehaa
mairay jehaaN ko kayaa huaa?
alfaaz nay damm de diyaa
natq-o-bayaan ko kayaa huaa?
yeh kioN achaanak tham ga'ee
nabz-e-zamaaN ko kayaa huaa?
be-acr saaree ho ga'ee
aah-o-fughaaN ko kayaa huaa?
ko'ee nahiN jaa-e-panaah
tairee amaaN ko kayaa huaa?
aa ker zeraa Tuu dekh tau
hai muslmaaN ko kayaa huaa?
ay aasmaaN yeh kayaa huaa?
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
ay aasmaaN yeh kayaa huaa?
Last edited by tahira Masood on Tue Oct 25, 2005 11:30 pm, edited 1 time in total.
live and let live
Azeezah Tahira Sis,
Walaikum Assalam,
aap kee nazm ne dehla diya hai. aap ka Harf-ba-Harf har Pakistani ke dil kee Sada hai.
aaj har aaNkh ashkbaar hai aur giRgiRa ka dua go hai keh Ya-rab hamaree KhataooN ko baKhsh de aur aisee aazmahish meN hameN nah d'aal jise uThte uThe hamaree kamar TooT jaaye.
Allah(swt) Pakistani qaum ko is mushkil ghaRee se nikalne kee himmat ata farmahe aur voh log jo is saanHe kee zad meN aaye heN un meN bardaasht kee taaqat ata farmaye aur jo jaaN-baHaq hoove heN unkee maghfirat farmaye. (Aameen)
sis, apne jazbaat ham se share karne ke liye bohat shukriyah.
wassalam
Zahida Raees :Raji:

Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Raji sis.
assalamo alaikum w.w
bohat shukerea maiaray khayaal maiN aiasy sanjeedah unwaanaat -o- mozuuaat per likhnaa bohat zaroori hai. aik shaair per su k zameer kaa ,apnay muaashry aur insaaniyat kaa aik farz aik qarz hotaa hai. jo aisay waqtoN meN usay adaa ker denaa chaahiye. aisee shaairee bhee kerni chaahiye jis sae "amr-e-bilma'ruuf aur nahi Anil munkir" kaa taqaazah bee puura ho. jo sotay huay zehnoN kee baidaari kaa sabab banay. lab-o-rukhsaar aur gul-u-gulzaar ki shaairee apnee jagah duniyaa k Hwaadis aur tabaahiyaaN bhee tau hamaaray jazbaat ki akkaasee chaahtiN haiN apnay hal maaNgtee haiN.
riwaayat hai keh Huzur s.a.w.w aik bastee k paas say guzeray tau dekhaa keh woh apee chatoN k bal ondhi paRee hai. ya.nee woh tabaah ho chukee thi. es per aap sallaaho ilaaihay waa alaihee waa sallam nay fermaaya keh" kayaa yeh log es say bachna k liye duaaieN nahiN kiyaa kartay thay?"
tau hamaiN, Us'r-o- yusr meN aisy buray waqtoN ki aamad say peshter in haalat ko madd-e-nazar rakhtay huay pesh bandee ker lainee chaahaiye ya'nee duaaoN k zreeay Khudaa Ta'laa ki panaah maiN aa jaana chaahiye yaa kamm azz kam es ki koshihs hi kernee chaahiye. baaqee Khudaa per choR denaa chaahiye.
Allah Ta'alaa hameN ghaflat meN soay rehany say bachaaey. aur uskay payaar ki nazar hamesha ham per peRtee rahay.
Allah Ta'alaa hamaaray in behan bhaaiyoN ko es jaanikaah Sadamay meN Sabr-e- jameel Ataa fermaaey. aur Khuda in per reham karay auu inkee Khud diljoee fermaaey aur khud aap in kaa Haami-o-madadgaar ho aameen. summaa aamneen