salaamun alaikum
haazireen
is mushaire mei.n pehli baar haazir hone ka sharaf haasil hua hai.
aapke diye hue misre per hamari adna si kaavish peshe khidmat hai.umeed hai ki pasand farmaaye.nge
arz karta hoo.n ki
khulqe hasan se jo bhi,khud ko sanwaarte hai.n
aise hi shakhs ko hum, insaa.n pukaarte hai.n
rachbas gayee hai jinke,dil mei.n khuda ki ulfat
kirdaar ko woh apne,har pal sanwaarte hai.n
shaitaan hi ke pairau,lagte hai.n log humko
'tan tan ke jab woh apna,seena.h ubhaarte hai.n
qaule nabi hai maa.n ke,qadmo.n ke neeche jannat
hum maa.n ki khdmato.n mei.n,ye pal guzaarte hai.n
aurat hai aik heera,jannat ka aik tukda
woh mard hi nahi.n hai.n,jo inko maarte hai.n
shouhar ki ahmiyyat ko,jo zan na jaanti ho
hikmat se hum to haamid,usko nikhaarte hai.n
taalibe dua
haamidbaaqri
bangalore
india
tarhi ghazal guz...#10
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
tarhi ghazal guz...#10
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
salaamun alaikumsara_j wrote:haamid baqri sahib,
tasleemat.
aapki tahree ghazal nazar nawaaz hui........
sabhi asha'ar lajawaab hain.
daad qubool keejiye aur ainda bhi aapki takhleeqat
ka intezar rahega
sara
mohtarama sara saahiba
aapki hausla afzaayee aur purkhuloos daad ke hum shukr guzaar hai.n.insha allah aainda bhi hissa lete rahe.nge.
jazakallah
khush rahe.n
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob
MuHtarami
Haamid Baaqiri SaaHib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Waah waah bahut khoob.
Aapki ghazal aapke apne munfarid andaaz meiN kahi gaiee hei jiske liye meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Ummeed ke aayindah bhii aap apni adabi kaavishaoN se navaazte rahenge. Shukriyah.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
is tarahi misre pe bahut si ghazlein aayin aur sab ka andaaz taqreeban milta julta tha..ek aap hi hain jinhone bilkul haT ke mazaameen sheron mein Dhaalein hain jis ke liye yaqeenan aap daad ke mustahaq hain.... dili daad haazir hai aap ki soch ki akaasi karti hui is behtareen ghazal pe...
Shumaila
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: Bahut khoob
salaamun alaikumWEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqiri SaaHib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Waah waah bahut khoob.
Aapki ghazal aapke apne munfarid andaaz meiN kahi gaiee hei jiske liye meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Ummeed ke aayindah bhii aap apni adabi kaavishaoN se navaazte rahenge. Shukriyah.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
mohtaram nazir saahib
aapki mukhlisaana aur aarifana daad ke hum behad shukrguzaar hai.n.insha allah tadreejan aage badhne ki hamari koshish rahegi.duao.n mei.n hame.n zaroor yaad rakkhe.n.
jazakallah
aapka mukhlis
haamidbaaqri
bangalore
india
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
salaamun alaikumShummu wrote:is tarahi misre pe bahut si ghazlein aayin aur sab ka andaaz taqreeban milta julta tha..ek aap hi hain jinhone bilkul haT ke mazaameen sheron mein Dhaalein hain jis ke liye yaqeenan aap daad ke mustahaq hain.... dili daad haazir hai aap ki soch ki akaasi karti hui is behtareen ghazal pe...
Shumaila
mohtarama shumeila saahiba
ye aapka husne zan hai jo aap aisa sochti hai.n.dar asl jab bhi hum qalam uthate hai.n hamare ash^aar isee fikr ke saanche mei.n dhalte hai.n.ye beshak taufeeqe ilaahi hai.
aapki munfarid andaaz mei.n dee gayee daad ke hum behad mamnoono mashkoor hai.n.
jazakallah
khushrahiye
haamidbaaqri
bagalore
india
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa