salamun alaikum
dosto
mahe ramadhan badi tezee se guzarta jaa raha hai.aise mei.n quraane majeed par har lamha fikr karne ki zaroorat hai.
aik nazm ba unwaane quraan haazir hai
gar qubool uftad zahe...
arz karta hoo.n ki
jeelo khuda ke waaste quraani zindagi
ahmed ke dar se milti hai insaani zindagi
quraa.n jahaa.n mei.n aaya hai zindo.n ke waaste
kyu.n sirf log padhte hai.n murdo.n ke waaste
shaayed inhe.n pasand hai haiwaani zindagi
jeelo khuda ke waaste.......
akhbaar aur risaalo.n ko palko.n pe rakhliya
alla'h ki kitaab ko taaqo.n mei.n rakhdiya
quraa.n ko chod jeete hai.n begaani zindagi
jeelo khuda ke waaste.........
ramadhaan mei.n to har ghadi quraan padhte hai.n
baaqi dino.n mei.n saath hum shaitaa.n ke rahte hai.n
bolo kahaa.n se paaye.nge roohani zindagi
jeelo khuda ke waaste........
sajde mei.n sar kata diya jhukne nahi.n diya
ghar ko lutaaya deen ko mitne nahi.n diya
shabbeer ne sikhaayi hai eemaani zindagi
jeelo khuda ke waaste........
taqwe ke saath zindagi haamid guzaar lay
kirdaare mustafa se tou khud ko sa.nwaar lay
dono.n jahaa.n mei.n paayega sultaani zindagi
jeelay khuda ke waaste.........
nateejaye fikr
haamidbaaqri
bangalore
india
hadiyae ramadhan aik nazm ba unwaane"quraan"
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
hadiyae ramadhan aik nazm ba unwaane"quraan"
Last edited by haamidbaaqri on Mon Oct 24, 2005 5:57 am, edited 1 time in total.
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
wah mashaAllah bahut khoob ...bilkul bajaa farmaaya aapne HAAMID JEE!!! Waqaii hum log ramzan mein to khoob Quraan-e-paak ki tilaawat karte hain magar aur dinon mein Quran ki taraf nazar uThaake dekhte bhi nahi.... yaqeenan ye hamari hi apni kotaahi hai....Allah hamare eemaan ko aur mazboot banaaye....aur siraat-e-mustaqeem pe chalne ki taufeeq ata farmaaye..Ameen!
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
MuHtarami
Hamid Baaqri Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Ramadhan ke babarakat maheeneh kii munaasibat se aapki nazm bahut pasand aayi. Khaksaar kii dili daad aur mubarakbaad qubool farmaayiye.
Mandarja-e-zel miSreA per nazar-e-caani keejiye:
"kirdaare mustafa se tum khud ko sa.nwaar lo "
lafz "tum" kii vajah se vazn shikastah hourahaa hei jiski jagah aap "tou" isteAmaal karsakte heiN yaa aap koii munaasib tabdeeli farmaasakte heiN.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
shukriya
salaamun alaikumsara_j wrote:Masha allah! bohat acha likhe hain........
baaqri saheb daad qubool keejiye bohat umdah
kavish se navaza hai aapne.
sara
mohtarama sara saahebah
aapki mukhlisaana daad ke hum behad mamnoono mashkoor hai.n.hamaari ilteja hai ki aap hame.n duao.n mei.n na bhoole.n.
jazakallah
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
shukriya
mr handsomeHandsome wrote:very ncie keep sharing
thankyou very much may allah reward you.aameen.
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
shukriya
salaamun alaikumShummu wrote:wah mashaAllah bahut khoob ...bilkul bajaa farmaaya aapne HAAMID JEE!!! Waqaii hum log ramzan mein to khoob Quraan-e-paak ki tilaawat karte hain magar aur dinon mein Quran ki taraf nazar uThaake dekhte bhi nahi.... yaqeenan ye hamari hi apni kotaahi hai....Allah hamare eemaan ko aur mazboot banaaye....aur siraat-e-mustaqeem pe chalne ki taufeeq ata farmaaye..Ameen!
mohtarama shumaila saahebah
allah(sbhnwt) ne jo dastoorul amal hum sabke liye huzoor(s.a.w.)ke zariye hum tak pahunchaaya hai use samajhne aur usper chalne ki hum sabko taufeeq enaayat farmaaye.aameen
dua go
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
shukriya
salaamun alaikumWEBMASTER wrote:
MuHtarami
Hamid Baaqri Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Ramadhan ke babarakat maheeneh kii munaasibat se aapki nazm bahut pasand aayi. Khaksaar kii dili daad aur mubarakbaad qubool farmaayiye.
Mandarja-e-zel miSreA per nazar-e-caani keejiye:
"kirdaare mustafa se tum khud ko sa.nwaar lo "
lafz "tum" kii vajah se vazn shikastah hourahaa hei jiski jagah aap "tou" isteAmaal karsakte heiN yaa aap koii munaasib tabdeeli farmaasakte heiN.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
mohtaram abdullah nazir saahib
aap jaise ustaad se hame.n daad mili yeh hamari khushqismati hai.hum aapke behad mamnoono mashkoor hai.n ki aapne technical ghalati ki taraf tawajjah dilaayee.humne usko durust karliya hai.mazeed kuch ghalati ho to hame.n zaroor bataaye.n.
allah(sbhnwt)aap per rehmato.n ki baarish kare.aameen.
aapka mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa