Iqbaal ki zindgee ke aakhree ayyaam meN ulTee aur thook ke saath khoon bhi aanay lagaa thaa--kamzoree kaa aisaa 'aalam thaa keh das bees qadam chalnaa bhi do.bhar ho gayaa thaa--is shiddat-e-'alaalat ke baa.wajood aap apnee millat ki taraf se Ghaafil naheeN hu.ay aur "muslim league" ke Hawaale se qom ki rahnumaaee kartay rahay -aap ki is a'laalat ke doraan aap ke akcar qareebee aHbaab aap ke paas hotay thay aur aap ki har taraH se daiKh.bhaal kartay thay-un kaa kehnaa hai keh aik din Iqbal par shadeed garyah taaree hu.aa aur woh dair tak aansoo bahaatay rahay-aHbaab ne samjhaa keh shaayed takleef meN shiddat paidaa ho ga.ee hai-jab aap kaa garyah kuCH kam hu.aa to kisee ne pooChaa keh ......"kyaa takleef buhut zyaadah hai ? " Iqbal ne jawaaban kahaa ........."is waqt khayaal aa gayaa keh aazaadee-o-a'zmat ke HuSool ke jo tareeqay meN ne qom ko bataa.ay heN, woh saHeeH heN , laiken agar qom ne un par a'mal naheeN kiyaa to kyaa ho gaa"-
Iqbal ko ehsaas thaa keh jismOjaan ki judaa.ee ke lamHaat qareeb.tar aa rahay heN-aise HoSlah.shikan Haalat meN aap ke baRay bhai
sheikh Ataa Muhammad ne Harf-e-tasallee kehne ki koshish kee to aap ne farmaayaa:
"meN musalmaan hooN mot se naheeN Dartaa"
isee a'laalat ke doraan Abdullah chuGhtaa.i ko aik khat ke jawaab meN liKhwaayaa keh:
"...bah.Haiciyat-e-majmoo.'ee aik daaim-ul-mareeZ ki zindGee basar kar rahaa hooN taaham Saabir shaakir hooN-inshaAllah jab mot aa.ay gee to mujhe mutabassum paa.ay gee... "
wafaat se chand ghanTay paishtar yeh qit'aa keh kar aHbaab ko bataa diyaa keh ab waqt-e-safar aa puhunchaa hai:
sarood-e-raftah baaz aayad keh naayad
naseemay az Hijaaz aayad keh naayad
sar aamad rozgaar eeN faqeeray
dagar daanaa-e-raaz aayad keh naayad
(tarjumah:woh geet jo gaa.ay jaa chukay heN woh phir aa.eN yaa nah aa.eN,, aur Hijaaz se THanDee hawaa aa.ay yaa nah aa.ay-is faqeer kaa waqt aan puhunchaa ,,ab koi aur daanaa-e-raaz aa.ay yaa nah aa.ay--)
aur chand ghanTay ba'd 21/apr 1938 ko ba.waqt-e-SubH Saadiq apnee jaan ,jaan.aafreeN ke supurd kar dee -
innalillaah-i-wa innaa ilaih-i-raaji'oon,,bai.shumaar afraad ne aap kaa aakhree deedaar kiyaa aur meHsoos kiyaa keh aap ke honToN par halkaa saa tabassum hai aur jaise aap buhut hi pur.sukoon neend so rahay heN -Iqbal ne THeek hi kahaa thaa keh:
nishaan-e-mard-e-momin baatoo goyam
chooN marg aayad, tabassum bar.lab Ost
(tarjumah:mard-e-momin ki pehchaan meN tumheN bataataa hooN keh jab usay mot aatee hai to us ke laboN par muskuraahaT hotee hai ..)
Iqbal ba.waqt-e-wiSaal
- yasir shah
- -
- Posts: 191
- Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
- Location: karachi
- Contact: