TARAHI MISRA - -- - (GUZ.11) by: ABDULLAH NAZIR.

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

TARAHI MISRA - -- - (GUZ.11) by: ABDULLAH NAZIR.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-Sukhan,


Purkhuloos Tasleemaat, :rose

TARAHI MISR'A GUZARISH NO.11 KE LIYE:

Kulliyaat-e-Daagh Dehelawi se aik taraHi misraA paish karrahaa hooN:
maiN sar jhukaaye baiThaa hooN qaatil ke saamne
is miSreA meiN mujh se ghalaTi houne kii vajh se SaHil Saahib aur Irfan Barabankwi ne isi soorat meiN isteAmaal kiyaa hei. Haqeeqat meiN yeh miSraA yooN hei:
Ham sar jhukaaye baiThe heiN qaatil ke saamne
yaa
maujeN hazaar uThti heiN saaHil ke saamne
Radeef = saamne
Qaafiye (qaatil, dil, mushkil, saaHil, manzil, saayil, maHmil, jaahil, baaTil, muqaabil,) waghairah..
Yeh beHr-e-MuZaariA akhrab makfoof maqSoor MeHzoof hei. Iska vazn hei:
'maf'oolu…..faa'ilaatu…..mafaa'ee'lu…..faa'ilun

=/0/0/…../0//0/…..//0/0/…../0//0
= 22/…..212/…../22/…..212
Ijaazut: Ghair qaafiyah band miSreA ke aakhiri rukn ko faa'ilun kii bajaaye faa'ilaat isteAmaal karsakte heiN.

Ummeed ke aap sab TabAaazmayi farmaakar khaaksaar ko shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
Post Reply