woh is t^araH se taSawwur meN be-Hijaab huwe

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

woh is t^araH se taSawwur meN be-Hijaab huwe

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-bazm: aadaab!

ek Ghazal le kar aayaa hooN. dekh`iYe kisee qaabil hai bh`ee keh naheeN!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
==============================
GHAZAL

woh is t^araH se taSawwur meN be-Hijaab huwe
tamaam a'alam-e-hijraaN Khayaal-o-Khwaab huwe!

Khud apne haath`oN sar-e-bazm be-niqaab huwe
ham aap apne sawaalaat kaa jawaab huwe!

tamaashah-e-ram-e-hastee faqat^ fasaanah th`aa
HuZ^oor-e-koo-e-Khudee ham jo baaryaab huwe

dareedah band-e-jigar, taar taar daaman-e-dil
huwe to i'shq meN is t^araH se Kharaab huwe

suboo-e-Husn-e-taKhaiyyul ch`alak ch`alak uTTh`aa
Hareem-e-shauq meN ham jab bh`ee baaryaab huwe

hameN anaa ne dikh`aayee kuch` aisee raah keh bas!
jo Khud ko sochaa to ham Khoob aab-aab huwe!

ham aise kab th`e keh aazaad-e-aarzoo rehte
Gham-e-Hayaat huwe aur be-Hisaab huwe

shikastah-Haal-o-pareeshaaN to yooN bh`ee th`e "Sarwar"
tumhaare Zikr se kuch` aur bh`ee Kharaab huwe!
Attachments
gg-wohistarahse_cr.gif
gg-wohistarahse_cr.gif (12.59 KiB) Viewed 203 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Adaab Mohtaram Sarwar sahab...kaise hain aap?

kaafi dinon baad aap ko dekha..bahut achcha laga warna aap ki kamee bahut mehsoos ho rahi thi saari urdu mehfiloN meiN....

itni khoobsurat takhayyul-o-taGazzul se bhari ghazal aap hi keh sakte hain...ek ek sher se aap ki kohna mashqi jhalak rahi hai....aap ki ghazal se itne naye naye alfaaz bhi paRhne ko milte hain..bahut achcha lagta hai...

woh is t^araH se taSawwur meN be-Hijaab huwe
tamaam a'alam-e-hijraaN Khayaal-o-Khwaab huwe!

--wahhhhhhhh MATLA be intehaaa KHOOBSURAT hai..khaaskar be hijab lafz ne sher meiN jaan Daal di hai....wah :)

Khud apne haath`oN sar-e-bazm be-niqaab huwe
ham aap apne sawaalaat kaa jawaab huwe!

==wah wah wah ye sher bhi bahut khoob hai!

dareedah band-e-jigar, taar taar daaman-e-dil
huwe to i'shq meN is t^araH se Kharaab huwe

--wah kya kehne....!!!!!!!!!!!

suboo-e-Husn-e-taKhaiyyul ch`alak ch`alak uTTh`aa
Hareem-e-shauq meN ham jab bh`ee baaryaab huwe

--aaye haaye..lajawaabbbbb! is meiN takraar-e-lafzi ne mazaa dobalaa kar diya.... "chalak chalak uThaa" wah ..!!!!

hameN anaa ne dikh`aayee kuch` aisee raah keh bas!
jo Khud ko sochaa to ham Khoob aab-aab huwe!

--wah ye bhi khoob rahi...bahut hi achcha sher hai..!

ham aise kab th`e keh aazaad-e-aarzoo rehte
Gham-e-Hayaat huwe aur be-Hisaab huwe

--ye sher samajh nahi aaya..agar samjhaa dein to inayaat hogi..shukriya!

shikastah-Haal-o-pareeshaaN to yooN bh`ee th`e "Sarwar"
tumhaare Zikr se kuch` aur bh`ee Kharaab huwe!

--MAQTA to bas kya kahoon...zabardast hai.........!

Is behtareen ghazal pe meri jaanib se bharpoor daad pesh-e-khidmat hai... :)

DuaaoN meiN yaad rakhiyega,
Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Shummu wrote:Adaab Mohtaram Sarwar sahab...kaise hain aap?

kaafi dinon baad aap ko dekha..bahut achcha laga warna aap ki kamee bahut mehsoos ho rahi thi saari urdu mehfiloN meiN....

itni khoobsurat takhayyul-o-taGazzul se bhari ghazal aap hi keh sakte hain...ek ek sher se aap ki kohna mashqi jhalak rahi hai....aap ki ghazal se itne naye naye alfaaz bhi paRhne ko milte hain..bahut achcha lagta hai...

woh is t^araH se taSawwur meN be-Hijaab huwe
tamaam a'alam-e-hijraaN Khayaal-o-Khwaab huwe!

--wahhhhhhhh MATLA be intehaaa KHOOBSURAT hai..khaaskar be hijab lafz ne sher meiN jaan Daal di hai....wah :)

Khud apne haath`oN sar-e-bazm be-niqaab huwe
ham aap apne sawaalaat kaa jawaab huwe!

==wah wah wah ye sher bhi bahut khoob hai!

dareedah band-e-jigar, taar taar daaman-e-dil
huwe to i'shq meN is t^araH se Kharaab huwe

--wah kya kehne....!!!!!!!!!!!

suboo-e-Husn-e-taKhaiyyul ch`alak ch`alak uTTh`aa
Hareem-e-shauq meN ham jab bh`ee baaryaab huwe

--aaye haaye..lajawaabbbbb! is meiN takraar-e-lafzi ne mazaa dobalaa kar diya.... "chalak chalak uThaa" wah ..!!!!

hameN anaa ne dikh`aayee kuch` aisee raah keh bas!
jo Khud ko sochaa to ham Khoob aab-aab huwe!

--wah ye bhi khoob rahi...bahut hi achcha sher hai..!

ham aise kab th`e keh aazaad-e-aarzoo rehte
Gham-e-Hayaat huwe aur be-Hisaab huwe

--ye sher samajh nahi aaya..agar samjhaa dein to inayaat hogi..shukriya!

shikastah-Haal-o-pareeshaaN to yooN bh`ee th`e "Sarwar"
tumhaare Zikr se kuch` aur bh`ee Kharaab huwe!

--MAQTA to bas kya kahoon...zabardast hai.........!

Is behtareen ghazal pe meri jaanib se bharpoor daad pesh-e-khidmat hai... :)

DuaaoN meiN yaad rakhiyega,
Shumaila
a'zeezah Shumaila: Khush rahiYe!

aap ne jis muHabbat aur meHnat se Ghazal dekh`ee hai aur jis t^araH us kee daad dee hai woh meree i'zzat aur masarrat kaa baa,ic hai! bohat shukriyah aur us se bh`ee ziyaadah du,a'aeN!

aap ne ek she'r kaa mat^lab pooch`aa hai:

"ham aise kab th`e keh aazaad-e-aarzoo rehte
Gham-e-Hayaat huwe aur be-Hisaab huwe

ye sher samajh nahi aaya..agar samjhaa dein to inayaat hogi..shukriya!"

yeh Zehn meN rakh`iYe keh zindagee meN Gham is liYe hote haiN keh aadamee kee aarzoo,eN pooree naheeN hotee haiN. she'r meN yehee kahaa gayaa hai keh :mujh` meN aisee kaun see KhaaS baat th`ee keh maiN aarzoo aur tamannaa,oN se be-niyaaz rehtaa? chunaan.ch laazimee nateejah yeh huwaa keh meree aarzoo,eN pooree naheeN huyeeN aur hameshah hee zindagee ke GhamoN kaa shikaar rahaa:

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
naheedv
-
-
Posts: 163
Joined: Sat Dec 18, 2004 3:53 am
Contact:

Re: woh is t^araH se taSawwur meN be-Hijaab huwe

Post by naheedv »

Sarwar Raz wrote:yaaraan-e-bazm: aadaab!

ek Ghazal le kar aayaa hooN. dekh`iYe kisee qaabil hai bh`ee keh naheeN!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
==============================
GHAZAL

woh is t^araH woh taSawwur meN be-Hijaab huwe
tamaam a'alam-e-hijraaN Khayaal-o-Khwaab huwe!

Khud apne haath`oN sar-e-bazm be-niqaab huwe
ham aap apne sawaalaat kaa jawaab huwe!

tamaashah-e-ram-e-hastee faqat^ fasaanah th`aa
HuZ^oor-e-koo-e-Khudee ham jo baaryaab huwe

dareedah band-e-jigar, taar taar daaman-e-dil
huwe to i'shq meN is t^araH se Kharaab huwe

suboo-e-Husn-e-taKhaiyyul ch`alak ch`alak uTTh`aa
Hareem-e-shauq meN ham jab bh`ee baaryaab huwe

hameN anaa ne dikh`aayee kuch` aisee raah keh bas!
jo Khud ko sochaa to ham Khoob aab-aab huwe!

ham aise kab th`e keh aazaad-e-aarzoo rehte
Gham-e-Hayaat huwe aur be-Hisaab huwe

shikastah-Haal-o-pareeshaaN to yooN bh`ee th`e "Sarwar"
tumhaare Zikr se kuch` aur bh`ee Kharaab huwe!
Aadaab mohtaram Sarwar saahab,

maiN buhat arse ke ba'd forums par aayee hooN aur ye paRh kar hairaangee huyee ke aap bhee aik arse ke ba'd haazir huve haiN, chaleN ehm baat tau ye hai ke haazir ho gaye aap :-)

aap kee taazah ghazal buaht arse ke ba'd mujhey paRhne kaa moqa' milaa hai aur hamesha kee tarah aap kee ghazal buhat pasaNd aayee.
ghazal kaa matla', maqta', aur ye she'r zeyaadah pasaND aaye.

aap ke kalaam meN itne ma'nee chupe hote haiN ke she'r paRh kar kuch deir tau soch meN guzar jaati hai :grin:
meree taraf se iss kaavish par daad haazir.e.khidmat hai.

mukhliS
Naheed
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

a'zeezah Sara SaaHebah: aadaab!

jee haaN ham sab hee maSroof haiN lekin waqt nikaal kar yahaaN aanaa bh`ee Z^arooree hai! Ghazal kee pasandeedagee aur daad kaa bohat shukriyah. aaj kal she'r-goyee bohat kam ho gayee hai. aur kaam be-taHaashah baRh gaYe haiN! shaayad isee kaa naam zindagee hai!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: woh is t^araH se taSawwur meN be-Hijaab huwe

Post by Sarwar A. Raz »

naheedv wrote:
Sarwar Raz wrote:yaaraan-e-bazm: aadaab!

ek Ghazal le kar aayaa hooN. dekh`iYe kisee qaabil hai bh`ee keh naheeN!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
==============================
GHAZAL

woh is t^araH woh taSawwur meN be-Hijaab huwe
tamaam a'alam-e-hijraaN Khayaal-o-Khwaab huwe!

Khud apne haath`oN sar-e-bazm be-niqaab huwe
ham aap apne sawaalaat kaa jawaab huwe!

tamaashah-e-ram-e-hastee faqat^ fasaanah th`aa
HuZ^oor-e-koo-e-Khudee ham jo baaryaab huwe

dareedah band-e-jigar, taar taar daaman-e-dil
huwe to i'shq meN is t^araH se Kharaab huwe

suboo-e-Husn-e-taKhaiyyul ch`alak ch`alak uTTh`aa
Hareem-e-shauq meN ham jab bh`ee baaryaab huwe

hameN anaa ne dikh`aayee kuch` aisee raah keh bas!
jo Khud ko sochaa to ham Khoob aab-aab huwe!

ham aise kab th`e keh aazaad-e-aarzoo rehte
Gham-e-Hayaat huwe aur be-Hisaab huwe

shikastah-Haal-o-pareeshaaN to yooN bh`ee th`e "Sarwar"
tumhaare Zikr se kuch` aur bh`ee Kharaab huwe!
Aadaab mohtaram Sarwar saahab,

maiN buhat arse ke ba'd forums par aayee hooN aur ye paRh kar hairaangee huyee ke aap bhee aik arse ke ba'd haazir huve haiN, chaleN ehm baat tau ye hai ke haazir ho gaye aap :-)

aap kee taazah ghazal buaht arse ke ba'd mujhey paRhne kaa moqa' milaa hai aur hamesha kee tarah aap kee ghazal buhat pasaNd aayee.
ghazal kaa matla', maqta', aur ye she'r zeyaadah pasaND aaye.
ham aise kab th`e keh aazaad-e-aarzoo rehte
Gham-e-Hayaat huwe aur be-Hisaab huwe

aap ke kalaam meN itne ma'nee chupe hote haiN ke she'r paRh kar kuch deir tau soch meN guzar jaati hai :grin:
meree taraf se iss kaavish par daad haazir.e.khidmat hai.

mukhliS
Naheed
a'zeezah Naheed: salaam aur du,a'a!

aap se ek muddat se baat naheeN huyee. Khudaa kare keh aap ba-Khair hoN. Ghazal kee paZeeraayee aur sitaayish ke liYe shukr-guZaar hooN. u'mr ke saath` shaa,i'ree mushkil-goyee kee jaanib maa,il hotee jaa rahee hai. dekh`iYe aage kyaa hotaa hai.

ab ek Z^arooree baat, is darKhwaast ke saath` keh aap Khafaa nah hoN! :-)

aap ne mere is bazm meN :HaaZ^ir: hone kaa Zikr kiyaa hai. maiN :HaaZ^ir: naheeN ho sakaa kyoN.k shehr meN hee naheeN th`aa. aap tashreef nah laa sakeeN is kee bh`ee koyee aham vajh ho gee. ab aamadam bar-sar-e-mat^lab.

(1) :HaaZ^ir: honaa ch`oToN ke liYe yaa ph`ir Khud apne liYe bolaa jaataa hai. macala" :maiN aap kee Khidmat meN HaaZ^ir ho gayaa hooN: yaa :magistrate SaaHeb ne gawaah ko a'daalat meN HaaZ^iree kaa Hukm diyaa:. adabee zabaan meN yeh doosroN ke liYe yaa apne se baRoN ke liYe kabh`ee naheeN ista'maal hotaa hai kyoN.k is meN taZleel kaa pehloo hai.

(2) doosroN ke liYe (chaahe woh ch`oTe hoN yaa baRe) paRh`e-likh`e log aur ashraaf :tashreef laanaa: kehte haiN. macala" maiN aap ke baare meN kahooN gaa keh :Naheed bohat muddat ke ba'd meHfil meN tashreef laayee haiN:. maiN aap ke liYe kabh`ee soch bh`ee naheeN saktaa keh aap kaheeN :HaaZ^ir: hoN gee!

yaqeen hai keh aap meraa baat se ittifaaq kareN gee. Khush raheN.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
naheedv
-
-
Posts: 163
Joined: Sat Dec 18, 2004 3:53 am
Contact:

Re: woh is t^araH se taSawwur meN be-Hijaab huwe

Post by naheedv »

Sarwar Raz wrote:

aadaab mohtaram Sarwar saahab,

aap ne meree ghalatee kee jaanib meree tavajjoh dilaayee hai jo ke anjaane meN sarzad huyee hai. :oops:
iss ke liye maiN ma'zarat chaahatee hooN aur taseeH kaa shukriya bhee adaa kartee hooN.
iss meN khafaa hone kee koyee baat naheeN hai. :grin:
maiN inshaa'Allah jald hee aap se raabita karooN gee.

mukhliS
Naheed
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal hameshah kii TaraH bahut hii dilkash hei aur saare ke saare ashAar mujhe beHad pasand aaye. Dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Roman meiN maTleA ke pahle miSreA meiN TibaaAat kii ghalati hougaie hei:
"woh is t^araH woh taSawwur meN be-Hijaab huwe"

wo is TaraH se ki bajaye "wo is TaraH woh" hougayaa hei.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

Last edited by Abdullah Nazir on Wed Nov 23, 2005 8:39 am, edited 1 time in total.
Image
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Nazir SaaHeb:aadaab!

nawaazish ke liYe mamnoon hooN aur daad ke liYe mutashakkir! mat^le' kee Ghalat^ee kaa mujh` ko i'lm hai. ab us ko durust karnaa Zaraa mushkil hai. Khair, ahl-e-naz^ar Khud hee samajh` leN ge. aap ne nishaan-dehee kar hee dee hai. shukriyah!