Yaaraan-e-meHfil, adaab !
mushaaira.org k pichle maah k t^araHhee mushaaira maiN ye miSra' diyaa gayaa thaa "tum zabaaN se apni kehdoge to kyaa ho jaayega?" . chunaaNche maiN ne bhi aek Ghazal keh hi Daalee, magar Net Kharaab hone ki binaa par use bhej na sakaa , magar aaj aap kee Khidmat maiN ise paish karte howe az Had Khushee horahee hai ! ummed hai k HoSla afzaayee farmaayeNge ! shukriya !
::: Urdu Version :::
::: Roman Version :::
yaa Khuda kab nafratoN ka Khaatimaa ho jaayega?
aur ye saaraa jahaaN jannat-numaa ho jaayega?
youNhi gar Ghaaratgaree kaa sisilaa jaaree rahaa
kyaa Khabar dunyaa ka naqshaa kyaa se kyaa ho jaayega!
jis k chehre par numaayaaN maSliHat kee gard hai
kyaa sitam hai woh hamaaraa aayinaa ho jaayega !
woh jise pihle se apnee bartaree ka zaa'm hai
sar jhukaaoge to woh Z^aalim Khudaa ho jaayega !
tum ne kyaa samjhaa hai ham aawaaragaan-e-shauq ko
ham agar chaaheN to har soo raastaa ho jaayega !
ik naz^ar maiN hee samaa jaayeNge saatoN aasmaaN !
i'shq kee ik just maiN woh mu'jizaa ho jaayega !
ham junooN waaloN pe SiHraa taNg ho jaaye to phir
dekhnaa ! gulshan ka naqshaa kyaa se kyaa ho jaayega !
bhejte ho Gher k haathoN payaam-e-shauq-e-dil
"tum zabaaN se apni kehdoge to kyaa ho jaayega?"
itne afsurdaa ho kyoN yaaro hamaaree maut par ?
ham nahiN hoNge to kyaa a'aalam fanaa ho jaayega ?
ham to samjhe the faqat^ do chaar din kee baat hai
kyaa Khabar thee u'mr bhar ham se judaa ho jaayega !
woh sitamgar Khoon royegaa miree faryaad par
dil jab us kaa dard-o-Gham se aashnaa ho jaayega !
zindagee kaa raNg uRtaa hai miree taSveer se
saamne aaoN to ik fitnaa bapaa ho jaayega !
kab talak to saath degee zindagee ! Sayyaad ka ?
ik na ik din pyaar ka paNchchee rihaa ho jaayega !
raat gihree ho rahee hai , SubH k aacaar haiN
muZda aye dil ! zindagee ka faiSlaa ho jaayega !
aek jaan-e-naa-tawaaN hee mera kul sarmaaya hai
qarZ^ tera aye wat^an kaise adaa ho jaayega ?
youN chalaa hoN raah-e-ulfat par , k yaaro taa abad
cabt har zarre pe mera naqsh-e-paa ho jaayega !
ik t^araf dunyaa hai saaree , ik t^araf dil hai Zia
ho na ho ab t^ay junooN ka marHalaa ho jaayega !
Zia Baloch
.........................................................
ummed hai k apnee qaimatee aaraa se nawaazeNge ! shukriya
:: "tum zabaaN se apni kehdoge to kyaa ho jaayega?"
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
:: "tum zabaaN se apni kehdoge to kyaa ho jaayega?"
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Re: :: "tum zabaaN se apni kehdoge to kyaa ho jaayega?&
Bradar e Azeez Zia sahib
salaam e masnoon
Wah wah aapki ghazal behad pasand aai, bahut mubarak ho bhai. itni achai ghazal par isqadar mukhtasar daad ke lye muaziratkhawh hoN waqt ki tangi ke sabab ziada nahi arz kar paraha hoN magar bina kahe bhi nahi rahsaka ke ghazal ne behad mutassir kia. bahut shaandaar ghazal kahi hai aapne.
shukria
Mahtab Qadr

Star Mind wrote:Yaaraan-e-meHfil, adaab !
mushaaira.org k pichle maah k t^araHhee mushaaira maiN ye miSra' diyaa gayaa thaa "tum zabaaN se apni kehdoge to kyaa ho jaayega?" . chunaaNche maiN ne bhi aek Ghazal keh hi Daalee, magar Net Kharaab hone ki binaa par use bhej na sakaa , magar aaj aap kee Khidmat maiN ise paish karte howe az Had Khushee horahee hai ! ummed hai k HoSla afzaayee farmaayeNge ! shukriya !
::: Urdu Version :::
::: Roman Version :::
yaa Khuda kab nafratoN ka Khaatimaa ho jaayega?
aur ye saaraa jahaaN jannat-numaa ho jaayega?
youNhi gar Ghaaratgaree kaa sisilaa jaaree rahaa
kyaa Khabar dunyaa ka naqshaa kyaa se kyaa ho jaayega!
jis k chehre par numaayaaN maSliHat kee gard hai
kyaa sitam hai woh hamaaraa aayinaa ho jaayega !
woh jise pihle se apnee bartaree ka zaa'm hai
sar jhukaaoge to woh Z^aalim Khudaa ho jaayega !
tum ne kyaa samjhaa hai ham aawaaragaan-e-shauq ko
ham agar chaaheN to har soo raastaa ho jaayega !
ik naz^ar maiN hee samaa jaayeNge saatoN aasmaaN !
i'shq kee ik just maiN woh mu'jizaa ho jaayega !
ham junooN waaloN pe SiHraa taNg ho jaaye to phir
dekhnaa ! gulshan ka naqshaa kyaa se kyaa ho jaayega !
bhejte ho Gher k haathoN payaam-e-shauq-e-dil
"tum zabaaN se apni kehdoge to kyaa ho jaayega?"
itne afsurdaa ho kyoN yaaro hamaaree maut par ?
ham nahiN hoNge to kyaa a'aalam fanaa ho jaayega ?
ham to samjhe the faqat^ do chaar din kee baat hai
kyaa Khabar thee u'mr bhar ham se judaa ho jaayega !
woh sitamgar Khoon royegaa miree faryaad par
dil jab us kaa dard-o-Gham se aashnaa ho jaayega !
zindagee kaa raNg uRtaa hai miree taSveer se
saamne aaoN to ik fitnaa bapaa ho jaayega !
kab talak to saath degee zindagee ! Sayyaad ka ?
ik na ik din pyaar ka paNchchee rihaa ho jaayega !
raat gihree ho rahee hai , SubH k aacaar haiN
muZda aye dil ! zindagee ka faiSlaa ho jaayega !
aek jaan-e-naa-tawaaN hee mera kul sarmaaya hai
qarZ^ tera aye wat^an kaise adaa ho jaayega ?
youN chalaa hoN raah-e-ulfat par , k yaaro taa abad
cabt har zarre pe mera naqsh-e-paa ho jaayega !
ik t^araf dunyaa hai saaree , ik t^araf dil hai Zia
ho na ho ab t^ay junooN ka marHalaa ho jaayega !
Zia Baloch
.........................................................
ummed hai k apnee qaimatee aaraa se nawaazeNge ! shukriya
Re: :: "tum zabaaN se apni kehdoge to kyaa ho jaayega?&
Bhai sarfaraaz SaaHib, w/salaamMahtab Qadr wrote:Bradar e Azeez Zia sahib
salaam e masnoon
Wah wah aapki ghazal behad pasand aai, bahut mubarak ho bhai. itni achai ghazal par isqadar mukhtasar daad ke lye muaziratkhawh hoN waqt ki tangi ke sabab ziada nahi arz kar paraha hoN magar bina kahe bhi nahi rahsaka ke ghazal ne behad mutassir kia. bahut shaandaar ghazal kahi hai aapne.
shukria
Mahtab Qadr
kaise haiN aap ?
janaab aap kee daad ne to jee Khush kardiyaa ! dil hai k machalata jaa rahaa hai ! sab aap kaa Husn-e-nazar hai ! bas janaab kabhi kabhi aap buzurgoN ki rahnumaayee maiN kuchh likh hee jaate haiN ! aap kaa Husn-e-nazar hai jo aap itne achche alfaaz k saarh HoSla baRhaate haiN ! nehaayat mamnoon hoN ! ma'zirat bhi k aaj kal aa nahiN paa rahaa ! net akcar Kharaab rehtaa hai !
nehaayat mamnoon hoN ! shukriya
moKhliS :
Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob
Azeezi
Zia Baloch SaaHib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Maah-e-Ramadhan meiN TabeeAt kii naasaazi ke sabab site per bahut hii kam aanaa houtaa thaa.
Aapki ghazal paRhkar musarrat houi ke aap bahut achche ashAaar kahe heiN. Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayhiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.[/ik]
Re: Bahut khoob
WEBMASTER wrote:

moHtaram A.Nazir SaaHib, w/salaam
aap kee tabee'at ka sun kar bohut raNj howaa ! aap hamaara sarmaayaa haiN ! Allah ta'aala aap ko SiHat-e-kaamila naSeeb farmaaye aameen !
aap kee daad hamesha mere leye nehaayat ihmiyyat rakhtee hai ! yaqeen kejeye jaise hwaaoN maiN uR rahaa hoN ! nehaayat mamnoon hoN ! shukriya
moKhliS ;
Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Re: Bahut khoob
dunyaa SaaHiba , w/salaamdunya wrote:
MuHtaram Star-Mind Saahib,
aadaab o tasleemaat,
Janab aapki ghazal ke kyaa kehne! Her sher mouti kii tarah se ghazal kii lari meiN piroyaa houaa hei.
Is kaamyaab ghazal per meri daad haazir hei.
Khair andesh,
dunya
ta'Kheer keleye ma'zirat ! net ka mas'ala thaa !
janaab aap ne to sharminda kardiyaa ! yaqeen kejeye is qadar daad k laayeq nahiN ham ! aap ka Husn-e-nazar hai ! nehaayat mamnoon hoN ! shukriya
Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Sara Behen, aadaabsara_j wrote:bhai zia baloch,
aapki ghazal nazar nawaz hui aur dil khush hua........itna khush hua ke saari shikayetein bhool gayi ghazal ke ashaar ache hain aur rawaan bhi. daad qubool keejiye.
sara
achcha howaa k aap shikaayateN bhool gayeeN chalo phir to apnee koshish raayegaaN nahiN gayee ! nehaayat mamnoon hoN ! shukriya
Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact: