aSnaaf-e-shaayarii kaa Khudaa ban ga.ii Ghazal

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

aSnaaf-e-shaayarii kaa Khudaa ban ga.ii Ghazal

Post by Shummu »

Ganesh Bihari 'Tarz' ki ghazal pesh-e-khidmat hai jo mujhe bahuuuuuuuut pasand hai..ummeed hai aap ko bhi pasand aayegi...! :)

=-=======================================

duniyaa banii to hamd-o-sunaa ban ga.ii Ghazal
utraa jo nuur nuur-e-Khudaa ban ga.ii Ghazal

guuNjaa jo naad-brahm, banii raqs-e-mahar-o-maah
zarre jo thar-tharaaye sadaa ban ga_ii Ghazal

chamakii kahiiN jo barq to ehasaas ban ga.ii
chhaa.ii kahiiN ghaTaa to adaa ban ga.ii Ghazal

aaNdhii chalii to qahar ke saaNche meiN Dhal ga.ii
baad-e-sabaa chalii to nashaa ban ga.ii Ghazal

haivaan bane to bhuuk banii bebasii banii
insaan bane to jazb-e-vafaa ban ga.ii Ghazal

uThaa jo dard-e-ishq to ashkoN meiN Dhal ga.ii
bechainiyaaN baRhii to duaa ban ga.ii Ghazal

zaahid ne pii to jaam-e-panaah ban ke rah ga.ii
rindoN ne pii to jaam-e-baqaa ban ga.ii Ghazal

arz-e-dakkan meiN jaan, to dilli meiN dil banii
aur shahar lakhanau meiN hinaa ban ga.ii Ghazal

dohe ,rubaa.ii ,nazmeiN ,sabhii Tarz the magar
aSnaaf-e-shaayarii kaa Khudaa ban ga.ii Ghazal

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
khurram_shaikh
-
-
Posts: 136
Joined: Sun Dec 12, 2004 5:21 am

Re: aSnaaf-e-shaayarii kaa Khudaa ban ga.ii Ghazal

Post by khurram_shaikh »

Shummu wrote:Ganesh Bihari 'Tarz' ki ghazal pesh-e-khidmat hai jo mujhe bahuuuuuuuut pasand hai..ummeed hai aap ko bhi pasand aayegi...! :)

Assalaam alekum,

Shuuuuuuuu tumhaari pasand humien bhi bahoot pasand aayi humaare saath share kernien kaa shukriyaa
RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam Shummu,

waah kia kalaam pesh kiyaa hai. jitnaa kalaam meN jaan hai usii qadar shaa'ir ke naam meN dam hai. bahot bahot shukria ki tum ne hamaare saath yeh Haseen kalaam share kiyaa.

tumhaarii pasand merii pasand!

Hashmat
Image
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: aSnaaf-e-shaayarii kaa Khudaa ban ga.ii Ghazal

Post by Shummu »

khurram_shaikh wrote:
Shummu wrote:Ganesh Bihari 'Tarz' ki ghazal pesh-e-khidmat hai jo mujhe bahuuuuuuuut pasand hai..ummeed hai aap ko bhi pasand aayegi...! :)

=-=======================================

duniyaa banii to hamd-o-sunaa ban ga.ii Ghazal
utraa jo nuur nuur-e-Khudaa ban ga.ii Ghazal

guuNjaa jo naad-brahm, banii raqs-e-mahar-o-maah
zarre jo thar-tharaaye sadaa ban ga_ii Ghazal

chamakii kahiiN jo barq to ehasaas ban ga.ii
chhaa.ii kahiiN ghaTaa to adaa ban ga.ii Ghazal

aaNdhii chalii to qahar ke saaNche meiN Dhal ga.ii
baad-e-sabaa chalii to nashaa ban ga.ii Ghazal

haivaan bane to bhuuk banii bebasii banii
insaan bane to jazb-e-vafaa ban ga.ii Ghazal

uThaa jo dard-e-ishq to ashkoN meiN Dhal ga.ii
bechainiyaaN baRhii to duaa ban ga.ii Ghazal

zaahid ne pii to jaam-e-panaah ban ke rah ga.ii
rindoN ne pii to jaam-e-baqaa ban ga.ii Ghazal

arz-e-dakkan meiN jaan, to dilli meiN dil banii
aur shahar lakhanau meiN hinaa ban ga.ii Ghazal

dohe ,rubaa.ii ,nazmeiN ,sabhii Tarz the magar
aSnaaf-e-shaayarii kaa Khudaa ban ga.ii Ghazal

Assalaam alekum,

Shuuuuuuuu tumhaari pasand humien bhi bahoot pasand aayi humaare saath share kernien kaa shukriyaa

ws..bahut bahut shukriya Khurram jee :)

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Hashmat Usmani wrote:salaam Shummu,

waah kia kalaam pesh kiyaa hai. jitnaa kalaam meN jaan hai usii qadar shaa'ir ke naam meN dam hai. bahot bahot shukria ki tum ne hamaare saath yeh Haseen kalaam share kiyaa.

tumhaarii pasand merii pasand!

Hashmat

shukriya hashmat sahab meri pasand ko pasand farmaane ka :)