salaam dosto,
aaj maiN apne ham_vatan shaa'ir janaab-e-Akbar "Allahabadi" kaa ek kalaam pesh kar raha huN aur ummeed hai ki aap unkii pesheen_goiiyoN se ittefaaq kareNge aur apna sar dhuneNge/dhuneNgi.
yeh maujooda tareeqe reh-e-mulk-e-'adam hoNge
naii tai'hzeeb hogii, aur naye saamaaN ba_ham hoNge
naye 'unwaan say zeenat dikhaayegii HasiiN apnii
na aisaa pech zulfoN meN, na gesoo meN yeh Kham hoNge
na to KhaatoonoN meN rai'h jaayegii parde ki yeh paabandii
na ghooNghaT iss taraH say Haajib-e-roo-e-sanam hoNge
badal jaayegaa andaaz-e-tabaa'-e-daur-e-gardooN say
naii surat ki KhushiyaaN aur naye asbaab-e-Gham hoNge
na paidaa hoNgii Khat-e-nasKh say shaan-e-adab_aageeN
na nastaleeq Harf is taur say zeb-e-raqam hoNge
Khabar detii hai tahreek-e-havaa tabdeel-e-mausam kii
khileNge aur hi gul, zamzame bulbul ke kam hoNge
'aqaayid par qayamat aayegii tarmeem-e-millat say
naya Ka'aba banegaa, maGhribii putle sanam hoNge
bahut hoNge muGhannii naGhma taqleed-e-europe kay
magar be_joR hoNge, iss liye be_taal-o-sam hoNge
humaari istalaahoN say zabaaN naa_aashna hogii
loGhaat-e-maGhribii, bazaar ki bhaasha meN zam hoNge
badal jaayegaa me'yaar-e-sharaafat chashm-e-duniya meN
ziyaada thay jo apne zo'am meN, vo sab kam hoNge
guzishta 'azmatoN ke tazkire bhii rai'h na jaayeNge
kitaaboN hii meN dafan afsaana-e-jaah-o-Hasham hoNge
kisii ko is taGhaaiyur kii na Hiss hogii na Gham hoga
huye jis saaz se paida, usii ke zer-o-bam hoNge
tumheN is inqilaab-e-dai'hr kaa kia Gham hai? ai "Akbar!"
bahot nazdeek haiN vo din...na tum hoge, na hum hoNge!!!!!
zamaana-e-nau.....Akbar Allahabadi
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Re: zamaana-e-nau.....Akbar Allahabadi
Hashmat Usmani wrote:salaam dosto,
aaj maiN apne ham_vatan shaa'ir janaab-e-Akbar "Allahabadi" kaa ek kalaam pesh kar raha huN aur ummeed hai ki aap unkii pesheen_goiiyoN se ittefaaq kareNge aur apna sar dhuneNge/dhuneNgi.
yeh maujooda tareeqe reh-e-mulk-e-'adam hoNge
naii tai'hzeeb hogii, aur naye saamaaN ba_ham hoNge
naye 'unwaan say zeenat dikhaayegii HasiiN apnii
na aisaa pech zulfoN meN, na gesoo meN yeh Kham hoNge
na to KhaatoonoN meN rai'h jaayegii parde ki yeh paabandii
na ghooNghaT iss taraH say Haajib-e-roo-e-sanam hoNge
badal jaayegaa andaaz-e-tabaa'-e-daur-e-gardooN say
naii surat ki KhushiyaaN aur naye asbaab-e-Gham hoNge
na paidaa hoNgii Khat-e-nasKh say shaan-e-adab_aageeN
na nastaleeq Harf is taur say zeb-e-raqam hoNge
Khabar detii hai tahreek-e-havaa tabdeel-e-mausam kii
khileNge aur hi gul, zamzame bulbul ke kam hoNge
'aqaayid par qayamat aayegii tarmeem-e-millat say
naya Ka'aba banegaa, maGhribii putle sanam hoNge
bahut hoNge muGhannii naGhma taqleed-e-europe kay
magar be_joR hoNge, iss liye be_taal-o-sam hoNge
humaari istalaahoN say zabaaN naa_aashna hogii
loGhaat-e-maGhribii, bazaar ki bhaasha meN zam hoNge
badal jaayegaa me'yaar-e-sharaafat chashm-e-duniya meN
ziyaada thay jo apne zo'am meN, vo sab kam hoNge
guzishta 'azmatoN ke tazkire bhii rai'h na jaayeNge
kitaaboN hii meN dafan afsaana-e-jaah-o-Hasham hoNge
kisii ko is taGhaaiyur kii na Hiss hogii na Gham hoga
huye jis saaz se paida, usii ke zer-o-bam hoNge
tumheN is inqilaab-e-dai'hr kaa kia Gham hai? ai "Akbar!"
bahot nazdeek haiN vo din...na tum hoge, na hum hoNge!!!!!
uff ye sher nahi peshingoiaN theiN hazrat Akbar Ilahbadi ki jo har qadam par mahsoos hoti haiN aaj ke muashire mai. Khudajaane agar Akbar aaj hote to kia kahte. bahut khoob Hishmat sahib aapne to behad qeemti tohfa pesh kia hai Jazak Allah khair