Guz.12 ke TaraHi miSreA per ghazal: Irfan Barabankwi, Jeddah

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
irfan barabankwi
-
-
Posts: 69
Joined: Sun Jan 02, 2005 6:25 pm
Location: jeddah
Contact:

Guz.12 ke TaraHi miSreA per ghazal: Irfan Barabankwi, Jeddah

Post by irfan barabankwi »


MuHtaramaat o muHtarameen
aHbaab-e-meHfil,

Tasleemaat,

Guz. 12 ke miSreA per apni TaraHi ghazal pesh karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

GHAZAL roman meiN:

Rehte thay beqaraar bahut apne ghar meiN ham
So ab bhaTak rahe heiN Azaab-e-safar meiN hem

Hum ko diye fareb hamaare yaqeen ne
Naa muAtabar se hougaye apni nazar meiN ham

Fardaa kii aagahi hei ke hei dil kaa khauf yeh
Khirman ko jaltaa dekh rahe heiN sharar meiN ham

Hijrat kii mushkilaoN meiN nah ab tak kami houi
"raaHat waTan kii yaad kareN kyaa safar meiN ham"

aie jazba-e-nadaamat-e-dil khougayaa kahaaN
tujhko talaash karte rahe chashm-e-tar meiN ham

Sayyaad kyaa milegaa tujhe per taraashkar
Parvaaz apni rakhte nahiN baal o par meiN ham

TooTe badan ko lazzat-e-taskeen kyaa mili
Aisaa lagaa badal hii gaye raath bhar meiN ham

Makr o fareb ahl-e-siyaasat kaa kaam hei
houNge nah kaamyaab kabhi is hunar meiN ham

bande heiN inkisaar ke, saadah mizaaj heiN
jaate nahiN heiN daayira-e-karr o far meiN ham

maaZi ke apne kuch wo sunehre nuqoosh heiN
jin ko talaash karte heiN deewaar o dar meiN ham

ehsaas houtaa umr kaa ;Irfan: kis tarah
uljhe thay daam-e-jaadoo-e-shaam o saHar meiN ham.

Khair andesh,
Irfan

Attachments
a_irf_12.JPG
a_irf_12.JPG (126.58 KiB) Viewed 216 times
iHtisab apne naqaayis ka mujhe aataa hei
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: Guz.12 ke TaraHi miSreA per ghazal: Irfan Barabankwi, Je

Post by Shummu »

Rehte thay beqaraar bahut apne ghar meiN ham
So ab bhaTak rahe heiN Azaab-e-safar meiN hem

Hum ko diye fareb hamaare yaqeen ne
Naa muAtabar se hougaye apni nazar meiN ham

Hijrat kii mushkilaoN meiN nah ab tak kami houi
"raaHat waTan kii yaad kareN kyaa safar meiN ham"

Sayyaad kyaa milegaa tujhe per taraashkar
Parvaaz apni rakhte nahiN baal o par meiN ham

Makr o fareb ahl-e-siyaasat kaa kaam hei
houNge nah kaamyaab kabhi is hunar meiN ham

wahhhhhhhh wahhhhhhhh kya khoobsurat ghazal likhi hai aapne is tarahi misre pe..ek ek sher umda khaaskar quoted ashaar ka kehna hi kya..bahut pasand aayi aapki ghazal... dher saari daad pesh hai!!!!! :grin:

bande heiN inkisaar ke, saadah mizaaj heiN
jaate nahiN heiN daayira-e-karr o far meiN ham


is sher mein 'daayira-e-karr o far ' ke kya maayne hain? :o


Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Post Reply