Qita:
Saal-e nau kash aisa ho Ya Rub!
Subke dil meN ho bus Khooshi ki umaNg
Har taraf ho fazaa-e amn.o.sukoon
Nah "Tsunami" nah zalzaley hoN nah jung
Jawaid Badauni
Saal-e nau............Ek Qita
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Saal-e nau............Ek Qita
Last edited by jawaid badauni on Tue Dec 27, 2005 1:00 pm, edited 1 time in total.
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
QiTAa maAnavi liHaaz se bahut khoob hei
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badayuni SaaHib
PurkhulooS tasleemaat,
Aapkaa QitAa manavi liHaaz se bahut pasand aayaa jiske liye daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Albattah iskaa vazn samajhne meiN mujhe diqqat pesh aayi hei. Hasb-e-maqdoor iski taqTeeA yooN karsakaa. Housaktaa hei ke maiN kaamyaab nah housakaa. Aap bhi dekh leejiye.
Saal-e nau kash aisa ho Ya Rub!
Salenauka....sh'ais'hou......yarub
/0//0/0......//0//0...../0/0
=2122......1212.....22
=faa'ilaa'tun....mufaa'ilun....feAlun
Pahle miSreA ki taQTeeA durust hei. (Nazir)
Subke dil meN ho bus Khooshi ki umaNg
subkdilmeiN...h'buskhu......shi'ki'uman
/0//0/0.....//0/...... /0/0//0
faa'ilaa'tun.....fa'oolu.....mus'taf'ilun
Is miSreA ki taqTeeA yooN housakti hei:
sabk'dil'meiN = faa'ilaa'tun
h'bus'khushee=mufaa'ilun (is meiN "bus" ke Harf "seen" aur "khushee" ke Harf "khai" kaa ijtimaaA caqeel hougayaa hei.)
kiumaNg = faa'ilun yaa (agar lafz :ki" ke Harf "ye" ko girayeN tou) f'Ailun"
MulaaHizah: Agar is miSreA ki taQTeeA aap khud farmayeN tou meri maAloomaat meiN izaafah hougaa.
Har taraf ho fazaa-e amn.o.sukoon
=her'taraf'ho....fazaa'e....amnosukooN
/0//0/0.........//0/......./0/0//0
=2122……….121………2212
faa'ilaa'tun….fa'oolu……mus'taf'ilun
is miSreA kii taQTeeA yooN housakti hei:
hertarafho = faa'ilaa'tun
fazaa'e'am = mufa'ilun (is rukn meiN "ye" ke hamza aur Harf-e-alif kaa ijtimaaA caqeel hougayaa hei.
n'amaN = f'Ailun
MiSraA baharhaal vazn meiN hei.
Nah "Tsunami" nah zalzaley hoN nah jung
nasunaami...........n'zalzuleyhoN.....njung
///0/0....................//0//0/0...............//0/
1122....................12122................121
f'ilaa'tun..............mufaa'ilaa'tun......fa'ool
is miSreA ki saHeeH taqTeeA yooN housakti hei:
n'sunaami = f'Ailaatun (faa'i'laatun ko f'Ailaatun karsakte heiN)
n'zalzale = mufaa'ilun
houNn'juNg =faa'Ailun (yahaN bhi yehi sawaal paida houta hei ke kyaa aakhiri rukn ko "faa'i'lun" ke vazn per isteAmaal karsakte heiN. Kiyunkeh mujhe sirf itnaa maAloom hei ke "feAlun", "f'Ailun" aur "feAlaat" isteAmaal karsakte heiN.
Iltimaas. Agar in masaayil ki koii tashreeH kareN tou maiN beHad mamnoon hooNgaa. Shukriya.
Aakhir meiN, apni ghalatiyaoN per dobaarah nadaamat kaa izhaar kartaa hooN.
=======
Aapkaa MukhliS,
Nazir.
Last edited by Abdullah Nazir on Wed Dec 28, 2005 6:24 am, edited 3 times in total.
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Mohtarmee Abdullah Nazir SaHab, aadaab
CharoN miSrey bahr meN haiN. UmaNg lafz ka GAAF gir raha hai magar miSrey ke aaKhree lafz meN aisa karna jaa`iz hai. Nez yeh ke Tsunami ko bawzn FAOOLUN istaimal kiya gaua hai kyooNkeh is lafz meN "Tee" wiase bhi Khamosh "silent" rahta hai. Qita bahr meN hai.
Shukriya,
Jawaid
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Jee bilkul durust hei
MuHtarami
Jawaid Badayuni SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aapkaa kehnaa bajaa hei ke aapkaa QiTAa beHr meiN hei aur uski beHr Behr-e-khafeef makhboon meHzoof yaa maQTooA hei.
=faa'ilaa'tun mufaa'ilun feAlun (jiske aakhiri rukn ko ghair qaafiyah-band miSraAoN meiN feAlun, f'Ailun yaa feAlaat karne kii ijaazut hei.)
MaiN apni ghalaTi per naadim hooN jiski vajah meri ujlat thii aur MSN per mudaakhilat. Baharhaal is Haalat se mujhe yeh sabaq milaa hei ke aek waqt meiN do kaam nahiN karnaa chaahiye.
MaiN apni ghalati ko saHeeH karke apni tashreeH pesh karungaa. JahaN tak Harf "gaaf" kaa taAlluq hei lafz "umaNg" aur "juNg" mein tou Harf-e-noon ko noon-e-ghunnah tasleem karnaa paRegaa. Wo is liye ke qaaAide ke liHaaz se 2 saakin Huroof aek saath aayeN tou doosre ko giraa nahiN sakte balke usko zabar lagaakar mutaHarrik karsakte heiN. Isi liye umang ko "umag" aur jung ko "jug" ki TaraH paRhnaa paRega yaAni TaQTeeA meiN "noon" kaa Hisaab nahiN rahegaa.
MaiN apni is faash ghalaTi ke liye beHad maAziratkhwaah hooN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Last edited by Abdullah Nazir on Tue Dec 27, 2005 7:36 pm, edited 1 time in total.
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact: